Dear forex market Main different candlestick patterns Hote Hain jin ko Ham trading mai apply Karke Accha profit Hasil kar sakte hain candlestick pattern Main bullish engulfing bahut hi famous pattern hota hai jo ki market ki support Par Banta Hai Jab market ka downtrend hota hai to ismein hamare pass Aik Aisi candle banti hai jis se Hamen pata chal jata hai ki market ka aub trend change hone wala hai.Bullish Engulfing main last candle sell ki hoti hai aor current buy ki, buy wali yaani current candle ne last sell wali candle ko cover kia hota hai aor us se up jaa kar close hui hoti hai is ki shakal aisi hoti hain.
Bullish Engulfing Pattern:-
Bullish engulfing pattern hamari trading main bahut helpful hota hy. kyunki hamen is sy pata chalta hai ky market main aub buyers ka control hai aur market aub uper ki taraf jane wali hai ya pattern hamen bhi support level se milta hai. Bullish engulfing pattern two candlestick ky reversal pattern ko kaha jata hai. iss pattern main second candlestick pehly candlestick ki body ko completly engulf karti hai. iss pattern mein pehly candle bearish hoti hai or second candle bullish hoti hai aur ye pehly candle ki body sy bari hoti hai. iss pattern ki help sy hamein market ka pata chalta hai ky market mein pehly seller ziada thy aur market down fall kar gai but phir next session mei buyer ziaada ho gae aur wo market ko previous candle ky opening point sy bhi up move karwany mein kamyab ho gaye. Bullish engulfing pattern mein ham stop loss ko both candle ky low pattern par set kar sakty hai.
Trading With Bullish Engulfing Pattern:
Bullish engulfing pattern traders ko buy k 3 signal provide karta hai. Firstly wo market ko jub buy kar sakty hain us waqat jub engulfing pattern complete ho jae. Secondly wo second candle k low sy bhe market ko buy kar sakty hain Aur thirdly trader engulfing pattern k bad market ki resistance ky break hony ka wait karty hain Aur buy stop ki help sy resistance level ky uper sy market ko buy kar lety hain. Forex trading main hum bullish engulfing pay buy ki entry tab lay jab market ager daily candles hai to pher 50% retracement lay chuki ho Aur pher us main buy tab karey jub stop loss bearish candle k nechy dain yeh aik strong reversal pattern hota hai bullish say bear our bearish say bull market ka trend change ho jata hai humey baki candlestick pattern ko Dakh kar us per trade karni chahey.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим