Re: What is Trend Line?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Re: What is Trend Line?

    Re: What is Trend Line?

    Assalamualaikum
    Dear Friend main umeed karta hon k ap kahraiyat sy hon gy our forex market main axha kam kr rahy hon gy aj ka jo hamara topic h vo bhot he important our ahm haj hm trend line k bary main discuss krien gy k trend line kia hoti h our ye market main kasy use hoti h our market main kasy work karti h is ko samjhna our seekhnahar trader k liay bhot zarori h apse jo kuch main share krun ga vo apke information our experience main zarori izafa kare ga


    Trend Line

    Trend line aik asani sy pehchani jany wali line h trading ka jo basic part trend line hota h and ye market ka foundation hai market mn trend line chart pr draw karte
    hn tu apko market main hony wali condition k bary mn btati hn k market uptrend mn h ya downtrend mn h,jis ko hm samjh kr apni trend line laga sakty hn.trend line

    forex market mn trend line ko market ki support our resistance b kehty hn jo ko tajir qeemton ki aik series ko apas main jornay k liay chart par khenchate hain ya kuch data ki behtareen foot ko zahir karte hain.nateejay main any wali line ka istamal tajir ko is simt ka axha andaza dany k liay kea jata hai jis main sarmaya kari ki qader muntaqil ho sakti hai.trend line qemat ki murawja simt ko zahir karne k liay pivot point lies k neechay khenchi gai aik lakeer hai.


    Explanation:



    Hm ko jb b chart par trend line draw karna h tu ous waqt do cheezon ka khyal rakhna bhot zarori h sb sy phly hamara hota h uptrend and dosra kia h downtrend in dono

    k darmayn draw hota h trend line.uptrend mn jo hamara banta h vo higher and low our jo downtrend mn banta h vo lower high in ko samjhna ap k liay bhot zarori h
    apko hamesha trend line draw karne sy phly 2 points ka hona bhot zarori hota hai. tu hm logo ka uptrend mn do swing point chaye higher an low our downtrend mn
    b do point chaye lower and high 2 high lower point sy uptrend ka trend line banta h our 2 lower high point sy downtrend ka trend line banta hai jb b hm koi trend line

    draw karte hn tu market ous ko respect karta h trend line draw karny k liay 2 point ka hona bhot zarori h jab b apko market mn apko do point mil jate hn tu ous k bad jo
    hamara trend line draw hota h jb market ous trend line sy bounce ly ly ga tu vo jo line hoti h vo expair ho jati phir hm ko new trend line chaye hota h phir market ous
    ko respect karta ga is ko agar ap samjh kr krien gy tu ap aik axha profit hasil kar sakty hn our main umeed karta hon dosto jo aj main apko trend line k bary mn btaya
    vo apk knowledge our experience mn izafa kry ga.







  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Trend Line?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Trend


    Financial price charts pattern main kisi bhi assets ki movement hamesha aik tarteeb k hisab se hoti hai. Wese to humen normal small timeframes main in movement ka sahi tareeqay se andaz nahi hota hai lekin jab bhi hum in prices ko long term k timeframe main dekhte hen, to humen mukamal tawar par wazih ho jata hai, k prices aik tarteeb k hisab se aik semat main ja rahi rahi hoti hai. Lekin yahan par ye baat bhi note karen k ye prices humesha ussi semat har waqat movement nahi karti hai, bulkeh time k hisab se kabhi kabhi apna semat badalti bhi hai.
    Jab bhi qeematen ya prices aik direction ko follow karti howe jati hai, to uss amal ko prices ka trend kaha jata hai. Trend k dowrran prices aik hi waqat main hamesha aik hi path ya semat ko follow karti hai. Trend jab bhi apna semat badalti hai to uss waqat uss par Kuch beroni anasir asar andaz hoti hai, jiss ko fundamental affects kehte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (34).jpeg
Views:	32
Size:	24.1 کلوبائٹ
ID:	12445493

    Trend Identification


    Trend ki indication hamesha aik hi semat main prices ka move karn ahota hai. Lekin ye movement hamesha k same semat main bulkul 45 degree ya uss se ziada par nahi hota hai, bulkeh waqatan pa waqtan prices kuch lamhe k leye trend k against bhi chalti hai, jiss ko consolidation kaha jata hai. Consolidation hamesha kuch waqat k leye prices ko apne semat ko durust katne ka amal hota hai, jiss ka baad qeematen wapis apni semat ko follow kartti hai.
    Trend ko indification aik straight line hoti hai, jiss main prices ka higher high ya lower lows ko melaya jata hai. Jiss prices ka lower lows ko jo line connect karti hai, wo bullish trend ya uptrend hota hai, jab k higher high ko connect karne wali line bearish trend ya downtrend hoti hai. Aik aur line jiss main prices seedhi semat main chalti hai, wo prices ka sideways trend hota hai, jiss ko ranging bhi kaha jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (74).png
Views:	1
Size:	12.5 کلوبائٹ
ID:	12445494

    Trend Types


    Trend ko aam tawar par teen aqsaam main taqseem kia jata hai, jiss main upward jane wale prices k trend ko bullish trend, downward wale ko bearish trend jab k straight prices movement ko sideways ya ranging trend kaha jata hai, jiss ki tafseel darjazzel hai;

    Click image for larger version

Name:	images (35).jpeg
Views:	1
Size:	31.5 کلوبائٹ
ID:	12445495

    Bullish Trend Bullish trend main prices ka lower lows ko melaya jata hai, jiss se aik 45° ka ya uss se kam ya ziada ka line ban jata hai. Ye trend line kisi assets ki value main izzafa dekhati hai, jiss se uss assets ki prices waqtan pa waqtan barh rahi hoti hai.

    Bearish Trend Bearish trend bullish trend k complete opposite direction main banta hai, jiss main prices k value k lower lows ko mela kar line khenchi jati hai. Ye trend line assets k values main kafi ka ishara deti hai, jiss main prices time to time downward jati hai.

    Sideways Trend Sideways trend baqi dono trend lines se mukhtalif hota hai, iss trend line k doaran prices seedhi movement karti hai, jiss main kisi assets k prices ko bare breakout ka intezar hota hai, q k ye trend line ziada relaib nahi hota hai, jiss main hamesha aik assets ki value same nahi rehta hai.

    Trend Is Your Friend!


    Trend is your friend wala mukalema iss waja se forex trading main ziada mashahoor hai, q k prices in trend lines main bullish, Bearish ya sideways movement karti hai, jiss se traders in trendline ko follow karte howe trading karte hen. Bullish trend line par hamesha k lye buy ka trade entre karen, jab k bearish trend line par bearish aur sideways trend line k leye analysis ki madad se semat ka tayun hone k baad entry karen. Bullish aur bearish trend line main semat wazih hota hai, jab k sideways trend line main muhtat trading karni parti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (73).png
Views:	1
Size:	12.0 کلوبائٹ
ID:	12445496

    اب آن لائن

    Working...
    X