What is a peak in Forex Trading?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is a peak in Forex Trading?
    Assalamualaikum aj is thread me apko me Pakistan forex trading ke ak bhot he important topic peak ki importance ke bare me btao ga or me umeed karta
    Ho ke jo information me apse share karo ga wo apke knowledge or experience me zaror izafa kare ge.

    What is a peak?
    Aik peak iqtisadi tosee ke ekhtataam aur karobari daur mein sukrao ke aaghaz ke darmiyan sab se ouncha maqam hai. cycle ki chouti kayi ahem iqtisadi isharay jaisay ke rozgaar aur nai rahaish shuru honay se pehlay ke aakhri mahinay se morad hai. yeh is waqt hai ke maeeshat mein haqeeqi jee d pi akhrajaat apni buland tareen satah par hain. chouti karobari cycle ka urooj hai aur is ke mukhalif girt hai, jo karobari cycle mein sab se kam nuqta ki numaindagi karti hai .

    Click image for larger version

Name:	download (99).jpeg
Views:	1
Size:	5.7 کلوبائٹ
ID:	12585507

    Key Takeaway
    Aik chouti karobari cycle ka sab se ouncha maqam hai aur is ke baad sukrao aur hatmi girt aati hai. chotyon ko is haqeeqat ke baad kaha jata hai jab muashi isharay is baat ki tasdeeq kar dete hain ke qaim ho gaya hai aur yeh mehez shore nahi hai. Amrici maeeshat ke liye chouti se chouti ke karobari chakkar ausatan ziyada der tak chal rahay hain .

    Understanding
    Peak karobari cycle ke chaar marahil mein se aik hai. karobari cycle ka koi khaas tarteeb nahi hai kyunkay yeh sirf d_hraya jata hai, lekin chaar marahil hain bahaali / tosee, chouti, / kasaad bazari, aur girto . karobari cyclon ki tareekh is hisaab se di jati hai jab muashi sargarmi ki simt tabdeel hoti hai aur is ki pemaiesh is waqt se ki jati hai jab maeeshat ko aik chouti se doosri chouti tak jane mein lagti hai. chunkay iqtisadi asharie mukhtalif auqaat mein bdalty rehtay hain, yeh national beuro of economic reserch ( nber ) hai jo bil akhir Amrici karobari chakron mein chotyon aur girto ki sarkari tarikhon ka taayun karta hai. misaal ke tor par, 8 June 2020 ko, nber ne elaan kya ke feb 2020 mein Amrici maeeshat –apne urooj par pahonch gayi hai. chouti ka elaan Amrici maeeshat ke liye 128 mah ki tosee ke khatmay ki numaindagi karta hai, jis se yeh Amrici tareekh mein sab se taweel hai. 8 mah .
    Click image for larger version

Name:	download - 2023-02-01T140540.637.png
Views:	1
Size:	3.3 کلوبائٹ
ID:	12585508
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is a peak in Forex Trading?

    Assalam o alaikum friends,

    Forex ki dunia me jab hum trade krny lagty hain tow hamyn bohat c different kisam ki terms dekhny ko milti hain, yeh terms apni noaiyat or khasosiyaat k lihaz se aik doosry se mushabihat or inhraaf donu he rakh sakti hain, aj hum jis term ko discuss krny waly hain,
    uska naam hai peak ,
    Jesa k hum janty hain kisi bhe commodity ki price hamysha same nahin rhti or hamysha aik seedhi line me nhin chalti chahy market pr uptrend ho ya downtrend yeh hamysha up ya down move krti rehti hai jesy zigzag ho.

    Click image for larger version

Name:	DAA7A40E-17D4-4FF4-A5DC-873565305A3A.png
Views:	1
Size:	14.7 کلوبائٹ
ID:	12445511

    IMPORTANT POINTS :

    Forex me peak k kuch eham nukaat darj zyl hain,

    1: peaks or thriughs market ki prices me ups ya downs k nateejy me dekhny ko milty hain.
    2: trendline ne breakout kiya hai ya nahin es bat ka andaza peaks k utar chrhao se lagaya jata hai.
    3: hamyn peaks ko study krny k liye chahye k hum en peaks k estehkaam ko achy tareeky se smajh lyn or agly mafrozy ko nah pkryn k market reverse hogi.

    IDENTIFICATION OF PEAKS :

    Forex me peaks ko aik high point ya maximum reached price k tor py jaana jata hai, technical analysis k liye market pr peak ko identify krna boht zrori hai, forex market pairs pr peak ko identify krny k liye kaii kisam k inicators ko dekhty huy market ko smjha jata hai ,yeh indicators moving averages, trendlines or momentum indicators hoskty hain, yeh market ki sab se onchai ki prices ya candles hoti hain ,jab hum peaks k behaviour or types ko smjhny lagty hain tow hamyn aksar es bat ka pahly he pata chl jata hai k market ka agla move kya hony wala hai.

    Click image for larger version

Name:	1747B8AB-30A9-4B3E-8920-5D25F7107EBB.png
Views:	1
Size:	57.6 کلوبائٹ
ID:	12445512

    CHARACTERISTICS :

    Peak forex market me prices ka sab se buland makaam hota hai, eski chand eham khasosiyaat mudarja zyl hain.

    1: eski misal aik currency pair pr agr li jaye tow hamyn maloom hota hai k peak point baki pichly tmam high levels se high level pr set hojata hai, jo k aik top trend ki shkal ikhtyar kr jaata hai.

    2: peak position k baad aksar yeh dekha gya hai k market k doosry asraat ki wjah se market price diminish hona shuru hojati hai, yeh i peak point zyada dyr tak kaym nhin reh paata.

    3: peak ki formation k doran market pr zyada fluctuations wjood me ati hain, or prices me zyata swings aty hain or hujam barh jata hai.

    4: jab aik peak bn jati hai tow momentum slow down hojata hai or yeh es bat ki nishani hoti hai k ab yeh trend khtam hony wala hai.

    5: jab aik peak tashkeel paa jati hai tow yeh es bat ki nishani hai k trend ab direction bdl rha hai.

    ADVANTAGE TO TRADER :

    Aik trader jo es situation ko waqt se pahly he apny different kisam k analysis ki mdad se smjh jata hai tow woh es situation ka bharpoor faida utha skta hai, or es peak ki formation k doran different important points pr trades open krty huy aik acha profit earn kr skta hai, taham aik trader ko chahye k siraf es aik term k bhrosy apni mukammal trades ko nah chor dy kion k es se loss ki chances bhe barh sakty hain,trader ko chahye k wo es term k waqoo pazeer hony k doran se baki tmam mufeed analysis k treekon ko bhe market pr zroor azmaa ly taa k risk of loss km se km tr hojye.

    CONCLUSIONS :

    Dosto upr di gyi tmam information se sabit hai k yeh market ki wo situation hai jis me prices highest hoti hain, yeh smjhdaar traders k liye aik profit earn krny ka behtreen moka hoskti hai,lykin boht se traders jo siraf es term py yakeen krty huy ghlat signal pkr kr trade open kr lyty hain or apna loss kr bethty hain, trader ko chahye k wo peak process me apni dosri technical skills use kry taa k profit ka husool ka yabi se hasil kiya jaa sky.

    اب آن لائن

    Working...
    X