MACD Technical Indicator ky sath kesy profitable Trading ki jay
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    MACD Technical Indicator ky sath kesy profitable Trading ki jay
    MACD Technical Indicator Introduction

    Asalamoalikum Dear forum members Market ky technical analysis kerny ky liay different types ky technical indicators available hain jin ki madad sy ham market ka current aur overall trend find ker ky trade open aur continue ker sakty haiin agar market per koi fundamental effect na ho raha ho tou market hamesha technical movement kerti rehti hai ky hamain trade open aur continue kerny ky liay market ky technical analysis kerna perty hain jis ky liay ham trading tools ky sath sath different technical indicators use kerty hain jin main moving average ky sath sath relative strength index maximum traders use kerty hain jo market ky chart main by default set hoty hain lekin in ky elawa bhi bahot sary technical indicators hain lekin ham yahan per MACD technical indicator ko discuss kerny ja rehy hain

    MACD Technical Indicator Important Featurs

    Dear members MACD stand for moving average convergence and divergence yeh aik technical indicator hai jo market ki movement ki strength ky sath sath market ki convergence aur divergence ko show kerta hai jis ko follow kerty huey ham market main trade enter kerty hain same indicator main market ki bullish aur bearish power bhi show ho rehi hoti hai ky agar market upward movement ker rehi hai tou same indicator main market centre line sy upward hoti hai aur jesy jesy market ka uptrend apni strength ko decrease kerta hai tou same indicator main bhi strength decrease hona shoru ho jati hai aur market ki position centre line ky qareeb aa jati hai aur jesy hi same line upper side sy cross ho ker lower side per shift ho jati hai tou same time per market ky bullish trend main retracement hoti hai jis ki strength bhi hamain same indicator main show ho jati hai

    Forex Trading with MACD Indicator

    Jab ham forex market main trading ky liay MACD indicator ko use ker rehy hoty hain tou hamain is bat ko mind main rakhna chahiay ky jesy hi market centre line ko cross ker rehi ho tou hamain bhi same direction main trade open ker leni chahiay aur same open trade ko ham tab tak continue ker sakty hain jab tak same side per market ki movement ki strength decrease nehi hoti aur jab same strength decrease hoty hoty market centre line ky qareeb ponch jati hai tou ham same open trade ko close ker dety hain aur agar phir sy centre line cross kery tou ham new direction ky mutabiq trade open ker ky continue ker sakty hain jo MACD main strength decrease hony tak continue rakh sakty hain

    Secure Trading Strategy and Management with MACD Indicator

    Jab ham MACD indicator ko use kerty huey trade open ker lety hain ky market jab centre line ko cross ker ky downward ya upward movement ki strength ko change kerti hai aur ham trade open ker lety hain tou aesi trade ko bhi hamain secure kerny ky liay her surat stop loss set kerna chahiay ky kabhi kabhi strength bahot jald decrease ho ker market ki position change ho jati hai tou aesy time per profit ki bajaey hamain loss hona shoru ho jata hai hamain bary loss sy bachny ky liay her surat stop loss set ker ky trade continue kerni chahiay
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: MACD Technical Indicator ky sath kesy profitable Trading ki jay

    Assalamu Alaikum Dosto!


    MACD Indicator


    Moving Average Convergence Divergence (MACD) indicator aik mashahoor indicator hai, jiss ko Gerald Appel ne 1970’s, main invent kia hai. Iss indicator ko market main traders k leye wo trend talash karne k leye banya hai, jiss ka normal trader ko information nahi hoti hai, k kab market main entry karni hai. MACD indicator ko trending markets mein kaam karne wala aik behtareen indicator samjha jata hai. Yeh traders ke liye un ki trading hikmat-e-amlyon ke lehaaz se aik achah result muhaya karta hai. MACD indicator do mukhtalif time period k exponential moving averages (EMAs) kinmadad se market ki current trend ko malom karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (26).png
Views:	7
Size:	27.9 کلوبائٹ
ID:	12450025

    MACD Indicator Kaam Kese Karta Hai?


    Basically, MACD indicator aik trend momentum indicator hai, jo do moving averages ka istemal karta hai aur un ke darmiyan faraq ko maloom karta hai. MACD indicator do moving averages ko aik momentum oscillator mein badal deta hai, jo trader ke liye tasawur karna aasaan banata hai. Standard MACD indicator ke teen ahem ajzaa main taqseem kia jata hain. MACD line kaam kuch iss tarah karta hai, k 12-days ki exponential moving average ko 26-days ki exponential moving average se tafreeq kia jata hai. MACD indicator ki doosri line signal line hai jo ke MACD ki sirf simple aik 9-baar exponential moving average hoti hai. Indicator ka aakhri juzz un lines ke darmiyan faraq hai, jo indicator k window mein histogram k sorat main zahir hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (25).png
Views:	10
Size:	36.9 کلوبائٹ
ID:	12450026

    Adding MACD Indicator to Trading Plateform

    MACD indicator ko apne trading plateform main set karna bohut hi asaan hai, jiss k leye darjazel tareeqa kar ko apnaya ja sakta hai;
    • Apne trading plateform main dropdown manu main seach "MACD" karen, jiss se MACD indicator ka option samne ayega, jiss par click karne se MACD indicator open ho jayega.
    • Pehle page par by-default setting hogi, jiss main 12-days moving average aur 26-days moving average k sath 9-peroid simple moving average zahir hoga, trader apne trading strategy k mutabiq iss main changes kar sakta hai.
    • Iss k elawa dosre setting jaise color waghera bhi yahan par adjust kia ja sakta hai.
    • Jaise hi end par OK ka button press kia jata hai, to MACD indicator trading plateform main add ho jata hai.


    MACD indicator aik aur mashahoor indicator hai, jiss se traders ko ko aksar aik achah aur behtar result milnay ka imkaan hota hai. Trader MACD indicator ko pasand karte hain, q k yeh signal peda karne ke mukhtalif tareeqay faraham karta hai aur trend ka semat bhi wazeh kar sakta hai. lehaza, agar aap aisay traders main se hain, jo trading karte waqat sirf aik indicator ko dekhna pasand karte hen, to shayad MACD indicator aap ke liye aik behtareen intekhab hai.

    Click image for larger version

Name:	images (18).jpeg
Views:	2
Size:	58.8 کلوبائٹ
ID:	12450027

    Trading

    Short term k trading k leye MACD indicator aik behtareen indicator hai, jo k bohut sare traders iss ko market main entry k leye istemal karte hen. Iss k teen main tareeqay hen iss k istemal karne k leye;
    • Jab MACD line nechay ki taraf morne par signal line ko cross to yahan par ye signal aik bearish trend ka hota hai.
    • Jab MACD line upward turn karta hai aur signal line ko ooper cross karta hai, to ye aik bullish trend ka sihnal deta hai.
    • Jaise hi histogram dono averages k darmeyan difference show karta hai, to ye signal ka strongness zahir karta hai.
    • Jitna histogram ziada hoga, trend utna hi ziada strong hoga.
    • Aggar dosre oscillator jaise RSI, stochastic oscillator par divergence show ho raha hota hai, to yahan par trend reversal ki soratehal hone wali hoti hai.


    MACD indicator bhi dosre indicators ki tarah false sihnals de sakta hai, iss waja se iss ko dosre indicators jaise RSI indicator ya price action k sath ekhata istemal karna chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (17).jpeg
Views:	3
Size:	38.8 کلوبائٹ
ID:	12450028

    اب آن لائن

    Working...
    X