Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Meeting Line Candlestick Pattern
Bearish meeting line candlestick pattern main dosre din ki candle previous din ki candle k top par gap main open ho kar ussi k closing point par close hoti hai. Bearish meeting line candlestick pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jab k dosre din ki candle aik bearish candle hoti hai. Pattern ki dosre din ki bearish candle pehli din ki bullish candle k current trend k asarat ko kam karti hai, ynni bearish candle bullish candle k upper side par gap main khulti hai, jab k close ussi k same closing point par hoti hai. Pattern ki bearish candle bullish candle se ooper gap main open hoti hai, lekin ye gap bearish candle ki real body se cover hota hai, jiss ka iss waja se andaza ya clear nazar nahi ata hai.
Candles Formation
Bearish meeting line candlestick pattern main shamil candles bearish aur bullish pattern ki hoti hai, jo k prices k bearish trend reversal k leye istemal hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k upper par open ho kar ussi k closing line par same close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bearish meeting line candlestick pattern ki pehli candle market k current trend k mutabiq aik bullish trend hoti hai, jiss ka close price open price k se ooper hota hai. Bullish candle shadow samet ya uss k bagher ho sakti hai, jo k real body main hoti hai.
2. Second Candle: Bearish meeting line candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k top par gap main open ho kar ussi k lower par same close price par close hoti hai. Dosri candle lazmi real body main main honi chaheye aur pehli candle k close point se pehle ya baad main close honi chaheye.
Explanation
Bearish meeting line candlestick pattern price chart par uss waqat banti hai, jab bhi buyers market main dilchaspi lena kam kar dete hen. Ye pattern prices k top par ya bullish trend main ban kar market ka trend bearish reversal bana deta hai. Pattern main shamil dono candles real body main honi chaheye, jiss main dosri candle pehli candle se se ooper gap main open hoti hai. Pattern ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, jiss main buyers price ko pehle ooper push karte hen, jiss se bearish candle bullish candle se ooper gap main open hoti hai, lekin baad main buyers ki prices k top main mazeed dilchaspi nahi rehti hai, aur ussi waqat sellers market main ziada active ho jate hen. Baaz dafa ye pattern koi strong news release hone k baad prices k top main banta hai.
Trading
Bearish meeting line candlestick pattern trading k leye aik strong bearish signal deta hai, jiss se sellers market main entry karte hen. Pattern k baad aik bearish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main honne k sath sath dosri candle k bottom par close honi chaheye. Lekin bullish candle banne ki sorat main trade entre karne se parhez karen. Trend confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main honi chaheye. Pattern do candles ka hota hai, iss waja se stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se high position ya dosri candle k open price se two pips above par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим