Support or resistance kya hai?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Support or resistance kya hai?
    Support or resistance kya hain.
    Click image for larger version

Name:	download (16).png
Views:	20
Size:	11.4 کلوبائٹ
ID:	12585436
    To Aate Hain support aur resistance ki taraf Chahe vah stocks Ho Chahe vah Forex Ho Jab Ham technical analysis Karte Hain to supports or resistance ka kam yah hai ki jo movement hoti hai price ki. Theek hai na jo movement Hai price ki Jo chart mein aapke Samne move kar rahi hoti hai vah Kuchh Aise levels Hote Hain chat ke upar aapke. Jahan se price ko break karki nikalne mein dushwari hoti hai. Vahan se takrakar Bounce ho rahi hoti hai. To yah Jo multiple touches hoti hain UN levels pay market takrakar Wapas nikal Aati Hai.
    Click image for larger version

Name:	download (22).jpeg
Views:	1
Size:	6.3 کلوبائٹ
ID:	12585435
    Example Misal aur explain?

    Misal ke Taur per Maine Ek Bal phainki Aasman Ki Taraf vah Bal jo hai vah Chhat se takraai Chhat se takrane ke bad vah Bal niche a Jaati Hai. Ab Bal Chhat se takrakar niche Kyon aae hai vah Bal Upar Kyon Nahin nikal gai Kyunki there was a resistance. Kyunki Chhat per Bal ke liye resistance thi. Jiski vajah se bol takrakar niche a jaati thi. Chahe Kitna bhi aap power Tod mehnat Kar Lo Bal Chhat se upar Nahin nikalegi. To is Bal ki psychology se yah Jahar hota hai ki market ki price ki taraf market ki price Upar Chhat se takrakar niche ki taraf Aati Hai aur niche Jameen se takrakar upar Chhat ki taraf Jaati Hai ine levels ko Jin levels ko vah break karne mein usko dushwari ho rahi hai Jahan se vah majburan bounce Maar Ke takrakar Upar niche hoti hai UN levels ko support aur resistance Kaha jata hai. Resistance level Upar Hota Hai Jahan se market resist Ho Ke Niche Aati Hai Chhat Ki Tarah hota hai resistance level. Aur support niche Hoti Hai Jahan Se price uth Rahi hoti hai. Aisa Kabhi Nahin Hota ki price niche Chalti Jaaye Chalti Jaaye Chalti Jaaye Aur vah kisi point Se Na Uthe . Vah uthati Jarur hai.

    Click image for larger version

Name:	download (17).png
Views:	7
Size:	5.5 کلوبائٹ
ID:	12585434
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Support and Resistance
    Support aur resistance levels bohut ziadda aham points hen, jahan pe talab aur rasad (supply aur demand) ki quaten (forces) meltti hen. Market ki naseyyat aur supply aur demand ka tayun karte waqat technical analyst in support aur resistance levels ko bohut aham samjhtte hen. Jab bhi ye support aur resistance level breakout ho jatti hai, to ye samjha jatta hai k supply aur demand ki forces jinhon ne in sathon ko bannaya hai munttaqil ho gaye hai, aisi sorrat me naye support aur resistance levels k banne ka imkan hotta hai.
    Support
    Support wo satah (level) hai, jahan par demand ittni mazzbot hotti hai, k stock ko mazzeed nechay gerne se roktti hai. Support satah par qeematon ko nechay main dushwaree hotti hai, ye is waja se hotti hai, k jab bhi qeemat gerti hai, aur support level k qareeb atti hai, to market main buyers (demand) khareedne ki taraf ziadda mayel ho jatte hen, aur sellers (supply) market me ziadda kam mutaharek hotte hen.
    Resistance
    Resistance wo satah hotti hai, k jahan pe supply itni mazzbot hotti hai, k stock ko mazzeed upper janne se roktti hai. Jab bhi kisi stock ki qeemat resistance levels k qareeb jatti hai, to us ko ziadda upper janne me mushkil pesh atti hai, is ki wajja ye hai, k jaise jaise prices resistance levels k qareeb pohunnchti hai, to sellers (supply) sell karne ki taraf mayyel ho jate hen, aur khareedar (buyers) market me khareedne k leye kam dilchaspi dekhatte hen.
    Psychology of Support and Resistance
    Support aur resistance k pechay market ki kia nafseyyat hotti hen wo aap ko darjazzel mesalon (example) ki maddad se samajh a jayega; Support Example: buyers ka ek group support area main stock ko khareed rahe hotte hen, aggar yahan par support level $50 ka hai. Buyers $50 par kuch stock ko buy kartte hen, aur prices yahan se move kar $55 par challi jatti hai. Is par buyers khush hotte hen aur wo mazzeed $50 par stock khareedna chahte hen, lekin $55 par nahi. So wo faisela karrte hen jab bhi qeemat wapis $50 par jayegi to wo mazzed stocks ko bay karengay, yahan par wo $50 par demand set kartte hen. Ab aik dosra traders ka group aisa hai, jo k $50 par stock ko khareedne par tazzabzub ka shikar they, lekin $55 par stock janne ki waja se wo $50 par stock buy na katke pechta rahen hen, aur faisela karte hen, k jab bhi stock wapis $50 par jayega to wo lazzmi buy karengay aur wo bhi $50 par demand set kar lette hen. Ab buyers ka ek teesra aisa bhi group hai, jis ne $40 par stock ko buy kia hotta hai, lekin wo $50 par us ko sell karte hen. Lekin jab wo dekhtte hen k stock $55 pe chala gaya to wo apne selling par pechtate hen, is waja se wo bhi faisele kartte hen, k jab bhi aggar stock dobbara $50 pe ayega to wo khareedengay. Ye group bhi $50 par stock k leye demand set karte hen, jis se demand bohutt mazzbot hotti hai. Resistance Example: Resistance k mesal main bhi hum stock ki maojooda qeemat $50 hi tasawar kartte hen, aur buyers stock ko $50 par buy karte hen. Ab aggar qeemat $50 se $55 par chali jatti hai, to traders koshash kartte hen, k wo stock ko $55 par sell karden, bajaye ia k keh ye wapis $50 par aye, aur maximum traders aisa hi karrne ki koshash karrte hen. Jab bohut zyada miqdar main stock market me ferokht k leye pesh hogga to qeematen wapis support level ki taraf chalna shoro kartti hai. Stock par teen qisam k groups ka bohut ziadda pressure parne ki waja se stock $50 k level se wapis mor jata hai, lekin $50 par dobara demand ziadda hone ki waja se qeematen mazzeed nachay nahi jatti hen.
    Support and Resistance Role Reversal
    Technical analysis main ka aik key concept hai k jab bhi prices support aur resistance levels kp breakout kartti hai, to is ka role reversal ho jata hai. Aggar qeemat support level se nechay atti hai to wo level resistance ban jayegi, aur aggar qeemat resistance level se upper jatti hai to ye aksar support level ban jatti hai. Jaise jaise qeemat support ya resistance levels se guzzarti hai, to ye khayal kia jata hai, k supply aur demand main tabdelli aye hai, jis ki waja se ye tabdeeli reversal role kartti hai.
    • #3 Collapse

      Support aur resistance trading mein ahem concepts hain jo traders ke liye maqsadmand hote hain. Ye do levels hote hain jo market analysis mein istemal hotay hain aur traders ko samajhna zaroori hota hai. Chaliye, main aapko support aur resistance ke bare mein roman Urdu mein bata deta hoon. 1. **Support (مدد)**: Support ek level hota hai jahan par traders expect karte hain ke asset ki keemat gir kar rukay gi. Yani ke jab asset ki keemat us level tak aati hai, to woh wahaan rukti hai ya phir us mein izafa hota hai. Support level market mein aik invisible safety net ki tarah kaam karta hai. Traders support level par enter kar sakte hain ya apni existing positions ko wahaan par hold kar sakte hain, umeed hai ke keemat support level tak gir kar wapas barh jayegi. Agar support level tor diya jata hai toh, isse asset ki keemat mein mazeed girawat ki umeed hoti hai. 2. **Resistance (مخالفت)**: Resistance ek level hota hai jahan par traders expect karte hain ke asset ki keemat barh kar rukay gi ya phir kam ho jayegi. Yani ke jab asset ki keemat us level tak pohnchti hai, toh woh wahaan par tham jati hai ya kam hoti hai. Resistance level market mein aik invisible ceiling ki tarah kaam karta hai. Traders resistance level par enter karne se bachte hain ya apni positions ko wahaan par sell kar dete hain, umeed hai ke keemat resistance level tak pohnch kar gir jayegi. Agar resistance level tor diya jata hai toh, isse asset ki keemat mein mazeed izafa ki umeed hoti hai. Support aur resistance levels traders ke liye market mein saaf nishaanay hain. Inko samajhna aur unka istemal karke traders apni trading strategies ko behtar bana sakte hain. Ye levels market mein price movements ko samajhne mein madadgar hote hain aur traders ko trading decisions mein madadgar hote hain. Magar yaad rahe ke market dynamics hamesha change hote hain, isliye support aur resistance levels ko carefully aur updated rakhna zaroori hai.
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        INTRODUCTION TO SUPPORT AND RESISTANCE IN FOREX: Support aur resistance do zaroori concepts hain jo forex trading mein widespread use hotey hain aur unko samajhna successful trading decisions ke liye crucial hai. Support wohayat e muhim hai. Sar woh price level ya zone hai jahan par khareedne ki price level ya zone hota hai jahan pehle wale khareedne ki interest itni strong hoti hai ke price aur neeche nahi ja sakti. Ye price ke liye ek floor ki tarah kaam karta hai, jo usko neeche jane se rokta hai. Support levels pehle ke price action pe based hote hain, jahan buyers market mein enter hue aur demand zone create kiya. Traders support levels ko often dekhte hain takay potential buying opportunities ko identify kar sake, kyunki prices in levels se bounce karne ki tendency rakhti hain. Resistance, dusri taraf, support ka opposite hota hai. Ye ek price level ya zone hota hai jahan bechne ki pressure itni strong hoti hai ke price aur upar nahi ja sakti. Ye price ke liye ek ceiling kaam karta hai, jo usko upar jane se rokta hai. Resistance levels pehle ke price action pe based hote hain, jahan sellers market mein enter hue aur supply zone create kiya. Traders resistance levels ko often dekhte hain takay potential selling opportunities ko identify kar sake, kyunki prices in levels se reverse aur decline karne ki tendency rakhti hain. IDENTIFYING SUPPORT AND RESISTANCE LEVELS: Support aur resistance levels ko pehchanne ke liye traders aam taur par historical price data ka analysis karte hain aur areas ko dekhte hain jahan pehle wale price reversals ya consolidation hui hain. Ek popular method hain horizontal lines draw karna price chart pe, jis mein lowest points ko connect karte hain support ke liye aur highest points ko connect karte hain resistance ke liye. Ye lines future price movement ke liye reference points ki tarah kaam karti hain. Additionally, traders technical indicators jaise moving averages, Fibonacci retracement levels, aur pivot points ka use kar sakte hain support aur resistance levels ko identify karne ke liye. IMPORTANCE OF SUPPORT AND RESISTANCE LEVELS: Support aur resistance levels kayi wajohat se important hote hain. Pehle, ye traders ko enter aur exit trades ke liye key levels provide karte hain. Traders often support levels ko potential entry points ke taur pe use karte hain buy orders ke liye, kyunki prices in levels se bounce hone ki ummeed hoti hai. Similarly, resistance levels ko potential entry points ke taur pe use kiya ja sakta hai sell orders ke liye. Dusra, support aur resistance levels traders ko price trend ki strength ko samajhne mein madad karte hain. Agar prices repeatedly resistance level ko break nahi kar patey, to ye ek strong bearish trend indicate karte hain. Waise hi, agar prices continually support level se bounce ho rahe hain, to ye ek strong bullish trend indicate karte hain. ROLE REVERSAL: Support aur resistance levels role reversal levels ke taur pe bhi kaam kar sakte hain. Iska matlab hai ke jab ek support level break hota hai, to ye tendency hoti hai ke ye ab resistance level ban jata hai, aur jab ek resistance level break hota hai, to ye tendency hoti hai ke ye ab support level ban jata hai. Ye phenomenon isliye hota hai kyunki pehle ke buyers jo support levels pe apni positions hold kar rahe the, ab woh trapped ho jate hain, jiski wajah se woh sellers ban jate hain jab prices broken support level ko test karne ke liye wapis aate hain. Similarly, pehle ke sellers jo resistance levels pe apni positions hold kar rahe the, ab woh trapped ho jate hain aur woh buyers ban jate hain jab prices broken resistance level ko test karne ke liye wapis aate hain. RECOGNIZING BREAKOUTS AND FAKEOUTS: Breakouts aur fakeouts forex trading mein aam hote hain. Breakouts tab hotay hain jab prices successfully support ya resistance level ko todte hain, jisse market direction mein potential changes ka pata chalta hai. Traders often breakouts ka intezar karte hain aur breakout ki direction mein trades enter karte hain. Waise hi, fakeouts tab hotay hain jab prices briefly support ya resistance level ko todte hain lekin phir se wapis reverse ho jate hain. Traders ko fakeouts ki taraf se cautious rehna chahiye kyunki yeh losing trades ka karan ban sakte hain. Fakeouts ki risk ko kam karne ka ek tarika hai ki confirmation ka wait kiya jaye, additional technical indicators ka istemal kiya jaye ya candlestick pattern ka wait kiya jaye, phir trade enter karne se pehle. Conclusion , support aur resistance forex trading mein fundamental concepts hote hain. Support aur resistance levels ki pehchan traders ki madad kar sakti hai behtar trading decisions lene mein aur entry aur exit points ko determine karne mein. Ye levels price trends ki strength ke baare mein insights bhi provide karte hain aur role reversal levels ki tarah bhi kaam kar sakte hain. Iske alawa, traders ko support aur resistance levels ke aas paas trading karte hue breakouts aur fakeouts ki taraf se aware rehna chahiye.

        اب آن لائن

        Working...
        X