Identification criteria and characteristics of "High wave candlestick pattern"

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Identification criteria and characteristics of "High wave candlestick pattern"
    Dear friends, forex trading main candlesticks market ki moment ki conditions ki guidance day rahi hoti hain, yeh pairs ki strength aur weakness ko show kar rahi hoti hain aur is purpose kay liay kafi popular samjhi jati hain, in ki base par traders market kay uptrends, downtrends aur sideways ki prediction kartay hain, kai baar hamain aik single candle information day rahi hoti hay aur kabi mukhtalif candles mil kar hamain trade signals faraham hain, candles kay patterns main say aik "High wave candlestick pattern" bhi hota hay,

    How this pattern is formed or appeared:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211207_2014413.jpg
Views:	2
Size:	18.8 کلوبائٹ
ID:	12581158

    High wave pattern aik single candle hoti hay, jis ki small real body hoti hay lakin is ki upper aur lower shadows kafi large hotay hain, yeh candle doji ya spinning top candles ki tarah market main indecisions ya uncertainity ko zahir karti hay, is liay traders is candle ki base par trade main entry nahi kartay kiun kay yeh aik kafi risky faisla ho sakta ha, yeh candle market ki direction kay change honay ka signal consider kia ja sakta hay, market kay trends ki bottom ya high par boht saray high wave candle patterns create ho rahay hotay hain jo iski changing direction ko show kartay hain,

    How to identify this pattern:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211207_2014412.jpg
Views:	2
Size:	17.5 کلوبائٹ
ID:	12581159

    High wave candle aik long bullish ya bearish candle hoti hay jis ki real body small hoti hay aur is kay above aur below long wicks hoti hain, is candle main opening aur closing points same nhi hotay, high wave ki construction long legged doji ki tarah hoti hay, yeh candle bhi hamain market ki indecision ka batati hay, is candle ki importance market ki position say hi pata chalti hay, traders ko is kay baad wali candle ki confirmation kay sath market main entry karni chaiay,


    Information for traders:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211207_2014411.jpg
Views:	2
Size:	15.9 کلوبائٹ
ID:	12581160

    Normaly is pattern main traders ko yeh hi idea hota hay kay throughout specific period main bulls aur bears market ko move karnay ki koshish main hotay hain lakin end main dono kamyab nhi ho patay, lihaza supply aur demand ki forces same honay ki waja say market koi clear direction main moment ko predict nhi kar pa rahi hoti, is tarah ki conditions main traders ko volume aur prices ka previous data use karna chaiay ta kay thek direction determine kar sakain aur unhain acha entry point hasil ho
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Identification criteria and characteristics of &quot;High wave candlestick pattern&quot;

    Assalamu Alaikum Dosto!


    High Wave Candlestick


    High wave candlestick aik single small real body candle hone ki waja se analysis main bohut ziada istemal hoti hai. Japanese candles ko is wajah se trading ke dauran analysis mein zyada pasand kiya jata hai, kyunki ye candles single candle hone k bawajood bhi aik complete pattern tashkeel deti hai. Jab bhi ye single candlesticks prices k top ya bottom main paye jaati hai, to uss waqt ye trend reversal ka kaam karti hai. Single candle mein doji candles aur small real body wali candles akele ya dusre candles ke sath prices main leading indicator ka kaam karti hai. High wave candlestick prices ke top ya bottom mein trend reversal pattern ka kaam karti hai, jab ki yahi candle sideways market mein neutral candle tasawar ki ki jati hai.

    Click image for larger version

Name:	high-wave-candlestick-1.png
Views:	6
Size:	5.7 کلوبائٹ
ID:	12441089

    Candles Formation


    High wave candlestick prices k top par akele hi trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle small real body bhi aik strong position rakhti hai, jiss ki technical analysis main bohut ziada ahmeyat hai. High wave candlestick ki formation darjazzel tarah se hoti hai:

    Click image for larger version

Name:	high-wave.png
Views:	3
Size:	5.6 کلوبائٹ
ID:	12441090

    High Wave Candle: High wave candlestick small real body k hone ki waja se ye candle bullish aur bearish dono tarah se hoti hai. Ye candle prices k bottom main bullish trend reversal jab k prices k top par bearish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle aik small green ya red real body rakhti hai, jiss k upper aur lower sides par aik long shadow ya saya hota hai.

    Explanation

    High wave candlestick k banne ki pechahay ki psychology ka inhisar traders par munhasir hoti hai, jab bhi buyers ya sellers prices ko kisi khas semat main move karne k baad wapis dosri semat main same pressure se push karte hen. Lekin kahani yahan khatam nahi hoti, bulke din k ikhtetam tak prices wapis apne aghaz wali position k qareeb a kar close ho jati hai. Iss soratehal main jo candle banti hai, wo High wave candle hoti hai. Ye candle small real body ki hoti hai, jiss main prices ka open aur close same point par nahi hota hai, jab k upper aur lower sides par long shadows hota hen. Shadow length main taqreeban dono sides par same hota hen, jo buyers aur sellers ki barabari ko dekhati hai.

    Click image for larger version

Name:	bullish-and-bearish-high-wave-candlestick-chart-candlestick-chart-pattern-for-traders-powerful-b.jpg
Views:	2
Size:	36.6 کلوبائٹ
ID:	12441088

    Trading

    High wave candlestick prices k top par ya bottom main ziada behtar tawar par kaam karti hai. Normal ye candle neutral tasawar ki jati hai, q k iss ki aik to small real body hoti hai aur dosra iss ka shadow kisi aik side par size ziada nahi hota hai. Bearish market main bullish trend reversal k leye buy ki entry ki ja sakti hai, jab k bullish trend main bearish trend reversal k leye sell ki entry k trades open keye ja sakte hen. Candle par trading se pehle long timeframe ka hona zarori hota hai, jab k trend reversal k leye confirmation candle ki bhi zarorat hoti hai. CCI indicator aur stochastic oscillator par trading k dowran support aur resistance levels ya overbought aur over-sold zone hona chaheye. Stop Loss candle k low ya high prices se two pips below ya above set kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	high-wave-candlestick-trading-strategy-1.png
Views:	4
Size:	13.3 کلوبائٹ
ID:	12441087

    اب آن لائن

    Working...
    X