Bullish Harami Cross Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Harami Cross Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Harami Cross Candlestick Pattern


    Bullish harami cross candlestick pattern harami pattern se mushabehat main aik bullish trend reversal ka pattern hai, aur jab bhi prices chart par sellers k bohut ziada pressure ki waja se bearish jati hai, to wahan par aksar iss ko reversal honne k imkanat hote hen, jiss main aksar kuch aise pattern hote hen, jo do candles par mushtamil hote hen. Bullish harami cross pattern prices k bottom par ya bearish trend main banta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad aik doji candle hoti hai, jo k pehli candle k andar banti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k andar high aur low price dono hoti hai. Ye candle prices ko aik to bearish jane se rokti hai aur dosra ye candle aik doji hone ki waja se trend reversal ka kaam karti hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20230214_182803.jpg
Views:	2
Size:	45.6 کلوبائٹ
ID:	12589798

    Candles Formation


    Bullish harami cross candlestick pattern prices k bottom par do mukhtalif candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bearish aur dosri doji candle hoti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (39).jpeg
Views:	8
Size:	25.2 کلوبائٹ
ID:	12589797

    1. First Candle: Bullish harami cross candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo prices k bottom par ya bearish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik long real body wali candle hoti hai. Ye candle aik black ya red color ki candle hoti hai.

    2. Second Candle: Bullish Harami Cross Candlestick pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai. Ye candle real body k bagher hoti hai, jiss ka open aur close same position par hota hai. Dosri doji candle bager real body ki waja se colorless hoti hai.

    Explaination

    Bullish Harami cross candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo k do candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k bottom par ya bearish trend main banne ki waja se prices ko mazeed bottom jane se rokti hai. Ye pattern same to same dekhne main aik "Homing Pigeon Candlestick Pattern" ki tarah hota hai, lekin dosri candle k doji candle banne se uss se mukhtalif hoti hai. Bullish harami cross pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same point ya price par hota hai. Dosre candle k open aur close same point par hona chaheye, warna same point par na hone ki waja se ye pattern "Bullish Harami Pattern" main badal sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	candle_bullishharamicross.png
Views:	2
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12589799

    Trading

    Bullish harami cross candlestick pattern trend reversal ka pattern hai, jiss se market main buy ki entry karte hen. Pattern k bottom par buyers ziada active ho jate hen. Trend reversal pattern par trading trend continuation patterns ki nisbat ziada riski hoti hai, iss waja se pattern par trading se pehle market main aik bullish ya white candle ka hona zarori hai. Jiss ki real body honi chaheye, jiss main open aur close same point par na ho. Agar pattern k baad bearish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par entry nahi karni chaheye. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya pehli candle k close point se two pips below select karen.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20230214_183812.png
Views:	2
Size:	110.5 کلوبائٹ
ID:	12589800
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    جواب: Bullish Harami Cross Candlestick Pattern

    Bullish Harami Cross Candlestick Pattern

    Bullish harami cross two satre teaze ka reversal pattern hai pahle candle dosri ko ghair laite hai doji candle hona ki waja sa saya sameet pattern ki pahle line koi bhe black candle ho sakte hai jo aik lambi line ka tor par namodar hoti hai black candle lambi black candle black marubozu ko qabol nhi kia ja sakta bullish harami cross nicha ka rujhan mein zahir hota hai ish ka ulat jana ki peash gohi karta hai candle par pattern ki tasdeeq honi chahiya dosri line ka tor par namodar hona wale aik doji candle market mein adam faisla ki nisandahi karta hai Bullish harami cross candle stuck two muhalqa candles sa bante hai pahle candle aik barhe candle ka surkh colour ka bearish candle hai jo jare kamen ka rujhan ka aik hisa hai aise bearish candle ka badh zero bodi dogi candle ke renovation aur bulish harami ke par ke tasdeeq kertey hain dogi candle mai koi body nahi hoti jo khuli aur close prices se complete hoti hai ish mein safar size ki body ziada kamh price aik dosra sa kam hota hain nechlay trend k doran same do candles back to back formation bulish harami candle bulish cross candle dosri dogi candle k size se kuch farq nahi hota lakin surkh candle bahut nlambi ho keh woh dogi candle ko achi tarah lapeet lay ais pehle candle ko dosre candle se lapeeet lay jo open aur nazeeqi qeemton se banti hai pehle surkh rang ke lambi berish candle ko mother candle kaha jata hai jab keh next short size dosre candle ko frequently baby candle pukara jata hai
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Bullish Harami Cross Candlestick Pattern

      Harami Cross Candlestick Pattern

      Dear forex trading members,Harami candlestick pattern bht hi harami pattern hy jo ky trading me apna bht acha injam deti hy. Harami candlestick chart pattern ka powerful version Harami cross ho sakta hay jes ko define karna bahot zarori hay Technical chart key base par trading karny waly traders Harami candlestick chart pattern ka complete knowledge hona zarori hay esi ley hamy ye be janny ki koshish karni chaye key bearish cross kia hay.Harami candlestick chart pattern ka complete knowledge hona zaroori hai Kyunki Agar aapko kya trading ke baare mein achi baat nahi hogi to aapko market ki movement ke baare mein pata nahi hoga aur aap ko ye nahi pata Hoga ke apne trade saal par Lagani hai ya Phir buy karna hai iske liye Forex trading ke basics knowledge ke andar chart reading b Shamil Hai Jaoge aap ko starting mein learn karna Hota Hai.Jab market long time sy continue down trend main movement ker rehi ho tou same Trend main jab market main aesi bearish candle creat ho ky usky bahd next bullish candle kuch gap ky sath uptrend main open ho aur isterha sy close ho ky bearish candle ka yeh fourth part tak ho lekin jahan per bearish candle close hui ho us sy kuch upside gap ky sath yeh bullish candle creat ho tou aesy pattern ko bullish harami pattern ka name dia gia hai tou jab aesa pattern complete hota hai tou wahan sy hamain buy main trade open ker leni chahiay ky aesy time per buy main trade open kerny sy hamain bahot acha profit hasil ho sakta hai.

      Click image for larger version

Name:	cross.png
Views:	4
Size:	6.0 کلوبائٹ
ID:	12449723

      Bullish Harami Cross Candlestick Pattern

      Hello dosto, Bullish Harami, Harami candlestick pattern ki ik type hy or ye trading me bht hi important role play karti hy.Bullish harami pattern ky jesa bullish harami cross bhi hota hai ky jab down trend main continue movement kerty huey aik bari Bearish candle ky bahd aik aesi doji candle creat ho jo bearish candle ky centre main cross ki sign creat kery tou aesy pattern ko bullish harami cross kehty hain aur is per market ka trend change hona confirm hota hai ky wahan sy uptrend start ho jata hai.Jis terha bullish harami pattern hai isi terha agar market continuously uptrend main movement kerty huey bullish candle ky bahd same pattern main bearish candle creat kery tou yeh bearish harami pattern hota hai aur isi terha agar second candle Doji ho tou bearish harami cross banta hai aur market wahan sy apna trend change kerty huey downtrend main chalna shoru ker deti hai tou aesy jab bhi pattern creat ho tou hamain isi ky mutabiq trade open kerny per bahot acha profit hasil ho sakta hai.Ek bahut hi important pattern bullish Harami pattern hai Jab market button level per Hoti Hai To Uske bad market Mein Ek Aisi candlestick banti hai jo last bearish candle se 50% Badi hoti hai to aapko idea ho jata hai ya bullish Harami pattern ban raha hai Iske bad Aap Ko Intezar Karna chahie aur Jaise hi aapko conformational candlestick mil ki hai hai uske forun Bad aapko trade open kar leni chahie Kyunki market confirmation ke bad bahut jaldi se bullish trend Mein move kar sakti hai.

      Click image for larger version

Name:	crossss.png
Views:	21
Size:	2.0 کلوبائٹ
ID:	12449724

      How to take profit and stop loss from Bullish Harami Cross Candlestick Pattern

      Take profit:
      Dear friends, aap ismein apna take profit next resistance Tak Rakh sakte hain market mein aap Jab analysis karte hain to aapko is strong sport ke bad Jab 1 net resistance uptrend Mein Najar Aaegi to aapas Mein Apna take profit Laga sakte hain.

      Stop loss:
      Dear friends, aap ismein apnon stop loss Jab Ek ek bullish candle banti hai jo ke first bullish candle Hoti Hai bearish candle ke bad aap usse Neeche apnon stop loss Laga sakte hain dear agar aap is patton ki confirmation Chahte Hain To aapko donon candles ki support ek hi Jagah per honi chahie Agar Niche Se barabar Nahin Hogi to aap ismein entry na len.

      Click image for larger version

Name:	crossssssss.png
Views:	1
Size:	2.5 کلوبائٹ
ID:	12449726

      اب آن لائن

      Working...
      X