Information of "Wolfe waves pattern" and its classification detail

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Information of "Wolfe waves pattern" and its classification detail
    Dear friends, Wolfe wave pattern aik natural pattern hay, iski basic shape supply aur demand kay darmian balance ya is kay liay struggle ko indicate karta hay, is pattern ko kisi na develop nhi kia balkay supply aur demand kay level ki prediction kay liay aik source kay tor par discover hua,

    Classification of Wolfe waves pattern:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230115_1020_31_5322.jpg
Views:	1
Size:	22.3 کلوبائٹ
ID:	12581498

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230115_1020_31_6343.jpg
Views:	1
Size:	11.1 کلوبائٹ
ID:	12581499

    ye pattern channels par mabni hota hay aur mukhtalif time range main use kia jata hay jo minutes say lay kar weeks tak balkay months tak ho saktay hain, is ko further three types kay pattern main classify kia jata hay, jo yeh hain

    First rising channels in uptrend

    Second falling channel in downtrend

    third level channel during consolidation period


    Appearence and information in wolfe waves pattern:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230115_1020_31_4411.jpg
Views:	1
Size:	19.2 کلوبائٹ
ID:	12581500

    Wolfe wave pattern ko samajhnay kay liay pehlay hamain Elliott Wave ko samajhna zaruri hota hay kiun kay market main jitni bhi waves ban rahi hoti hain woh Elliott Wave theory ko follow kartay huay banti hain, wolfe waves pattern kay sath profitable trading kay liay trends ko accurately identify aur exploite karna zaruri hota hay jo kafi mushkil hay, is main five waves banti hain jin main say three impulse waves hoti hain aur two correction waves hoti hain, Jab fifth wave bhi below aye aur 1st and 3rd wave say mazeed down aa jaye to ye wolfe wave pattern ki takmeel karta hay aur jab sixth wave uper bannaa shuru ho to us waqt timely bullish main trading entry kafi achi earning day sakti hay, jab market ki moment ko focus kar kay compare kartay hain to ap correction aur impulse ko identify kar sakain gay, yeh waves aik zigzag pattern banati hain yeh bullish aur bearish dono hoti hain,

    Trading tactics based on wolfe waves pattern:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230115_1020_31_2540.jpg
Views:	1
Size:	14.9 کلوبائٹ
ID:	12581501

    Wolfe waves pattern main seller aur buyer ki strength hasil karnay ki waja say market stability ki taraf move karti hay, is pattern main sab time frames behtreen working kartay hain, Wolf Pattern main do cheezon ka trader ko batata hay, aik price ki heading aur peak ki placing ko predict karta hay, aur dusra yeh batata hay kay kab market price in heading aur peak per hogi, pattern man jab fifth wave price breakout karti hay to trader ko buy ya sell ki trade active karni chaiay aur stop loss ko previous support ya ya resistance level par set karain jab kay take profit ko bhi next support resistance levels per place karna chaiay

اب آن لائن

Working...
X