Hook Reversal Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Hook Reversal Candlestick Pattern
    Hook Reversal Candlestick Pattern

    Hook reversal aik taizi ya mandi candlestick pattern hai jo market ke rujhan mein mumkina ulat phair ka ishara deta hai. Yeh aik wahid mom batii se bantaa hai jis ki khususiyaat aik chhota sa jism aur lamba oopri ya nichala saya hai, jisay" Hook" Kaha jata hai. Hook ki lambai jism ki lambai se kam az kam do gina honi chahiye. Hook reversal pattern taizi aur mandi dono rujhanaat mein zahir ho sakta hai, aur tajir usay market ki mustaqbil ki simt ka taayun karne ke liye istemaal karte hain.

    Click image for larger version

Name:	What-is-a-Hook-Reversal.jpg
Views:	7
Size:	14.1 کلوبائٹ
ID:	12588614

    Bullish Hook Reversal

    Bullish hook reversal is waqt hota hai jab market neechay ke rujhaan mein hoti hai aur kisi asasay ki qeemat pichlle band se kam khulti hai. Is ke baad qeemat barh jati hai, lekin baichnay walay usay neechay dhakel dete hain, jis se neechay ka aik lamba saya bantaa hai. Qeemat phir barh jati hai, ibtidayi qeemat ke oopar band ho kar, aik choti si body banati hai. Yeh pattern is baat ki nishandahi karta hai ke bells ne market ka control sambhaal liya hai aur neechay ka rujhan khatam ho sakta hai.

    Bearish Hook Reversal

    Bearish hook reversal blush hook reversal ke bar aks hota hai aur is waqt hota hai jab market up trained mein ho. Qeemat pichlle band se ziyada khulti hai, lekin khredar usay neechay ki taraf dhakel dete hain, jis se oopar ka aik lamba saya bantaa hai. Qeemat phir girty hai, ibtidayi qeemat se neechay band hoti hai, aik chhota sa jism banata hai. Yeh pattern is baat ki nishandahi karta hai ke bears ne market ka control sambhaal liya hai aur ho sakta hai oopar ka rujhan khatam ho jaye.

    Click image for larger version

Name:	hook-reversal.jpg
Views:	22
Size:	42.0 کلوبائٹ
ID:	12588615

    Hook Reversal Ke Sath Trading

    Traders reversal ki simt mein tijarat karne ke liye hook reversal pattern ka istemaal karte hain. Misaal ke tor par, agar taizi se hook reversal hota hai, to tajir is umeed ke sath asasa khareed satke hain ke qeemat mein izafah jari rahay ga. Agar bearish hook reversal hota hai, to tajir is umeed ke sath asasa farokht kar satke hain ke qeemat girty rahay gi. Taham, yeh note karna zaroori hai ke hook reversal pattern ulat jane ki zamanat nahi hain, aur taajiron ko hamesha khatray ke intizam ki munasib techniques ka istemaal karna chahiye aur reversal ki tasdeeq ke liye deegar takneeki tajzia ke tools ka istemaal karna chahiye.

    Click image for larger version

Name:	Hook-Reversal-Bottom-JPM.jpg
Views:	6
Size:	28.5 کلوبائٹ
ID:	12588616

    Hook Reversal Ki Tasdeeq

    Taajiron ko tijarat mein daakhil honay se pehlay hamesha hook reversal ki tasdeeq talaash karni chahiye. Tasdeeq dosray takneeki tajzia tools jaisay trained lines, moving averages aur momentum andikitrz se aa sakti hai. Misaal ke tor par, agar qeemat moving average se oopar hai aur moving average oopar ki taraf barh rahi hai, to yeh is baat ki alamat ho sakti hai ke ulat jane ki tasdeeq ho gayi hai aur tajir tijarat mein daakhil ho satke hain. Doosri taraf, agar qeemat aik moving average se kam hai aur moving average neechay ki taraf barh rahi hai, to yeh is baat ki alamat ho sakti hai ke reversal ki tasdeeq nahi hui hai aur taajiron ko qeemat ki mazeed karwai ka intzaar karna chahiye.

    Click image for larger version

Name:	images.jpeg
Views:	10
Size:	16.7 کلوبائٹ
ID:	12588617

    Conclusion

    Hook reversal traders ke liye market ke rujhan mein mumkina tabdeelion ki nishandahi karne ke liye aik mufeed candlestick pattern hai. Taajiron ko tijarat mein daakhil honay se pehlay hamesha tasdeeq talaash karni chahiye aur kamyabi ko yakeeni bananay ke liye rissk management ki munasib taknik istemaal karni chahiye. Taham, yeh yaad rakhna zaroori hai ke hook reversal pattern ulat jane ki zamanat nahi hain, aur taajiron ko hamesha bakhabar tijarti faislay karne ke liye mutadid takneeki tajzia tools ka istemaal karna chahiye.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Hook Reversal Candlestick Pattern

    WHAT IS HOOK REVERSAL PATTERN :





    Hook reversal pattern market ma jab koi trend chal raha hota ha to ya pattern or trend ka last ma banta ha or ya market ko reverse karna ka kam karta ha. Ya hook reversal pattern market ma trend ka last ma hook ke shape ko banata hua banta ha or market ko strongly trend ka opposite ke traf reversal kar ka la kar ata ha. Ya jo hook reversal pattern hota ha ya market ma do candles ka sath mil kar banta ha or ya dono candles ak dosra ka opposite ma ban kar market ko reverse karna ka kam karti ha. Is hook reversal pattern ke market ma do types hota ha ak bullish hook reversal pattern or dosra bearish hook reversal ya dono ak dosra ka opposite ma hota ha or ya dono he market ka trend ko reversal karna ka kam karta ha jo ya bullish hook reversal pattern hota ha ya market ka downtrend ma banta ha or ya bullish hook reversal pattern market ka downtrend ko end kar ka market ko upward ke traf reversal karna ka kam karta ha or jo ya bearish hook reversal pattern hota ha ya bullish hook reversal pattern ka opposite ma hota ha or ya bearish hook reversal pattern jab banta ha to is time par market ma uptrend chal raha jota ha or ya bearish hook reversal pattern is uptrend ka last ma ban kar market ko downward ke traf reversal karna ka kam karta ha. Ya dono pattern market ko strongly down ke traf reversal karna ka kam karta ha in hook reversal pattern ka near ma support or resistance level hota ha jo ka market ka reverse hona ke huma confirmed kar ka data ha or strong signal data ha.





    FORMATION OF HOOK REVERSAL CANDLESTICK PATTERN :





    Hook reversal pattern ke formation hamasha tab hoti ha jab market ma koi trend chal raha hota ha yani ka ya hook reversal pattern kese trend ka ka end ma banta ha. Jab bullish Hook reversal pattern ke formation hoti ha to market ke price higher ke traf ja rahi hoti ha or market ma downtrend hota ha or is bullish hook reversal pattern ke jo first candle hoti ha ya ak long real bearish ke candle sa bani hoti ha jo ka market ke price ko lower ke traf la kar jana ka kam karti ha or ya first candle red ya black colour ke hoti ha jo market ko downward ma la kar jati ha or jo second candle ha wo is bullish hook reversal pattern ke reversal candle hoti ha yani ka ya second candle bullish ke candle hoti ha jo ka market ko lower sa up ke traf reversal karna ka kam karti ha or ya second candel green ya white colour ke bullish ke candle hoti ha or jo bearish hook reversal pattern banta ha yani os ke formation hoti ha wo market ma upwards ke traf hoti ha jab market ma uptrend chal raha jota ha or jo is bearish hook reversal pattern ke first candle hoti ha ya long bullish ke candle hoti ha jo ka uptrend ko follow karti hoi market ko high ke traf la kar jati ha or second candle bearish hook pattern ke ak long bearish ke candle hoti ha jo ka market ko lower ke traf reversal kar ka la kar ati ha or ya second candel red ya black colour ke long real body candle hoti ha jo ka huma market ka downward jana ka batati ha.





    TRADING WITH HOOK REVERSAL CANDLESTICKS PATTERN :





    Is hook reversal pattern ma traders ko market ka lower sa higher or higher sa lower ke traf reversal hona ka signal milta ha. Jab bearish hook reversal pattern banta ha to is ma buyers ka traders hota ha jo ka market ko high ma la kar jata ha or is pattern ke first candle in buyers ka pressure sa banti ha or jab is bearish hook reversal pattern ke first candle close hoti ha to market ma jo buyers ka traders hota ha ya exit ho jata ha or jab second candle banti ha to market ma sellers ka traders enter ho jata ha or ya sellers market ko down ke traf la jana ka kam karta ha or is bearish hook reversal pattern ma traders ko market ka down ke traf jana ka signal milta ha or traders is pattern ke last candle ka lower sa is ma sell ke trade ko enter karta ha. Or jo bullish hook reversal pattern hota ha ya market ma downtrend ke traf banta ha or jab ya banta ha to is ka start ma market ma bear ka control hota ha jo ka market ko lower ke traf la ja raha hota ha or is pattern ke first candle in sellers ka traders sa banti ha or jo second candle hoti ha ya sellers ko exit kar ka buyers ka traders sa banti ha or ya buyers ka traders market ko up ke traf reversal karna ka kam akrti ha or traders is pattern ke second candle ka high sa is bullish hook reversal pattern ma buy ke trade ko ebter kara ga or is ka stop loss is pattern ka lower ma place kara ga.

    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Hook Reversal Candlestick Pattern

      The Hook Reversal is a candlestick pattern that can be observed in technical analysis of financial markets. This pattern is also known as J-hook or Fish Hook. The Hook Reversal pattern consists of two candles, a short and a long one, and it signals a potential reversal in the direction of the price movement.
      The Hook Reversal pattern appears when there is a downtrend in the market. The first candle is a short black or red candle, which indicates a bearish sentiment in the market. The second candle is a long white or green candle, which opens below the low of the first candle and closes above the high of the first candle. The long white or green candle completely engulfs the short black or red candle, forming a J-hook shape.
      The Hook Reversal pattern suggests that the bearish sentiment in the market is losing momentum and the bulls are taking control. The pattern is considered to be more reliable if it appears after a significant downtrend and is confirmed by other technical indicators such as volume, trend lines or moving averages.
      Traders often use Hook Reversal pattern as a signal to enter a long position or to close a short position. However, like any other technical analysis tool, the Hook Reversal pattern is not 100% reliable and should be used in conjunction with other technical analysis tools and risk management strategies
      Last edited by ; 27-02-2023, 12:03 AM.

      اب آن لائن

      Working...
      X