Volatility Indicator In Forex

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Volatility Indicator In Forex
    Volatility forex trading mein ek important aspect hai, jo market ke direction aur movement ke analysis mein madad karta hai, volatility indicators traders ko market ki uncertainty ke bare mein insights dete hain, volatility indicator market ke uncertainty ko measure karta hai, ye measure karta hai ke market mein price movements kitni tezi se ho rahi hain, volatility indicators aam tor par price range ko measure karte hain aur unko graph ke through represent karte hain Iska istemal kar ke traders market mein hone wale price changes ke bare mein insights gain karte hain.



    Volatility indicators market ki uncertainty ko measure karte hain is liye inka calculation market ke previous price movements ke basis par hota hai, inka calculation sabse aam taur par standard deviation ke through kiya jata hai standard deviation price range ko measure karta hai aur market volatility ko calculate karne mein madad karta hai, kuch popular volatility indicators hain jaise ki Bollinger Bands, Average True Range (ATR) aur Volatility Index (VIX). Inmein se Bollinger Bands aur ATR ek trader ke arsenal mein sabse zyda popular hain.



    Bollinger Bands:
    Bollinger Bands ek volatility indicator hai jo price range ko measure karta hai ye indicator ek moving average ke around hota hai jo ki price ki average ko calculate karta hai, Bollinger Bands ke upper aur lower bands price ke movement ke range ko measure karte hain, agar market volatility increase hoti hai to Bollinger Bands ki distance increase ho jati hai aur agar volatility decrease hoti hai to Bollinger Bands ki distance decrease ho jati hai.

    Average True Range (ATR):
    ATR ek volatility indicator hai jo price movements ko measure karta hai, Is indicator ke istemal se traders market ki range ke bare mein insights gain karte hain, ye range ek asset ke average daily movements ko measure karta hai, ATR ke istemal se traders stop loss aur take profit levels ko set karte hain, agar market volatility increase hoti hai to ATR ki value increase ho jati hai aur agar volatility decrease hoti hai to ATR ki value decrease ho jati hai.

    Volatility indicator ka istemal kar ke traders market ki uncertainty ke bare mein insights gain kar sakte hain Iske sath sath, traders volatility indicators ko istemal kar ke price ke changes ke sath unke range aur speed ke changes ko bhi analyze kar sakte hain Is se unhe market ke direction aur movement ke bare mein acchi tarah se samajh aa jata hai.

    Advantages:
    • Market ki uncertainty ko measure karta hai: Volatility indicators market ki uncertainty ke bare mein insights dete hain, ye market volatility ko measure karte hain, is se traders ko market direction aur movement ke bare mein acchi tarah se samajh aa jata hai.
    • Price movement ke range aur speed ko measure karta hai: Volatility indicators price movement ke range aur speed ko measure karte hain, Is se traders market ke momentum ke bare mein insights gain karte hain, Inke istemal se traders market ke possible direction ke bare mein insights gain kar sakte hain.
    • Stop loss aur take profit levels ko set karne mein madad karta hai: Volatility indicators ke istemal se traders stop loss aur take profit levels ko set kar sakte hain, Is se unhe trading plan ko acchi tarah se execute karne mein madad milti hai.

    Disadvantages:
    • Lagging indicators hote hain: Volatility indicators lagging indicators hote hain Iska matlab hai ki ye market ke previous movements ke basis par calculate hote hain, Is se traders ko current market conditions ke bare mein achi tarah se samajhne mein kuch difficulty ho sakti hai.
    • False signals generate kar sakte hain: Volatility indicators false signals generate kar sakte hain iska matlab hai ki ye indicators kabhi kabhi traders ko wrong signals de sakte hain, Is se traders ko market ke movements ko analyze karne mein difficulty ho sakti hai.
    • Over reliance ke karan trading decisions par negative impact par sakta hai: Volatility indicators ke over reliance se trading decisions par negative impact par sakta hai, Is liye traders ko in indicators ke sath-sath market ke other important aspects ko bhi consider karna chahiye.

    In sab advantages aur disadvantages ko samajh kar traders ko volatility indicators ke istemal se pahle inki limitations ko bhi dehan mein rakhna chahiye.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    جواب: Volatility Indicator In Forex

    السلام علیکم پیارے دوستو
    غیر ملکی کرنسی کی تجارت میں، اتار چڑھاؤ سے مراد ایک خاص مدت کے دوران قیمت میں تبدیلی یا مارکیٹ کی نقل و حرکت کی ڈگری ہے۔ اتار چڑھاؤ تاجروں کے لیے ایک اہم تصور ہے کیونکہ یہ کسی خاص تجارت کے ممکنہ خطرے اور انعام کی نشاندہی کر سکتا ہے۔
    ایسے مختلف اشارے ہیں جنہیں تاجر فاریکس مارکیٹ میں اتار چڑھاؤ کی پیمائش کے لیے استعمال کر سکتے ہیں، بشمول:
    1:- ایوریج ٹرو رینج (ATR): یہ انڈیکیٹر ایک مخصوص مدت کے دوران کرنسی کے جوڑے کے لیے قیمت کی حرکت کی اوسط حد کی پیمائش کرتا ہے۔ زیادہ ATR قدر زیادہ اتار چڑھاؤ کی نشاندہی کرتی ہے۔
    2:- بولنگر بینڈز: یہ انڈیکیٹر تین لائنوں پر مشتمل ہوتا ہے، جس میں درمیانی لائن کرنسی جوڑے کی قیمت کی متحرک اوسط کی نمائندگی کرتی ہے، اور اوپری اور نچلی لائنیں حرکت پذیر اوسط سے قیمت کے معیاری انحراف کی نمائندگی کرتی ہیں۔ اوپری اور نچلی لائنوں کے درمیان ایک وسیع فاصلہ زیادہ اتار چڑھاؤ کی نشاندہی کرتا ہے
    3:- رشتہ دار اتار چڑھاؤ کا اشاریہ (RVI): یہ اشارے کسی رجحان کی طاقت اور مارکیٹ میں اتار چڑھاؤ کی سطح کی پیمائش کرتا ہے۔ ایک اعلی RVI قدر زیادہ اتار چڑھاؤ کی تجویز کرتی ہے۔
    4:- Chaikin اتار چڑھاؤ کا اشارہ: یہ اشارے ایک مخصوص مدت کے دوران کرنسی کے جوڑے کی اعلی اور کم قیمتوں کے درمیان فرق پر مبنی ہے۔ زیادہ قیمت زیادہ اتار چڑھاؤ کی نشاندہی کرتی ہے۔

    اب آن لائن

    Working...
    X