Trading instructions at GRAVESTONE DOJI CANDLESTICKS Pattern.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading instructions at GRAVESTONE DOJI CANDLESTICKS Pattern.
    Gravestone doji candlestick aik behtareen trend reversal candlestick pattern hea jis ko follow ker kay traders bahot achi earning hasil karny main successful ho sakty hean gravestone doji candlestick pattern trend kay top per banta hea aur aap ko btata chaloon kay may trader ko yea observe karna hota hea kay gravestone doji candle creat hoti hai tou it's mean ky market ab further down trend ko continue nehi kerny wali ab market ka downtrend kabhi bhi change ho sakta hai lekin agar same gravestone doji candlestick is waqat banna start ho jab market main continue uptrend chal raha ho to aisy main jab gravestone doji candle creat hoti hai tou us kay baad uptrend khatam ho jata hai aur market main downtrend start ho jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (11).png
Views:	13
Size:	16.4 کلوبائٹ
ID:	12585942

    Gravestone Doji Candlestick Pattern, Compleate information.

    Gravestone Doji Candlestick Pattern basically aik bullish reversal candlestick pattern hea jis per sell ki trade open per jati hea yaani kay jab bullish trend say same period main price wapas a jati hay to ye bearish trend ki aik strong indication hoti hay aur is liye is main sell ka order place kar kay achi earning hasil ho sakti hea friends Gravestone doji jaisy keh aik bearish reversal candle hay is liye ham is main bullish kay top say bearish ki trade kar sakty hain.Gravestone doji candlestick pattern main create hone wali candlestick small body ki candle hoti hai aur his ka ooper wala wick long hota hai jab kay is ka lower wick nahin hota aur neechy say ye plane hoti hea ya phir bahot small hoti hai jo ky dekhny mrin absent lagti hai aur is trha market mein Gravestone doji candle ko dekha ja skta hai friends jahan per waziha karta chaloon kay gravestone doji ki formation humain is bat ka batati hai ky market ki opening price high ja kar strongly reject hue hai jis ki wajha say long upper wick ki formation hoti hai aur market ki closing dobara se opening price par hi hoti hai is ka matlb yeh hota hai kay market ko achy sy predict karny maib kamyab ho sakta hai traders is candlestick patterns main analysis kar kay lakin is main focus karny wali baat yea hea kay gravestone doji candle sideway movement main bany to isko ham bearish consider nai kar sakty ya is main ham kisi bhi side per trade nai kar sakty.

    Click image for larger version

Name:	images (12).png
Views:	26
Size:	2.9 کلوبائٹ
ID:	12585943

    [B]Trading at Gravestone Doji Candlestick Pattern. [/

    Gravestone doji candlestick pattern perr trading karna bahut hi easy hai Kyunki is candle stick ki identification bahut hi aasan hoti hai jo trader ko aasani se identify ho jaati hai is ki shape bilkul barik hoti hay aur is tarha kee hoti hea kay jesy aik Qatbay kee shape hoti hea jo gravre per fix hota hea aur jub yea candlestick pattern create ho to hamian aesy time per hamain sell main trade enter ker leni chahiay ky market ka uptrend end ho chuka hota hai aur same candle clear indication hoti hai ky market main an downtrend start hony ja raha hai.

    Click image for larger version

Name:	images (13).png
Views:	2
Size:	9.9 کلوبائٹ
ID:	12585946

    Advise for Traders.



    Dear traders Meri aapko Yahi advice Hai Ke gravestone candlestick pattern ko closely observe karne ke baad trade open Karni chahie aur trader ko chahe kay woh is candlestick kay appear hony kay foran baad market main enter na ho balky market ki confirmation ka wait kary aur jub market apna trend waqae he change kar ley to us waqat trader ko chahe k wo market ma apni trade ko open kary.

    Click image for larger version

Name:	images (14).png
Views:	3
Size:	5.9 کلوبائٹ
ID:	12585948
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Trading instructions at GRAVESTONE DOJI CANDLESTICKS Pattern.

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Gravestone Doji Candlestick


    Gravestone doji candlestick sirf prices ya market k top par nazar ata hai. Agar aap daily chart par iss ko candle ko dekh lete hen, to yeh mumkin hai keh yeh candle minor prices k up-trend se down-trend reversal jane ki warning degi. Agar gravestone doji candlestick aik barray real body k candle k baad banti hai, to yeh aam tor par aik strong message hota hai, k iss k baad price high level ya bullish trend ko barqarar nahi rakh sakti hai. Price chart par jab bhi gravestone doji candlestick banti hai, to uss k baad stock ya assets ki value mein taizi se kami honi chahiye. Jab bhi aik bullish trend k dowran aik din k aghaz par prices pehle upward jati hai, lekin baad main wapis apne aghaz wale position par a kar close ho jati hai, aik gravestone doji candle tarteeb deti hai, jiss se candle bagher real body k upper side par aik lamba shadow ban jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (94).png
Views:	5
Size:	6.7 کلوبائٹ
ID:	12446058

    Candles Formation


    Gravestone doji candlestick k leye prices k top trend ya bullish trend main hona zarori hai, jab k ye candle bullish trend main akhari candle honi chaheye, candle ki open aur close same point par hone ki waja se real body zero hoti hai. Candle ki price chart par darjazel tarah se formation hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (92).png
Views:	3
Size:	3.2 کلوبائٹ
ID:	12446059

    Gravestone Doji Candle: Gravestone doji candlestick aik bagher real body ki candle hoti hai, jiss main open, close aur low prices same point par hote hen. Ye candle prices k top par banti hai, jiss se market mumkina tawar par trend tabdeel karti hai. Normal price chart par ye candle aik neutral candle hi tasawar hogi, sewaye prices k top par banne k.

    Explanation

    Gravestone doji candlestick aik strong indication deti hai, k stock, assets ya currencies k maojooda bullish trend ab yahan par end hone wala hai, jiss se prices ki agli candles bearish trend ki banna shoro hoti hai. Gravestone doji candles prices k top par aik bagher real body k sath upper side par long shadow banati hai. Ye candle bullish trend ko mazeed upward jane se rokh kar market k inverse signal deta hai. Ye candle long timeframes main ziada moasar hoti hai, jab bhi kisi stock ya assets ki prices indicator par overbought zone main chali jati hai. Candle ka upper ka shadow size main lamba hona chaheye, jab k candle ki open, close aur low price same point par hota hai. Candle k lower side par koi shadow nahi banna chaheye, lekin agar banta bhi hai, to ye size main ziada lamba nahi hona chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (91).png
Views:	3
Size:	8.2 کلوبائٹ
ID:	12446057

    Trading

    Gravestone doji candle normal price chart par koi khas reaction nahi dekhata hai, lekin jab bhi ye prices k top ya bullish trend main banta hai, to ye mumkina bearish trend reversal ka kaam karta hai. Ye candle traders k leye aik bearish signal deta hai, jiss par sell ki entry ki ja sakti hai, jab k dosre technical indicators par iss ko istemal karne par, indicator ka value overbought zone main hona chaheye. Ye candle aik single candle pattern hai, iss waja se trend confirmation k leye bearish real body ki candle k baad hi market main entry karen. Bearish candle ka lazmi gravestone doji candle k baad lower par close honi chaheye, jab k candle par stop loss ka bhi zaror istemal kia jana chaheye. Stop Loss candle k sab se top position ya shadow k high price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (7).png
Views:	3
Size:	7.7 کلوبائٹ
ID:	12446056

    اب آن لائن

    Working...
    X