Harami Cross Pattern
Harami cross candlestick pattern main do candles par mushtamil aik trend reversal pattern hai, jo k prices k intehaye kam ya ziada area main paya jata hai. Ye pattern harami pattern ki tarah pehli candle aik long real body wali hoti hai, jab k dosri candle aik doji candle hoti hai. Real body wali candle pattern k mutabiq yanni bullish trend main bullish hogi jiss k baad aik doji candle hoti hai, jo bearish trend reversal pattern banta hai, jab k bearish trend main pehli candle aik bearish hoti hai, jiss k baad aik doji candle hoti hai, jo k bullish trend reversal pattern banta hai. Harami cross pattern main doji candle ki waja se iss k naam main Cross ka lafz istemal kia gaya hai. Harami cross pattern main do tarah k patterns shamil hen, jin ki tafseel darjazzel hai;
Bullish Harami Cross Pattern
Bulliah harami candlestick pattern jo k formation main "Bullish Engulfing Candlestick Pattern" ki tarah dekhaye deta hai, ek strong bullish trend reversal pattern hai. Ye pattern ziada tar bearish trend k baad ban jata hai, aur trading k leye aik strong buy signal deta hai. "Bullish Homing Pigeon Pattern" main candles ki formation bhi same bullish harami pattern ki tarah hoti hai, lekin faraq 2nd candlestick k color ka hota hai. Down trend k baad banne par ye pattern ziadda relaible hota hai, agar yeh long term timeframe me bannta hai.
Bearish Harami Cross Pattern
Bearish Harami cross candlestick pattern "Harami pattern" ki aik qisam hai, jiss main pehli candle aik bullish hoti hai, jab k dosri candle doji candle hoti hai. Bearish harami cross pattern dekhne main same bearish harami pattern jaisa hi hai, lekin bearish harami pattern bullish white aur black candles par mushtamil hota hai, jab k bearish harami cross pattern bullish aur doji candle par muheet hota hai. Ye pattern bullish trend k baad ya high prices main banta hai, jahan se qeematen reversal hone k ziada chances hote hen.
Trading

Bullish harami pattern agar long timeframe main bearish trend k baad paya jaye to ye market main buy entry k leye aik achah moqamqa faraham karrta hai. Bullish harami pattern banne k baad teesree bullish candle ka intezar zarror karna chaheye, q k dosree bullish candle ziadda power main nahi hotee hai, wese bearish trend ka taqreeban is position pe 80% khattma ho jata hai. Pattern ki teesri bullish candle pe buy ki entry karen, jab k stop loss pattern k sab se nechlay point ya pehli bearish candle k lower side pe set karen.
Bearish harami cross pattern par trading karne se pehle trend confirmation ka honna zarori hai, q k reversal pattern trend confirmation k bagher riski hota hai. Pattern k baad agli candle ka bearish honna zarori hai, jo k market main entry ki position bhi hoti hai. Teesri candle k close price k baad sell k trade entre karen, aur Stop Loss ko pattern k sab se top position jo umoman pattern ki pehli candle ka close price ya high price banta hai par lagayen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим