Bullish mat hold pattern and how to trade it

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish mat hold pattern and how to trade it
    Dear forex forum members, Forex trading aik asa business hai jis me kamyabi k liy knowledge aur technical experience Ka hona zarori hai. Candlesticks k knowledge k sath ap professional trader ban sakty hain. Candlesticks aur chart pattern say ap buyers aur sellers ko samjh sakty hain. Is say ap ko market k current aur future trend k bary me idea Milta hai. Aj ki hamari post bullish mat hold pattern price chart say related hai. .

    Introduction of Bullish mat hold pattern:

    Dear forex forum members, Yah Pattern five candles per mushtamil hota hai. Is ko samjhny k liy ap ko her candle ko consider krna Hoga.
    Click image for larger version

Name:	download (20).png
Views:	2
Size:	2.8 کلوبائٹ
ID:	12588267
    First Candle:

    Is pattern ki first candle per ager ap focus karin to yah real body wali long bullish candle hoti hai. Is ka wick nai hota ya na hony k braber hota hai.

    Second Candle:

    Is pattern ki second candle aik choti body wali bearish candle hoti hai. Yah first bearish candle se gap up open hoti hai, lekin close pehli candle ki real body main hoti hai.

    Third Candle:

    Is pattern ki third candle real body wali choti candle hoti hai, yah bearish candle ye bullish dono me say koi bi ho sakti hai. Is ki identification yah hai k yah pehli candle k body range me hi banti hai.

    Fourth Candle:

    Is pattern ki fourth candle small bearish candles hoti hai. Ye candle bullish aur bearish me say ko bi ho sakti hai. Yah teesri candle k top par banti hai.

    Fifth Candle:

    Is pattern ki fifth candle aik long real body candle hoti hai. Yah fourth candle k baad top par open hony k bad teeno small candles k low k pass close hoti hai. Yah bullish aur bearish me say koi aik ho sakti hai. Yah long wick k without hoti hai.
    Click image for larger version

Name:	download (20).png
Views:	2
Size:	2.8 کلوبائٹ
ID:	12588267
    Trading strategy:

    Dear forex forum members, Bullish Mat hold pattern buyers ki positive attitude ko show krta hai, lekin kuch time k leye market main gap movement hoti hai. Is time buyers aur sellers, dono wait and watch ki policy me hoty hain, k trend continue ho ga ya trend reversal ho ra hai, lakin is pattern k banany k bad trend reversal hota hai. Bullish mat hold pattern ki formation k baad market main buy ki trade open krni chaiy.

    Chart:

    Dear forex forum members, agr ap chart ko daikhin to ap is pattern ko buht easily samjh sakty hain.

    Click image for larger version

Name:	download (12).jpeg
Views:	4
Size:	4.8 کلوبائٹ
ID:	12588266
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bullish Mat Hold Pattern
    Bullish mat hold pattern bullish trend main banta hai, jo k same bullish trend continuation k leye jana jata hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti, jo k prices k top par ban kar market ki strong uptrend ka ishara hota hai, jiss k baad real body wali teen small bullish aur bearish mixup candles hoti hai, small candles bearish hone par dekhne main same three black crows pattern jaise dekhte hen, lekin ziada strong real body na hone ki waja se ye candles pehli bullish candle ki real body main banti hai. Pattern ki last ya panchwen candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k teeno candles k bottom par ban kar top par close hoti hai.
    Candles Formation
    Bullish mat hold pattern aik strong bullish trend continuation ka ishara deta hai, jiss par pattern ki pehli aur akhari candles bullish jab k centre wali teen candles bullish aur bearish mixup hoti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Bullish mat hold pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, ye candle prices k bullish trend ko show karti hai, q k ye white ya green color main banti hai. Ye aik strong candle hoti hai, jiss k long real body hoti hai.
    2. Second Candle: Bearish mat hold pattern ki dosri candle aik small real body wali bearish candle hoti hai, jo k real body main black ya red candle hoti hai. Ye candle pehli bullish candle k upper ya closing point par to open hoti hai, lekin small real body hone ki waja se close ussi ki real body main hoti hai.
    3. Third Candle: Bullish mat hold pattern ki teesri candle bhi same dosri candle ki tarah hoti hai. Ye candle dosri candle k bottom par banti hai, lekin iss candle ki bhi small real body hone ki waja se pehli candle ki real body main open aur close hoti hai. Ye candle bhi bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai.
    4. Fourth Candle: Bullish mat hold pattern ki fourth candle bhi same dosri candle ki tarah aik bearish candle hoti hai, jo k dosri aur teesri candles ki tarah same small real body main hoti hai aur ussi tarah se pehli bullish candle k open prices se below nahi jati hai. Ye candle bhi black ya red real body main banti hai, jo k tessri candle k bottom par banti hai.
    5. Fifth Candle: Bullish mat hold pattern ki last ya panchwen candle aik bullish long real body wali bullish candle hoti hai, jo k small bearish candles k top par open ho kar top par close hoti hai. Ye candle pehki candle k taqreeban parallel par banti hai, jo k prices ko sabeqa bullish trend continuation ka sabab banti hai.
    Explaination Bullish mat hold pattern market k ya prices k midpoint ya top par trend continuation karta hai. Ye pattern dekhen main bullish threen line strike ya rising three method se melta julta hai, lekin candles ki formation ki waja se un se thora sa mukhtalif dekhaye deta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil pehli aur last candles aik long real body wali bullish candles hoti hai, jo k bullish trend ki alamat hoti hai, jab k centre main small real body wali teen bearish ya bullish mixup candles hoti hai, jo k pehli aur panchwen candles ki real body main banti hai, yanni inn candles k darmeyan main open aur close hoti hai. Ye pattern newly bullish breakout trend main ziada positive result deta hai. Trading
    Prices chart par continuation pattern ki sab se bari hasseyat ye hai, k iss ki reliability trend reversal pattern ki nisbat ziada hai, jiss ki waja se iss ki successful ratio bhi ziada hota hai. Bullish mat hold pattern aik trend continuation pattern honi ki waja se bullish prices main ban kar same trend ko uptrend main continue karwata hai. Ye pattern aik strong positive signal deta hai, agar prices k sath technical indicators bhi 50 level se above zone main trade kar raha ho to. Pattern par trading se pehle aik confirmation bullish candle ka hona zarori hai, jo k traders k leye buy k signals genrate karega. Stop Loss pattern k sab se bottom position jo k umoman first aur last candle ka open price banega par set karen.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      **Bullish Mat Hold Pattern: Aik Mukhtasar Jayeza** **Bullish Mat Hold Pattern** forex aur stock trading mein aik khaas candlestick pattern hai jo ek bullish trend ki muzaidari ka ishara deta hai. Yeh pattern Bullish Rising Three Method ka aik extension hai aur is mein kuch khaas qisam ki candles shamil hoti hain. **Bullish Mat Hold Pattern Ki Wazahat**: Bullish Mat Hold Pattern ek established uptrend mein hota hai aur yeh price movement mein aik temporary pause ko zahir karta hai jab tak bullish trend phir se jaari na ho. Is mein paanch candles shamil hoti hain: 1. Aik lambi bullish candle jo mojooda uptrend ko tasdeeq karti hai. 2. Aik choti bearish ya doji candle jo potential pullback ko ishara karti hai. 3. Aik lambi bullish candle jo peechli candle ke high se ooper band hoti hai, yeh bullish trend ki muzaidari ko zahir karta hai. 4. Aik choti bullish ya doji candle jo consolidation ko darshata hai. 5. Phir aik lambi bullish candle jo uptrend ki phir se shuruaat ki tasdeeq karta hai. **Bullish Mat Hold Pattern Ke Types**: Bullish Mat Hold Pattern khud aik khaas type hai, lekin is mein shamil candles ki size aur khaasosiyat ke mutabiq tafreeq ho sakti hai. **Bullish Mat Hold Pattern Ki Khasosiyat**: - Pattern mojooda uptrend mein hota hai. - Markazi candle (choti bearish/doji aur choti bullish/doji) potential pullback aur consolidation ko ishara karti hai. - Pattern mein shamil bullish candles peechli candles ke highs se ooper mazboot band hone chahiye. **Bullish Mat Hold Pattern Ke Fawaid**: - **Muzaidari Ishara**: Bullish Mat Hold Pattern traders ko mojooda bullish trend ki muzaidari ke liye aik qabil-e-aitmad ishara faraham karta hai. - **Tasdeeq**: Is pattern ko doosre technical indicators ke saath jod kar, yeh trading faislon ke liye additional tasdeeq faraham kar sakta hai. - **Entry Points**: Traders is pattern ka istemal trend ki taraf entry points ke liye kar sakte hain. **Bullish Mat Hold Pattern Ke Nuqsanat**: - **Ghalat Signals**: Haan ke yeh pattern aksar mukhlis hota hai, lekin ghalat signals bhi aaye sakte hain, agar isay doosre tools ke saath istemal na kiya jaye to nuqsaan ho sakta hai. - **Market Conditions**: Baahar se waqiat aur market ki haalaat pattern ki asar ko mutasir kar sakte hain. **Ikhtitam**: Bullish Mat Hold Pattern traders ke liye aik qabil-e-faida tool hai jo bullish trend ki muzaidari ko pehchanne aur tasdeeq karne mein madad faraham karta hai. Yeh trading ke doran trend ke saath entry aur exit points ki raah mein rehnumai karta hai. Lekin traders ko ehtiyat se kaam lena chahiye aur trading faislon ke faisle se pehle mukammal tafseeli tajziya karna chahiye. Trend ki tasdeeq, doosre technical indicators aur market ka maqool context, yeh sab ghor se sochna chahiye. Waise to koi bhi tareeqa mukhlis nahi hota, lekin Bullish Mat Hold Pattern, samajhdar istemal mein, kamyab trading ke natayej mein izafa kar sakta hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X