What are the trend line iski explanation?
Bahut acchi chij hai trend line aur Kafi trader isko use karte hain. Aur karna bhi chahie Kyunki trend Line Kisi bhi trend ko identify karne mein madad Deti Hai. Aur trend line Kisi bhi direction ke bare mein bata rahi hoti hain. To Ham start Karte Hain Ki what are the trend line? Trend line jo hai ek free line hai. Free line ka matlab Ham usko Kisi bhi angle se Utha saktey hain. Trend line ek tool hai Jo highes jod kar ya Lowes Ko jodkar Ham Kisi bhi market ki direction Ka Pata Laga sakte hain. Agar lows Ko jodenge To Hamen market ka direction Najar aaega ki market Upar ja rahi hai. Agar lower highes ko aapas mein jodenge to Pata chalega ki market down ja rahi hai. Aur support resistance ki bhi visual presentation Ka bhi Pata Chalta Hai. Aur Iske alava direction ka bhi Pata Chalta Hai yani ke trend jo hai jo abhi chal raha hai trend ki speed ka bhi Pata Chalta Hai ke Kitna high ja raha hai trend ya Kitna Low ja raha hai.Trend line more discussion.
To trend line Ek free hand tool hai Jisko Ham Kisi bhi 360 angle Tak move kar sakte hain directional. Horizontal support resistance jo hoti hain unko Ham Kisi direction Mein Nahin Le Ja Sakte. Lekin train line ko Ham 360 degree Mein Kahin Bhi move kar Karva sakte hain. Aur Kahin Bhi plot kar sakte hain aur plot karne ka maksad yah hota hai ki ham trend ka direction dekhte hain. Use Trend ke andar market Is Tarah Se support pakdati hai angle se support pakdati Hai horizontal se nahin angle se.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим