Information about bearish continuation shown by Downside Tasuki Gap pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Information about bearish continuation shown by Downside Tasuki Gap pattern
    Downside tasuki gap pattern aik bearish continuation pattern hay jo uptrend main appear hota hay, yeh pattern traders ko show karta hay kay market main running trend small pull backs kay baad continue karay ga, downtrend main market kay overall sentiments bearish hotay hain,

    Information of candles appear in downside tasuki gap pattern:


    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20211203-151143_Opera Mini.jpg
Views:	2
Size:	81.6 کلوبائٹ
ID:	12589894

    yeh pattern three candles par mabni hota hay running trend kay continue honay ki information daita hay, is ka opposite upside tasuki gap pattern hota hay jo bullish continuation ko show karta hay, pattern down trend main appear hota hay jab long bearish candle banti hay to yeh trader ko information daiti hay kay market main seller ki ratio ziada hay aur woh market ko down side par move kara daiti hay, second candle market main again bearish banti hay aur yeh show karti hay kay market main bear ka control hay aur third candlestick market main form hoti hai to yeh information provide karti hay kay bearish trend apna control loose kar dia hay aur ab bull market main enter ho gia hay aur control hasil kar lia hay,


    Confirmation of downside tasuki gap pattern:

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20211203-150223_Opera Mini.jpg
Views:	2
Size:	60.9 کلوبائٹ
ID:	12589895

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211203_1452472.jpg
Views:	2
Size:	7.5 کلوبائٹ
ID:	12589896

    Downside tasuki gap aik rare pattern hay jo itna ziada appear nhi hota hay, is ki confirmation kay liay hamain jo conditions daikhni hoti hain un main first yeh kay is pattern ki pehli aur dusri candles tall real body kay sath bearish honi chaian, negative ya Bearish gap first candle ko lazmi follow karay aur pattern ki third candle bullish honi chaiay jo pehli two candles kay gap ko fill kar laiti hay, yeh candle gap zone kay middle main close hoti hay jo first candle kay close aur second candle kay open say mil kar banta hay, is main kuch trader green candle kay form honay kay baad sell ki trade ko open kartay hain aur stop loss kay liay pehli candlestick ka high point use kartay hain,

    Guidance for trade entry in downside tasuki gap pattern:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211203_1452471.jpg
Views:	2
Size:	52.2 کلوبائٹ
ID:	12589897

    kuch trader is pattern kay bannay kay baad trade nhi kartay aur woh mazeed market ki confirmation ka wait kartay hain, forex main woh hi traders kamyab hotay hain jo pattern kay sath apna experience ya indicators ko use kartay hain, is pattern ki first candle bearish ho gi aur yeh bearish sentiments second candle kay sath continue hotay hain aur third candle in sentiments main thora change lati hay jis ki waja say yeh candle bullish hoti hay, is candle kay baad market apni real ya running trend ko continue rakhti hay jo kay bearish hoti hay, traders ko is pattern main jaldbazi say kaam nhi laina chaiay balkay apni knowledge ki base par trend ko follow karna chaiay kiun kay market ma trend reversal honay kay chances boht kam hotay hain,
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Information about bearish continuation shown by Downside Tasuki Gap pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Downside Tasuki Gap Pattern


    Downside Tasuki gap candlestick pattern continuation pattern ki aik qisam hai jiss teen candles shamil hoti hai. Pattern ki pehli do candles bearish hoti hai. Pattern ki pehli aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka baad aik dosri bearish candle uss se dowside par gap main banti hai. Dosri bearish candle k baad aik bullish candle banti hai, jo ziadda tar small real body main hotti hai. Bullish candle dosree bearish candle k real body main open hoti hai aur pehli aur dosri candle k gap main close hoti hai. Pattern ki teesri bullish candle k ziada mazboti na hone ki waja se pattern tasalsal ka trend nechay ki taraf dobara chal parta hai.

    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	10
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12449791

    Candles Formation


    Downside Tasuki gap candlestick pattern k teen candles main pehle do candles black ya red color k yanni bearish candles hoti hai, jab k last ya teesri candle white ya green color ki yanni bullish candle hoti hai. Candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images.jpeg
Views:	5
Size:	15.1 کلوبائٹ
ID:	12449792

    1. First Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle bearish candle hotti hai, jo k black ya red color main banti hai, ye candle normal bearish size ki candle hoti hai, jo k bearish trend ko show kar rahi hoti hai.

    2. Second Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se gap main downside par banta hai. Dono candles k darmeyan ye gap wazih honna chaheye, yanni dono candles ki wick bhi gap ko cover nahi karna chaheye.

    3. Third Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik white ya green color main yanni bullish candle hoti hai, jo k small size main banti hai. Teesri bullish candle dosri candle k real body main open aur gap main close hoti hai. Ye white candle bullish trend reversal pattern ki nakam koshash karti hai.

    Explanation

    Downside Tasuki Gap Pattern pattern market k bearish pattern k mazboti ko brahati hai aur prices aur bhi lower level par jane ki koshash karti hai. Ye pattern ziada tar bearish trend ya haleya bullish ya sideways trend se bearish breakout k baad banta hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil pattern hai jo k bearish trend continuation ka kaam karta hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli aur dosri candles bearish candles hoti hai, jin k darmeyan downside par aik wazih gap banta hai. Pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jiss ka open bearish candle ki real body main hoti hai, jab k close pehli aur dosri candle k gap main hoti hai. Continuation patterns trend reversal pattern ki nisbat ziada payedar hen, jiss k kamyabi ka tanasub bhi ziada hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2).png
Views:	3
Size:	13.8 کلوبائٹ
ID:	12449790

    Trading

    Downside Tasuki gap candlestick pattern ka pattern pehli do candles main hi Gap down pattern ki tarah lagta hai, jab k teesri candle ki nakam koshash se pattern k lower side par jana ziada mazbot ishara deta hai. Pattern main pehle do candles k darmeyan nechay ki taraf ka gap banna bearish trend ki hi mazboti hoti hai, lekin ye pattern small bullish candle se thora riaki ho jata hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle ki closing point gap k darmeyan ya gap se pehle hona chaheye. Pattern ki bullish candle k baad confirmation k leye aik bearish candle ka hona zarori hai, ya kisi reliable indicator se bhi trend confirmation ki ja sakti hai. Confirmation bearish candle pat market main sell ki entry ki ja sakti hai, jab k Stop Loss k upper side par ya pehli candle k top par se aik ya do pips above hona chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (1).png
Views:	5
Size:	13.3 کلوبائٹ
ID:	12449789

    اب آن لائن

    Working...
    X