LOt in forex trading market??
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    LOt in forex trading market??
    assalium o alekum

    dear forex member umed krti hun ap sb kharyt s hun gy or mahnat s apna work krrhy hn jesa k ap janty hai k hmy weekly bounce hasil krny k ly daily three post share krni hoti jitni achi post share kry gy itna hi acha bounce hasil kr skty hai chlty h aj k topic ki trf

    lot size

    defination

    Financial market main jahan par bhi trading ho rahi hai, uss main lot size aik lazmi juzz k tawar par dekha jata hai. Lot forex trading main do currencies k darmeyan hone wale trading k leye istemal kia jata hai. Yanni agar aik trader aik currency ki koi miqdar khareedna chahata hai, to uss k leye uss k account main uss miqdar k mutabiq free margin hona zarori hai, jiss se wo trading sar anjam de sakta ho. Lot size ka account k amount, leverages aur matloba assets k spread k sath bara gehra taluq hota hai. Aam zindagi main bhi agar aik person aik single American dollar khareedna chahata hai, to uss ko 175 Pakistani rupees dene parhte hen, isi tarah se agar hum ziada amount main khareed-wa-ferokht karna chahaengay to uss k leye humen apne miqdar ko barhana hota hai, jo k lot size k zimre main ata hai.



    types

    Lot size generally trader apni marzi se select karta hai, aur jo uss k account ka ka balance ho uss k mutabiq select hota hai. Lekin lot size k kuch selected adad hen, jin ko uss k miqdar k mutabiq naam deye gaye hen, jo k darjazzel hen;


    Standard lot size

    Standard lot size k naam se saaf zahir hai, k ye lot size ki standard akaye hai, jiss ko forex trading currencies main 1.0 se zahir kia jata hai. Standard lot size main 100,000 currencies units hote hen.


    MiNi lot size

    Standard lot size k baad bari ati hai, Mini lot size ki jo k miqdar main standard lot size se kam hota hai. Ye lot size 10,000 currencies units par mushtamil hota hai. Jiss ko forex trading main 0.1 se zahir kia jata hai, aur standard lot size k 1/10 k barabar hota hai.


    MICRO lot size

    Forex trading main retailer ki taraf se yanni small traders ki taraf se sab se ziada istemal hone wala lot soze hai, jiss ko micro lot size kehte hen. Ye lot size 1000 currencies units par mushtamil hota hai, jab k mini lot k 1/10 aur standard lot k 1/100 k barabar hota hai.


    NaNu

    Nanu lot size sab se kam lot size hota hai, jiss ko forex trading main 0.001 se zahir kia jata hai, jo k 100 currencies units ka hota hai. Ye lot size sab se micro lot size k 1/10, mini k 1/100 jab k standard lot size k 1/1000 k barabar hota hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: LOt in forex trading market??

    Assalamoalaikum friends
    Forex ki dunia me jb hum trading krny k liye market pr mojood kisi bhe pair pr trading krny lagty hain tow hum se aik swal poocha jata hai k es trade pr ap ki bet yeni lot lgni hai, dosto lot size trading ka aik ehm hissa hai ,jis me hum trade ka size tey kr rhy hoty hain,
    lot ka size jitna bara hota hai usi lihaaz se profit or loss ka takhmeena lgaya jata hai,
    Forex market me traders k liye khwah wo choty hon ya bry mukhtlif lot sizes mojood hoty hain jin ko select krty huy traders apni roz mraah ki trades ko anjaam dety hain.

    TYPES

    Click image for larger version

Name:	B979B58B-D987-487F-8217-8AF7C0F421A9.png
Views:	1
Size:	82.4 کلوبائٹ
ID:	12444364

    1:standard lot
    2:MINI
    3:MICRO
    4:Nano
    Disto yeh chand ehm types hyn lots ki ,enko select krty huy hum ba asani kisi bhe pair pr apny balance k mutabik trade open kr skty hyn.


    IMPORTANCE

    har aik trade me upr di gyi kisi bhe lot ko select krta boht zrori hy,lot size se he hmari trade pr profit or loss ka inhsaar hota hai,
    Yeh trading me estemaal hony wali aik ehm term hy esky bina trading ka wjood bhe mumkin nhi hota,
    Apny account balance k mutabik trade open krna bhe aik skill hy jis ki bina pr he hum bghyr kisi loss k profit gain kr skty hain.

    STANDARD LOT

    Yeh lot size aam tor pr bry traders use krty hain jina account balanace boht zyada hota hai,yeh lot size 100,000 units pr mabni hota hai,
    Yeni agr apka account balance itny units pr mushtamil hai tow ap yeh trading lot soze select kr skty hain,
    Eska volume 1.0 hota hai, yeni aik open hony wali lot 10$ pr mushtamil hoti hai.

    MINI LOT

    yeh lot size standard size se kafi hadd tak km hota hai eska volume 0.10 hota hai or lot size 10,000 tak hota hai,yeh type bhe zyada tr bry traders he use krty hain jinka account balance kafi zyada hota hai,es lot size me aik trade 1.0$ ki hoti hai.

    MICRO

    yeh trading lot size aam tor pr hum jesy choty traders use krty hain,eska lot size 1000 tk hota hai or volume 0.1 hota hai,
    Es syntax me trade 0.1$ ki open hoti hai,or yeh tareeka boht zyada use kiya jata hai,
    Yeh kahna ghlat nahin hoga k choty traders k liye yeh trading lot size boht he mozoon hai.

    NANO

    trading ki dunia me agr bat ki jaye sab se choty trading lot size ki tow hmary samny MICRO trading lot size ata hai,
    Eski lot 100 units pr mabni hoti hai or eska volume 0.001 hota hai,
    Es trading size pr agr hum trade open krty hain tow hmari single trade 0.01pip pr mushtamil hoti hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X