Detailed discussion about automated trading it's advantages and disadvantages
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Detailed discussion about automated trading it's advantages and disadvantages
    • Automated trading ko understand karna important hai. Automated trading ko understand ka liay , isko define karta hain:
    • , algorithmic trading ka aik subset hota hai, jo keh computer system ko use kartay huay sell aur buy ka orders automatically market men submit kar deti hai".
    • Explanation:
    • Automated trading sa speedily, frequency ka sath profit milta hai , jo keh human trader ka liay impossible hai. Computer based automatic instructions kuch factors per depend karta hai :
    • Timing,
    • Price,
    • Quality or
    • Mathematical model.
    • 2- Traders ka liay profit ka ilawa , yeh trading market ko systemic bna deti hai, human emotions ka asar ko trading ki activities sa rule out kartay huay.
    • Automated trading mein , copy trading aur robot trading ko samajhna zrori hai.
    • Copy Trading:
    • 1-Copy Trading automated trading system ki aik eisi technique hoti hai jis main aapki trade automatically excute ho jati hai.
    • 2-Is trading system main aap expert traders ko join krty hain, jab wo kei trade open krty hain, unki entry ka sath sath un kay joiners ki trade bhi open ho jati hain.
    • 3- Is trading system main expert trader ki aik percentage fix hoti hai.
    • 4- Jab join krny walun ko profit hota hai tu us profit main 35 percentage ya decided percentage deduct kr li jati hai. 5-Beginning Level per copy trading ki option hamary liye aik acha source of income ho sakhta hai.
    • Robot Trading
    • 1-Robot Trading system bhi aik automated trading Technique ka important factor hai.
    • 2- Is trading system main bhi aapki trade automatically open and close ho rahi hoti hain.
    • 3- Robot Trading system ko join krny kay liye aapko robot purchase krna hoty hain.
    • 4- Robot ko purchase krny ki different prices ho sakhti hain or iski aik maksoos time tak expiry bhi hoti hai.
    • Advantages of automated trading:
    • 1- Trades best possible price per execute ki jati hain.
    • 2- Trade order ki placement instant aur accurate hoti hai . Trade ki desired level per execution ka high chance hota hai.
    • 3- Trades correctly r instantly timed ki jati hain , takeh price changes ko avoid kia ja skay.
    • 4- Reduced transaction cost hoti hai.
    • 5- Order place kartay huay manual errors ka risk low hota hai.
    • 6- Multiple market ki conditions per simultaneous automated checks maintain karna.
    • 7- Trading ko available aur historical real time data use kartay huay , back-test kar sakty hain , takeh pta chal skay keh yeh visible trading strategy hai ya nahin.
    • 8- Mistake ki possibility reduce ho jati hai , jo keh human traders emotional aur psychological factors ki waja sa kartay hain.
    • 8- High frequency trading.
    • 9- Long term investors, es strategy ko use kar kay stocks purchase kartay hain.
    • 10- short-term traders aur systemic traders market men seller's liquidity aur program ko automatically trade karnay ka liay use kartay hain.
    • Limitations of automated trading :
    • 1- Internet Connection mein failure , trade ko real trade mein convert kar kay loss ki waja ban sakta hai.
    • 2- Mechanical failure aik aisa drawback hai jis ke waja say aapka order market main execute nahi hota. Ho sakta hai aapko computer main apna trade order nazar aa raha ho lekin asal main Internet failure ke waja sy actually market main order na laga ho.
    • 3-Power failure ya server sy connection lost ho jany ke soorat mein bhe usko instantly solve karna bahut zaroori hai.
    • 4- Aapko market order place karny kay liay sirf computer on karna hai aur us kay baad order computer khud place karta hai lekin us ke continuous monitoring bahut zaroori hai.
    • 5- Agar koi bhe problem aata hai ya koi bhe fault nazar aata hai to usko solve karna parta hai. So monitoring karna zaroori hai , koi problem ho to usy instantly solve kia ja saky.
    • 6- Iska aik drawback ya hota hai kay ap totally dependant hokar kam krty hain, aap apni learning ko increase nahin kar rhy hoty.
    • 7- Dependent working hamary liay nuksan hai.

اب آن لائن

Working...
X