Smart money concept
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Smart money concept
    Assalam alaikum!
    1. dear members umeed ha ap sb khairiat se hn gy or apka trading week bhht acha gia ho ga.
    2. aj ki post main hum smart money concept ko study karen gy or dekhen gy ye kia hota ha or forex main esy kaisy istmal kia jata ha.

    What is Smart Money?
    1. Dear members aisa capital hota ha jo k institutional banks or financial experts ki trf se trade kia jata ha.smart money us Qowat ko bhi kaha jata ha jo baz oqat market ko lead karti ha or move karati ha.
    2. Smart money retail traders k hujam se kahen ziada ka hota ha.
    3. Smart money traders retail traders se acha perform karty hain or wo es se acha revenue bhi generate karty hain.
    4. Central banks bhi smart money main involve hoty hain es lye retail traders ko bht zada compitition ka samna hota ha q k wo choty se capital se itny bary traders or institutions k sth trade karta ha.
    5. ye institute market ko influence bhi kar skty hain es lye jo traders smart money ko smjhty hain or follow karty hain wo kamyab hoty hain.



    Identifying Smart Money:


    1. Dear members kabhi kabhar hum dkhty hain k market main koe fundametal data na hony k bawajood bhi market main trading volume kafi ziada ho jata or market main bari bari moves hoti hain to ye smart money ki phchan hoti ha.
    2. es time py institutional traders market main smart money se speculate karty hain.

    Click image for larger version

Name:	C93C5BFB-A4DF-495A-A220-C24EC960DA67.png
Views:	22
Size:	24.4 کلوبائٹ
ID:	12588308
    1. Smart money ko identify karny k lye sirf chart reading ka sahar lena kafi ni ha bl k hamen kch fundamental indicators se bhi es mamly main kafi madam mil skti ha.
    2. jesa k sentiment indicators jo k hamen btaty hain k ks time py kis position k traders zada hain or side ka trading volume zada ha to es se hamen smart money ko identify karny main madad ml skti ha.

    How to trade using Smart money?
    1. Dear members ham aksr chart main dkhty hain k market apny kisi trend mian jaty hovy for example downtrend main achanak se fly kr k buy main kafi opr chli jati ha or aksr hamen candle wicks dkhny ko milti hain ye spots smart money ki nishani hoty hain.
    2. estrha market aik lambi c candle bna k kafi gap chor jati ha market main jsko fill krny k lye market us area ko test karti ha or hamen es test oy trade leni chahye jahan se market phly reverse ho chuki hoti ha wo support area bn jata ha or wahan se dobara reversal k chanves hoty hain or hum entry le skt hain.

    Click image for larger version

Name:	B2C21BF4-DBA7-4120-B50F-A9E760164D6A.jpeg
Views:	19
Size:	42.7 کلوبائٹ
ID:	12588309

    1. es main hmara stop loss us spike ya reversal candel k nechy ho ga jb k take profit market k previous high kbequal ho ga.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Smart money concept

    dear aapne boht he achi information share ki hai es mein aapne money management ka bhe hawala diya hai or smart money ka bhe smart money wo investment hoti hai jo k edara jaati investors market ke mahiren markazi banks funds or degar maliyati paishawar afrad k through market mein rakha jaata hai.
    smart money se murad wo Quwat bhe hai jo maliyati mandiyun ko mutasir krti hai or muntakil bhe krti hai or jiski qayadat aksr markazi banks k karwaiyun se hoti hai means k banks ka bhe concept market k uper acha khasa nazar andaz hota hai or forex inke he related market mein apnie future ki movement ka tayun bhe krt hai.

    Understanding Smart Money


    smart money cash investment hoti hai or unko logo ki taraf se lagaya jaata hai jinke pass acha konwledge ho es k related or wo market ki sitution se achi tarah bakhabar ho or es tarah ke taswar ko taeed krne k liye boht kam tajrubati saboot mojod hain k smart money investment kise gair investment ki nisbat behtar kargardgie ka muzahira krti hai.
    taham cash ki es tarah ki amad boht se Qayas araiyun ko mutasir karti hai ek tarah ka kaha jaye tu ziyadeh investment gambler ki taraf se he aksar aati hai jin hain future ki predication k bare mein acha knowledge hota hai kynke wo mahool ko pori tarah banp lete hain or duniya e level ki condition ko bhe judge krte hain kise bhe disadvantage ka hisa nahe bante.

    Identifying Smart Money


    smart money ko identify krna boht he ziyadeh zaroori hai or aap ye tab kr payen ge jub aap riywayati hekmat e amli ka khayal rakhenge k androoni or bakhabar qayas ariay krne waly amooman ziyadeh invest karte hain es liye es baat ki pervi krna chahye ke smart money ki shanakht baaz okat mamol se ziyadeh ziyadeh tejarti hujam se hoti hai.
    khas tur per jub hum hujam ko durst sabit krne k liye boht kam ya koie awami na ho taham es waseeh pemane per munkid hone waly doubts ke tasdeek k liye boht he kam proof mojoud hote hain en cheezon se murad ye hai k hame aapni planning ko sahe direction mein le jaana hoga or os point se entry leny hoge jo clear ho har lehaz se kise kisam ka burdon na ho
    ager hum without kise planing k or without management k kam krte hain tu es se hame sirf loss he hota hai or hamara time bhe zaya ho jata hai apne time ko bachane k liye or loss k ratio ko kam krne k liye hame smart money ko apne mind mein rakh krke he kam chahye esy or market ko or ziyadeh achy tareeky se samjh payenge or mumkin hai ager hum es tarah ki startgety bana krke kam kren tu hum achy se acha profit book kr sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	maxresdefault.jpg
Views:	3
Size:	122.4 کلوبائٹ
ID:	12448088

    اب آن لائن

    Working...
    X