GDP and it's impact:

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    GDP and it's impact:
    • Assalam alaikum dear members!
    • umeed ha ao sb khairiat se hn gy or apka trading week acha gia ho ga.
    • aj ki post main hum GDP ki study karen gy k ye kia hota ha or eska hmari trading k sth kia relation ha.


    WHAT is GDP?
    • Dear members GDP ki full form Gross Domestic Product ha.
    • gross ka mtlb hota ha totala jb k domestic ka mtlb hota ha within country or product se murad ha ksi chz ki production yani pedawar.
    • estrha GDP ka asl mtlb ha k ksi country ki total pedawar.
    • Ye aik Fundamental tool ha wesy to ye economics ka topic ha laikin forex main fundamentally use hota ha.
    • ab jitni js country ki production barhti jygi uski GDP grow krti jygi or us country ki economy strong ho ge estrha economoy k strong hony se us country ki currency ki bhi strong ho ge to automatically forex impact ho ga.
    • Click image for larger version

Name:	BCA6B6AE-10D5-4797-A611-38D085CE33D6.jpeg
Views:	13
Size:	18.1 کلوبائٹ
ID:	12584960
    • fundamentally GDP ka direct data ni ata k GDP aj itni km ho rhi ha ya zada bl k aisy factors jin py GDP depend karti ha unka data ata ha jesa k core retail sales , Unemployement claims or Non Form Pay roll. In sb data ki wja se GDP km ya zada ho skti ha to hmen in data pr nzr rkhni hoti ha or inka effect dkh k trade karni hoti ha.
      Relation of GDP with Forex;
    • Dear members agr ap currencies ya commodities main trade karty hain to apko us currency ki GDP py nzr rkhni hoti ha ap ko us ki hr fundamental news ko study karna hota ha q k jo estrha k data hoty hain inka impact market py bht quick hota ha sudden boom
    • ya crash aa skta ha.
    • fo example agr ap USD main trade karty hain to apko America ki economy or GDP py nzr rkhni ho ge uski hr news ko study karna ho ga.
    • agr america ki GDP grow kary ge to dollar ka rate barhy ga or es k opposite pair ki price km ho ge jesa K GBPUSD agr usd strong ho ga to GBP main sell ki trade bny ge.
    • Click image for larger version

Name:	CE71F61C-0E69-48CF-84A4-610DC14767D5.png
Views:	13
Size:	26.1 کلوبائٹ
ID:	12584963
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: GDP and it's impact:

    ASSALAM O ALAIKUM FRIENDS,

    GDP asl me Gross domestic product ka mukhafaf hai, gdp kisi bhe mulk me mojood commodities jo k use k kabil hon or services jo us cintry me produce ki jati hon wo bhe aik given time period me unki value hoti hai,
    Esko kisi bhe country ki economic health k tor pr smjha jata hai, jo k apny andr tmam mulki productions include hoti hain.

    Click image for larger version

Name:	25520075-9F8A-4D20-930D-6591CDFB37C4.jpeg
Views:	1
Size:	71.1 کلوبائٹ
ID:	12444786

    WAZAHAT

    Kisi bhe country ki gdp ko measure krny k liye govt or esky sath he private consumptions ko bhe shamil kiya jata hai, or esky elawa government outlays, investments ,construction cost or ghyr mulki balance of trade shamil krty hain jis me se imports k charges ko less kr diya jata hai, jab koi mulk apni produckts ko doosry mumalik me sale krny lagta hai tow mulk me pessa ata hai jis se directly tor py mulk ki gdp strong hojati hai,
    Yeni aam alfaz me yeh kahna ghlat nhi hai k jab kisi mulk ki exports me izafa hota hai tow us mulk ki gdp strong hojati hai, bilkul esi trah jab kisi mulk ki imports me izafa hota hai tow eski gdp girawat la shikar hoti hai, mulk me androni tor pr keemton ka anhsaar es ki gdp pr hota hai , jis kdar gdp strong hoti hy hmari currency or mulk ki economy me stability pai jati hai , same esi trah jab gdp kmzor hoti hai tow ashia mehngi hojati hain or aam shakhs unhy khreedny se kasir rehta hai.

    FORMULA :

    GDP ko calculate krny ka formula mudarja zyl hai :

    GDP = private consumption + gross private investment + government investment + government spending + (exports – imports).

    or:

    GDP = C + I + G + (X – M)

    Click image for larger version

Name:	462E9F48-C4D2-4DB8-AB94-DC428E305CFD.jpeg
Views:	1
Size:	40.2 کلوبائٹ
ID:	12444787

    NOMINAL GDP

    Nominal gdp asl me maashi pedawar ka andaza lagana hai, jis me mojoodah prices ko shamil kiya jata hai, yeh inflation or keemton me hony waly izafy ko nhi rokta jo progress k adaad-o-shumar ko barha skta hai, nominal gdp me wo production ya ashia measurement k liye layi jati hain jo esi saal k andr he frokht ki jati hain, nominal gdp ko maapny k liye makami currency or American dollar donu ko estimal kiya jaskta hai, agr kisi mulk ki economy me saal me 4 martba gdp ko measure krn ho tow nominal gdp ko he use kiya jata hai,

    REAL GDP

    Real gdp inflation k sath adjust shuda aik paymana hai jis me diye gye saal me hony wali production or ashia k value ko calculate kiya jata hai jis me prices saal ba saal mustakil rakhi jati hain, jesa k hdp ashia ki maaliyati kadar pr mabni hoti hai esliye yeh inflation pr depent krti hai,
    Barhti hui keemtyn bhe mulk ki gdp me izafa krti hain kion k enko export krny se hamyn achi price bhe mil rhi hoti hai, real gdp ko market me mojood products me tabdeelion ka zimadar bhe maana jata hai, agr kisi mulk ki nominal gdp or real gdp me fark hai tow yeh inflation ka aik wazih ishara bhe hoskta hai.

    IMPACTS

    Dosto upr diye mushahdy se wazih tor pr aik ray kaym ki jaskti hai k kis trah gdp mulk ki economy pr asr andaaz hoti hai or eski agli iksam jesa k nominal or or real gdp bhe khatir khwah economy pr asar andaz hoti hain, es k kisi mulk ki economy py positive or negative donu iksam k impacts pr skty hain, gdp ka mukammal tor pr taluk mulk me hony wali production or services k sath hota hai.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: GDP and it's impact:

      GDP Se Kya Murad hai aaj Ham GDP explain Karte Hain.

      GDP ka Forex trading mein kya hisab Kitab chalta hai aaj Ham isko Apne Alfaaz Mein Byan Karte Hain. Majmooi gharelu masnaut muashi data ko forex market Mein inthai Aham Samjha jata hai. GDP ke aadad o shumar ko bunyad pasarat kise mulk ki majmue sehat aur mumkana taraqi ka andaza Lagane ke liye ek Ishare ke Taur perHam ise istemal Karte Hain.
      Click image for larger version

Name:	download (9).jpeg
Views:	1
Size:	6.5 کلوبائٹ
ID:	12444820


      Forex trader ko GDP ke bare mein kya Janna jaruri hai,

      Majmoi gharelu paidavar Kisi Mulk ki moishat Mein taiyar Shuda Saman ki paidavar aur paidavar ki paimaish Karti Hai GDP kahlati hai. Aamtaur per GDP teen mukhtalif aukat mein paimaish ki Jaati Hai. Mahana saa mahi aur salana. Yah Mehreen iqsadiyat Aur taajiron Ko maishat ki majmue sehat ki Sahi tasvir Hasil karne Ke Kabil banata hai.GDP ka hisab Kitab banane ke liye bahut se tarike Hain. To Ham Euro USD economics analysis ka formula istemal karte hue ikhraji nukta istemal karta hai.Aur Mere Pyare doston GDP ke Aadha do shumar ko Dekhte Waqt anguthe ka amomi suli yah Hai Ki aadad u shumar ya Girte hain ya takhmino se kam hai. GDP reading se kam hone ka imkaan hai ki dusri currencyyon ke mukabale mein Mulki currency ki farokhet band ho jayegi. Ummid Karta Hun Ki aapko Mera artical behtarin Laga Hoga yah artical Maine GDP per taiyar Kiya Hai. Mere Pyare Pakistan Forex ke member ummid karta hun ki aap ko GDP per behtarin artical taiyar Milenge. Lekin GDP per Apna experience share karna Kafi Behtar lag raha hai aur Aage Bhi Is per bahas Karenge. GDP Mulk ki tarkki ke liye Kafi Aham kirdar Ada karti hai. Jaisa ki Hamare Pakistan ki GDP 260 billion dollar tak hai.



      Click image for larger version

Name:	images (21).jpeg
Views:	1
Size:	9.6 کلوبائٹ
ID:	12444819

      اب آن لائن

      Working...
      X