Bullish aor Bearish Hidden Divergence ko Trading Market ma keay use kea jay

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish aor Bearish Hidden Divergence ko Trading Market ma keay use kea jay
    Introduction of Hidden Divergence

    Dear friends, divergence trader ko potential trend reversal ki indication hi faraham nhi karti balkay ye trend continuation kay signal kay tor par bhi use hoti hain jis ma prices ongoing direction main apni moment ko continue karti hain, regular divergence trend reversal ko show karti hay jab kay hidden divergence trend continuation ko indicate karti hain, hidden divergence ko further two types ma8n classify kia jaskta hai.

    Bullish Hidden Divergence Meaning and Identification

    ye divergence us waqt appear hoti hay jab koi pair uptrend main move kar raha ho, ye us waqt bhi hoti hay jb prices apna higher low bana rahi hon lakin oscillator lower low ko indicate karay, jiska matlab ye hay kay yahan par koi hidden divergence ha jis ki waja sa oscillator prices ko same show nhi kar raha,

    Hidden Divergence Features

    ye divergence downtrend main us waqt appear hoti ha jb prices apna lower high bana rahi hon lakin oscillator higher high show kar raha ho, is ma ye hi chances hotay hain k pair apni lower moment ko jari rakhay ga jo downtrend ma ho gi,
    Technical Points and Indentification Explanation


    Forex market main hidden divergence kay mutabik traders ko hmesha trend ko follow karna chaiay aur us k against trading nhi karni chaiay kiun kay divergences trend kay continue honay ki indications daiti hain, hmain market aur pairs ko moment ko apnay experience kay sath thek tarah predict karnay ki koshish karni chaiay ta kay hidden divergance ko identify kar sakain jin sa traders mistakes sa bach jaen gay aur apni trades thek tarah open aur set kar paen gay aur profitable results hasil kar sakain gay,

    Powerfull Buying Strategies

    jab divergence centre line ko cross ker jati hay to same reverse order main apni movement krti huay aik candle aisi bnati hay jo centre line ko touch nhi kar rehi hoti aur agar similar candle market kay previous trend ko follow karay to aisay time par market ki hidden divergence ki mutabiq traders ko dobara previous trend ko follow kartay huay hi apni trade ko open ya continue karna chaiay

    Powerful Selling Strategies

    Friends hidden divergence kay name say he zahir hay keh yeh hidden hoti hay aur chart per nazar nai ati yani price main yeh nai milti. Hidden divergence main indicator hamain higher high and low bata raha hota hay laikin chart per price aisa nai karti. Is liye isko hidden divergence kehty hain. Hidden divergence bullish and bearish hoti hay. Jab keh hidden divergence aik zabardast trading concept hay jo many traders like karty hain. Jab traders hidden divergence ki base per signals find kar laity hain to woh profit bhi double gain karty hain.

    Hypothesis of Bullish and Bearish Hidden Divergence

    Bullish divergence tab banti hay jab indicator kay thriugh hamain lower low ka signal mil raha ho laikin price chart per higher low ban raha ho. Ab aisi surat main trader indifferent hota hay keh woh kia decision lay. Laikin jo expert traders hoty hain woh hamesha indicators say ziadah price chart per focus karty hain air yahan per bullish main he trade order place karty hain. is tarah woh apna profit maximize kar laity hain. Hidden bullish divergenc main hamain us waqat tak trade continue karni chahiye jab tak yeh divergence regular divergence ya bearish divergence main na shift ho jaye.

    Assumptions

    Bearish hidden divergence bullish hidden divergence kay opposite create hoti hay. Is state main oscillator higher high ki reading per oscillate kar raha hota hay laikin chart same signal nai day raha hota aur price lower highs bana rahi hoti hay. Is main traders oscillator ki reading ki bajaye price chart ko prefer karty hain aur bearish trend consider karty huye selling order place karty hain. Trader ko us waqat tak trade hold karni chahiye jab tak new divergences create na ho jayain.

اب آن لائن

Working...
X