Detailed information on appearence and features of Bearish Harami candlestick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Detailed information on appearence and features of Bearish Harami candlestick pattern
    Forex trading main appear honay walay candlestick patterns main say aik bearish harami pattern hay, jo aik bearish reversal pattern hota hay aur negative trend reversal ka signal daita hay, is main two candles hoti hain jis main first bullish aur dusri bearish hoti hay, iski body previous candle ki range main hi hoti hay aur yeh uptrend kay top par banti hay, is kay sath boht saray traders relative strength index aur stochastic oscillator ko use kartay hain ta kay achay aur reliable results hasil hon,


    Appearence details of Bearish Harami candlestick pattern:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230122_0742_11_9392.jpg
Views:	1
Size:	7.3 کلوبائٹ
ID:	12584241

    Bearish harami pattern two candles par mushtamil hota hay, is main first long green yani bullish hoti hay aur second candle short red matlab small bearish hoti hay, yeh second candle first candle ki body say small honi chaiay, ya phir yeh keh saktay hain kay second candle first candle ki body kay andar tak honi chaiay, waisay to is pattern main market main slight price change hota hay jo agr capital strong ho ziada matter nhi karta, Bearish harami pattern kay sath boht saray trader dusray indicator ko bhi use kartay hain ta kay woh apni kamiabi kay chances ko increase kar sakain, is pattern main second candle ka size kam ho ga to high chance ho ga kay trend reversal occur karnay wala hay, bearish harami pattern kay opposite pattern hota hay isko bullish harami pattern kehtay hain,

    How to adjust trades in bearish harami pattern:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230122_0742_12_0203.jpg
Views:	1
Size:	13.2 کلوبائٹ
ID:	12584242

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230122_0742_11_6540.jpg
Views:	1
Size:	11.5 کلوبائٹ
ID:	12584243

    Is pattern main trades ko mufeed tarikay say apply karnay kay liay stoploss second candle kay low point par set karain aur take profit support aur resistance kay hisab say adjust karain, jab bearish harami pattern create ho jata hay aur signals overbought ki indication dain to aik small position open ki jati hay, is pattern kay waqt downtrend main trade karna boht mufeed hota hay, pattern ki tarteeb ko ziada sensitive bananay say mazeed behtar results hasil ho saktay hain ta kay woh trend ki retracement kay doran overbought reading ko thek register kar sakay, jab yeh oversold area main wapis jata ha to acha profit mil sakta hay,

    Conclusion drawn from this pattern:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230122_0742_11_8451.jpg
Views:	1
Size:	18.8 کلوبائٹ
ID:	12584244

    Agr traders kay pass market ko observe karnay ka acha expedience aur time nhi hay to un ko chaiay kay woh apna stop loss second candle kay low point par set karain, take profit set karnay kay liay pehlay support aur resistance ko find karna chaiay aur in kay hisab say take profit set karna chaiay, achy results kay liay RSI aur oscillator ko is pattern k sath use kia ja sakta hay, laikin time frame jitna big use karain gay utna he profit acha hasil honay kay chances hon gay, traders ko yeh baat mind main rakhni chaiay kay koi pattern bhi 100 percent confirm success nhi daita, Profit hasil karnay kay liay trader ko in kay sath apna experience use karna hota hay,
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Detailed information on appearence and features of Bearish Harami candlestick pat

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Harami Pattern


    Bullish harami Candlestick Pattern prices k bottom par banne wala aik strong two days candlestick pattern hai, jo k prices ko bullish trend reversal main badal deta hai. Bullish harami pattern main shamil pehli candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices k bottom trend ki mazboti ki alamat hoti hai, jab k dosre din ki candle aik small real body wali bullish candle hoti hai, jo open aur close pehli candle k real body main hoti hai. Pattern ki dosre din ki candle pehle din ki candle se lazmi size main small honi chaheye aur ussi ki real body main banni chaheye. Dosre aam two days candlestick pattern ki tarah bullish harami candlestick pattern bhi two days candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle bearish jab k dosri candle bullish pattern ki hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	609433.jpg
Views:	1
Size:	12.1 کلوبائٹ
ID:	12443979

    Candles Formation


    Bullish engulfing candlestick pattern prices k bottom ya lower prices par high demand ki waja se banta hai, jahan par do candles prices ki trend change ka aik positive signal deta hai. Pattern ki dono candles strong real body main banti hai, aur market ki current supply aur demand ki akasi karti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	609432.jpg
Views:	1
Size:	7.0 کلوبائٹ
ID:	12443980

    1. First Candle: Bullish engulfing candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k market main maojood current trend ki akasi karti hai. Ye candle prices ko lower side par push karti hai, jiss main candle ka close price open price se lower side par hota hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.

    2. Second Candle: Bullish engulfing candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k bottom par gap main open ho kar ussi k top par close hoti hai, aur ye lazmi pehli candle se real body main bari honi chaheye. Bullish candle market main current bearish trend ka khatma karti hai, aur prices ko aik new semat deti hai, jo k bullish trend reversal hota hai.

    Explaination


    Bullish harami candlestick pattern market k bottom ya bearish main banne ki waja se prices k leye bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Ye pattern two days candles (bearish aur bullish candles) par mushtamil hota hai, jiss main pehli bearish candle prices k bullish trend ki mazboti batati hai. Dosre din ki bullish candle aik small real body ki banti hai, jo jiss ka open aur close pehle din ki candle k real body yanni candle k open aur close k darmeyan main hota hai. Bullish candle market main current bearish trend ka khatma karti hai, aur prices ko aik new semat deti hai, jo k bullish trend reversal hota hai. Dosri bullish candle ka lazmi real body honi chaheye jiss ka open aur close same price par nahi hona chaheye.

    Click image for larger version

Name:	609431.jpg
Views:	1
Size:	6.2 کلوبائٹ
ID:	12443978

    Trading


    Bearish harami candlestick pattern market main bearish taqat ko bullish power main badalte howe dekhata hai, ye candle pattern downward main strong bullish reaction deta hai, jiss se qeematon ka trend bearish reversal ho jata hai. Bullish harami pattern par trading k leye zarori hai k prices bottom trend ya low prices area main hon, dosra pattern ki confirmation candle ya technical indicators se bhi zarori hai. Aggar dosri candle k baad teesri candle aik real body wali bullish candle banti hai to ye position market main buy ki entry ka hogi. Stop Loss pattern k kisi bhi position k sab se lower side, jo ziada tar pehli candle k bottom price bane ga, se two pips below par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (8).jpeg
Views:	3
Size:	12.7 کلوبائٹ
ID:	12443981

    اب آن لائن

    Working...
    X