Assalamu Alaikum Dosto!
Forex Trading Candlestick Chart Pattern
Candlesticks charts pattern ka istemal forex trading main bohut ziada honne laga hai, jiss main traders mukhtalif candlestick ko aik dosre k sath ekhata karke aik pattern banate hen, aur ussi ko base bana kar uss se forex trading ka signals genrate karte hen. Candlestick charts pattern main ziada tar taders iss ko qeematon k intehaye kam satah ya sab se buland satah par paye jane par aik positive response deta hai, jiss se aksar trend k mumkina reversal hone k chances hote hen.
Candlesticks Pattern mukhtalif formate main aur mukhtalif timeframes k hisab se tarteeb deye jate hen. Jintna aik pattern ka timeframe ziada hoga utna hi wo ziada positive aur achah response deta hai, q k long term k timeframes main prices ki actual values apni origenal direction main trade kar rahi hoti hai. Small timeframe temporary moves k leye to istemal ho sakte hen, lekin long term k trading main iss ka istemal ziada riski hota hai, iss waja se traders ko iss se parhez katna chaheye.
Candlesticks Pattern aik single candle se le kar 10 ya uss se bhi ziada k candles par mushtamil patterns hote hen. Single candles ko trader dosre price action ya indicator k sath istemal karte hen, jab k dosre pattern ko prices action theory se define keye jate hen. Single candles main doji candles, shooting star, hanging man, hammer candle zoada mashahor hai, jab k double candles pattern main piercing line, meeting line pattern, thrusting line pattern, Tweezers bottom and top, dark cloud cover pattern, etc. hen, jab k Triple pattern main three white soldier candle, three black crows pattern, upside tasuki pattern and down side tasuki pattern etc. ziada mashahoor hai.
Forex Trading Indicators
Forex trading main indicators ka istemal trading k dowran kisi assets (currencies pairs, commodities, energies etc.) k mustaqbil ki price prediction k leye istemal keye jate hen. Ye indicators darasal sirf mazi (fast) ki information k base par trading k leye results deta hai, jiss se help le kar agli prediction ko mumkin banaya jata hai.
Indicators main do trah k indicators ziada mashahoor hai, jiss main aik qisam k indicator ko leading indicators kaha jata hai, jab k dosre qisam k indicators ko lagging indicators ka naam deya gaya hai. Leading indicators trading k leye kisi bhi mumkina qimat se pehle market ki agli signal deta hai, jab k lagging indicators market ki usi direction main jane k baad signal deta hai.
Indicators ko trader trading k leye dosre indicators ya prices action ki madad se trading k leye istemal karte hen, kabhi bhi single indicators prices ka exactly positive response nahi de sakta hai, q k ye indicator sirf calculation ki madad se hi information deta hai, jaise k moving averages ka istemal karte howe. Indicator ko dosre indicators k sath ekhata istemal se positive result ata hai, jiss se trader ko kam signals lekin ziada profit wale signals dasteyab hote hen. Forex trading main aam tawar par ye indicators bohut zyada istemal hote hen; RSI, MACD indicator, Bollinger band indicator, moving averages, fabonacci retracement and extension, Pivot points, Money Index flow etc.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим