Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Mat-Hold Pattern
Bearish mat-hold candlestick pattern price chart k bearish trend ya low prices main uss waqat banta hai, jab market par bulls aik nakam koshash karte howe prices ko bullish trend reversal karne ki koshash karte hen, jiss k nateejay main prices bears market ka control dobara hasil karte hen aur bulls k jo thore bohut imkanat they, trend reversal k wo sare khatam ho jate hen. Iss qisam ka pattern aksar aik jaal ka kaam karta hai aur jo bulls market mein enter hona chahtay hen, inhen is baat ko yakeeni banana chahiye ke aik long bullish candle, jis ki close price pehli bearish candle ki height ya open price se ziyada ho, banni chaheye, tab hi market main bullish trend reversal hoga, nahi to small bullish candles k asarat last bearish candle ki waja se khatam ho jate hen.
Candles Formation
Bearish mat-hold candles pattern panch ya uss se ziada candles par mushtamil aik bearish trend continuation pattern hai, jiss main pehli aur akhari candle aik long real body wali bearish candles hoti hai, jab k darmeyan main banne wali candles taqreeban tamam small real body main hoti hai, jiss ki tafseel darjazzel hai;
1. First Candle: Bearish mat-hold candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, aur iss ki main reason ye hoti hai, q k ye pattern aik bearish trend main banta hai. Ye candle aik long real body main hoti hai, jiss se prices k bearish trend ki mazboti ka andaza hota hai.
2. Second Candle: Bearish mat-hold candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali bullish candle hoti hai, jo pehli candle k baad open ho kar high price par close hori hai. Ye candle buying pressure ki waja se to banti hai, lekin ziada strong reaction nahi deti hai, q k candle ki real body bohut small hoti hai.
3. Third Candle: Bearish mat-hold candlestick pattern ki teesri candle bhi same dosri candle ki tarah aik small real body main banti hai. Ye candle dosri candle k top par to banti hai, lekin pehli bearish candle k open price se lower par close hoti hai, jiss se andaza hota hai, k ye candle bhi ziada strong reaction nahi deti hai.
4. Fourth Candle: Bearish mat-hold candlestick pattern ki fourth candle bhi same small bullish candles ki tarah small real body main aik bullish candle hoti hai, jiss ka close price open price se high par hota hai. Ye candle bhi buyers ki market main maojodgi ka ihsas delati hai, lekin ziada strong real body na hone ki waja se prices par ziada asar andaz nahi hoti hai. Ye candle bhi pehli bearish candle ki real body main banti hai.
5. Fifth Candle: Bearish mat-hold candlestick pattern ki last candle aik bearish candle hoti hai, jo last bullish candle k baad open ho kar, aik bari bearish real body banane k baad lower side par close hoti hai. Ye candle market main aik mamoli waqfe k baad sellers ki wapasi zahir karti hai, jiss se wo prices ko teezi k sath nechay ki taraf push karte hen.
Explanation
Bearish mat-hold candlestick pattern banne se pehle market mein bearish trend ka hona zarori hai, iss waja se patteren mein pehli candle aik lambi bearish candle hoti hai, jo is baat ki nishan-dahi karti hai, k pattern k aghaz main bears market par hawi hai. Bearish trend k dowran kuch investors koshash karte hen, k humen bearish market se exit karna chaheye, iss waja se pattern ki agli candle aik small real body wali bullish candle banti hai. Pattern ki dosri bullish candle ko dekh kar mazeed buyers market main entry kar jate hen, jiss se agli do candles bhi small real body wali bullish candles banti hai, lekin ye candles pehli candle k open prices se ooper nahi jati hen, yanni pattern ki teeno small bullish candles pehli bearish candle k inside main open aur close ho jati hai. Pattern ki akhari candle aik strong bearish candle banti hai, jo teeno small bullish candles k bottom par close hoti hai jiss se market k bullish trend reversal k imkanat ko khatam karke prices ko same bearish trend main continue kar deya jata hai.
Trading
Bearish mat-hold candlestick pattern price chart par bohut kam bante hen, lekin iss k asarat bohut strong hote hen, jiss se market main sell ki entry ki ja sakti hai. Ye pattern market k bearish trend main aik mamoli sa waqfa banane k baad prices ko same bearish trend main tasalsul jari rakhta hai. Pattern par trading karne se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main aik bearish candle honi chaheye aur last candle k bottom par close bhi honi chaheye. Pattern uss waqat invalid hoga, jab bhi iss ka baad aik bullish candle banegi, ya bearish candle last candle k top par close hogi. Indicator jaise RSI, CCI, MACD ya stochastic oscillator se confirmation lene k leye inn ki trading value darmeyan se nechay hona chaheye. Jab k pattern ka Stop Loss sab se top price ya pehli candle k open position se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим