Identification and appearence of Inside Bar candlestick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Identification and appearence of Inside Bar candlestick pattern
    Dear friends, Inside bar candlestick pattern aik aisa price action pattern hay jo kafi commonly use hota hay, yeh us waqt banta hay jab kisi pair ki price guzray huay din ki high aur low range main trade karay aur us din kay mutabik candle ya bar banay, pattern boht hi simple hota hay aur ham is ko easily analyse kar saktay hain is liay hamain is patron ko zarur samajhna chaiay,

    Information about inside bar candlestick pattern:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230122_1833_22_3290.jpg
Views:	1
Size:	26.3 کلوبائٹ
ID:	12584329

    Yeh aik common use honay wala candlestick pattern hay, jo bearish, bullish ya trend continuation ho sakta hay, is pattern ki pehchan boht simple aur easy hay, matlab ager first candle bullish ho to us kay baad second candle is kay high point say ya is kay below open ho aur low is kay minimum point par ya is say above rahay aur second candle ki body last candle say kam ho, third yeh candle bearish he rahay, is say hamain is pattern ki pehchan ho jati hay keh ye aik bearish inside bar pattern ban gia hay, jab kay bullish inside bar pattern isi ka reverse hota hay, trend continuation main ager ye pattern bany to iski pehchan bhi possible hay matlab ager trend up ho, jahan per candle close ho, wahin say ya thori down gap say candle open ho kar below aye laikin previous candle ki low jaga say below na jay aur dobara above ja kar small body bana lay

    Appearence of candles in inside bar candlestick pattern:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230122_1833_22_8923.jpg
Views:	1
Size:	29.0 کلوبائٹ
ID:	12584330

    Is pattern main aik large candle ki opening aur close point kay darmian new candle create hoti hay jo kisi bhi direction main ho sakti hay aur yeh previous candle say choti hoti hay, yeh internal bar two candlestick price pattern par mabni hoti hay aur bullish ya bearish harami pattern kay similar hoti hay, laikin difference yeh hi hota hay kay andar ki bar kay sath high aur low par ghor kia jata hay jab kay real body ko ignore kia jata hay, inside bar pattern ko generally reversal pattern bhi keh saktay hain second bar ya candlestick pehli bar ya candle kay high aur low kay darmian engulf ho, is pattern ko seekh kar aur samajh kar trade ki jay to in say boht effective strategy banai ja sakti hay, is main candlesticks apko market ki different points ki thek indication daiti hain

    Trade strategy based on inside bar candlestick pattern:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230122_1833_22_6811.jpg
Views:	1
Size:	21.1 کلوبائٹ
ID:	12584331

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230122_1833_22_7792.jpg
Views:	1
Size:	10.2 کلوبائٹ
ID:	12584332

    Inside bars ko bar chart kay zariay thek tarah identify kia ja sakta ha, is kay ilawa candlestick chart ko bhi use kar kay in ki pehchan ki ja sakti ha, jab inside bar pattern ban jata hay to iski candles strong bullish yeh bearish hoti hain, Inside bar pattern kai baar trend ki proper prediction nahi karta jis say kai traders ko loss bhi ho jata hay, laikin ager traders is kay sath experience aur analysis ka use kartay huay kisi indicators say bhi calculation karain to woh behtar tor par is pattern par profitable and safe trade kar saktay hain,

اب آن لائن

Working...
X