Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Belt-Hold Line Pattern
Bullish Belt-Hold line pattern prices main gap banne ki waja se prices k bottom par banta hai, jiss par prices k ziada trend reversal hone k chances hote hen. Ye pattern do mukhalif colour k candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bearish candle bantti hai, jo k prices k bearish trend ki alamat hoti hai. Ye candle prices ko bearish push karti hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k bottom par gap main open ho kar pehli candle k centre se thora se above bannd ho jati hai. Ye candle pehli candle k open prices se pehli hi close hoti hai, iss candle ki khaas baat ye hai k ye bagher lower wick ya shadow ki hoti hai.
Candles Formation
Bullish Belt-Hold line pattern k leye zarori hai, k prices ka bottom ya bearish trend ho. Pattern k bottom prices se reversal k chances ziada hote hen. Bullish Belt-Hold line pattern do mukhalif candles ka hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish Belt-Hold line pattern ki pehli candle aik long real body main bearish candle banti hai. Ye candle prices k bottom par ya low prices area main sellers ki dilchaspi dekhati hai, jo prices ko lower side par push karti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jo k beal body k sath hoti hai.
2. Second Candle: Bullish Belt-Hold line pattern ki dosri candle bullish trend wali candle hoti hai, jo k prices k direction ko badal deti hai. Ye candle aik long real body main banti hai, jiss ka open pehli candle k bottom par gap main hota hai, jab k close ussi candle k real body k centre se upper hota hai.
Explaination
Bullish Belt-Hold line pattern Ka shumar trend reversal pattern main hota hai, jiss ko ziada tar analyst signal pattern bhi kehte hen, q k iss ki dosri candle ki lower side par wick ya shadow nahi hota hai. Ye pattern prices k bottom ya support level ya bearish trend main bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Ye pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jiss se zahir hota hai, k sellers prices ko downward push karti hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jiss ka open pehli candle se below gap main hota hai, lekin prices mazeed bearish jane ki bajaye iss ko candle ko bullish close karti hai. Ye candle pehli candle k midpoint par close hoti hai. Ye pattern dekhne main same Piercing Line Pattern se mushabehat rakhta hai.
Trading

Trend reversal pattern trend continuation pattern ki nisbat ziada riski hote hen, jiss main aksar 38% se ziada kamyab nahi rehte hen. Bullish Belt-Hold line pattern bhi trend reversal pattern honne ki waja se aik riski pattern hai, iss waja se pattern par trade open karne se pehle prices k leye aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k dosri white candle k baad bullish candle banti hai. Ye candle real body main hoti hai, jo k aksar pehli candle k upper par close hoti hai. Trend confirmation CCI oscillator, RSI aur ya Stochastics oscillator se bhi ki ja sakti hai. Stop Loss pattern k bottom par ya dosri candle k open prices se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим