Formation and identification of Bearish Stalled candlestick pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Formation and identification of Bearish Stalled candlestick pattern
    Dear friend, forex main candlestick patterns kay zariay traders market aur pair ki moments aur behaviour ki probability ko predict kartay hain, candles kay yeh patterns bullish ya bearish sentiments ko indicate kartay hain aur market kay trends ki reversal kay sath sath continuation ki guidance bhi daitay hain, yeh pattern mukhtalif types kay hotay hain jin main say aik "Bearish stalled pattern" bhi hay,


    Appearence and formation of this pattern:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220112_1004101.jpg
Views:	2
Size:	19.8 کلوبائٹ
ID:	12580709

    Bearish stalled pattern three candles par mushtamil hota hay aur aik bearish reversal pattern hay jo uptrend main zahir hota hay, yeh market main bullish trend ki coming reversals ko predict karta hay, normaly yeh pattern bearish reversal pattern hota hay laikin phir bhi is baat kay kafi chances hotay hain aur market main decrease kay doran stalled pattern ki taizi say different appearence bhi zahir ho sakti hay, is pattern ko deliberation pattern bhi kaha jata hay, is ka opposite bullish stalled pattern hota hay jo downtrend reversal ko zahir karta hay

    How traders identify this pattern:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220112_1004100.jpg
Views:	5
Size:	18.6 کلوبائٹ
ID:	12580710

    pattern ki validity ya confirmation kay liay hamain is main yeh conditions daikhni hoti hain kay pattern ki pehli candle long bullish hoti hay aur second candle bhi bullish hoti hay jo first candle ki real body say short hoti hay, third candle bullish hoti hay magar is ki length first aur second candles say small hoti hay aur yeh candle previous candle kay high point ko exceed nhi karti, ye third candle second candle kay close kay kareeb open hoti hay aur iski long upper wick bhi hoti hay


    Indications for traders:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220112_1004103.jpg
Views:	2
Size:	14.6 کلوبائٹ
ID:	12580711

    Pattern main appear honay wali pehli bullish candlestick market main bullish sentiments ko zahir karti hay aur market kay current trend ki strength ka andaza hota hay, jab kay next two candlesticks boht small aur bullish hoti hain jo yeh indicate karti hain kay bulls momentum loose kar rahay hain aur bears control gain kar rahay hain, ye loosing positive momentum resistance create karta hay jis ko break karnay main prices struggle karti hain, jo pull back ya reversals ki information daitay hain, pattern main candle ka yeh decreasing size is bat ko indicate karta hey kay bulls apni raftar kho aur unki strength bhi km ho rahi hay jab kay ab bears market ka control hasil kar rahay hain,
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Formation and identification of Bearish Stalled candlestick pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Stalled Candlestick Pattern


    Bearish stalled candlestick patteren bearish trend reversal signal dene wala pattern hai, jo aik wazeh uptrend ke baad yeh pattern amal mein aata hai. Bearish stalled candlestick patteren ki tashkeel teen bullish ya white candles par mushtamil hai aur jo price chart par bottom prices par banne wale three white soldier pattern se mushabihat rakhta hai. Bearish stalled candlestick pattern ki tashkeel mein pehli candlestick aik lambi bullish candle hai, jis ka upper ya lower side par shadow bohat kam banta hai. Pattern ki baqi do candles yani dosri aur teesri candles bhi bullish candles hoti hai. Pattern ki dosri aur teesri candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, lekin dosi candle k upper side par shadow bohut lamba hota hai. Pattern ki dusri aur teesi candle pehli candle k real body main open hoti hai,j jiss mein teesri candle aik small marubozu candle hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20230205_131421.jpg
Views:	3
Size:	62.4 کلوبائٹ
ID:	12446334

    Candles Formation


    Bearish stalled candlestick patteren prices k top main ziada buying k baad market k mumkina bearish trend reversal ka ishara deta hai, jo k teen musalsal bullish candles par mushtamil hota hai. Ye pattern bullish candles ka hone k bawajood bhi bullish trend confirmation k muqabele main prices ko downtrend ka rasta deti hai. Pattern main candlestick ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220112_1004100.jpg
Views:	5
Size:	18.6 کلوبائٹ
ID:	12446336

    1. First Candle: Bearish stalled candlestick patteren ki pehli candle aik bullish candles hoti hai, jo k real body main strong candle banti hai, aur ye candle prices k uptrend ki tasalsul ki alamat hoti hai. Pattern ki pehli candle aik bagher upper aur lower shadow ki hoti hai, jiss ka open price close price se ooper hota hai.

    2. Second Candle: Bearish stalled candlestick patteren ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body ya uss k close price k baad open hoti hai, jo k upper par close hoti hai. Iss ka candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, jab k upper side par aik lamba shadow hota hai.

    3. Third Candle: Bearish stalled candlestick patteren ki teesri candle bhi same pechli do candles ki tarah aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body ya uss k close price par open ho kar upper par close hoti hai. Ye candle ziada tar pechli dono candles se size main kam hoti hai, jab k ye candle aik marubozu candle hoti hai.

    Explanation

    Bearish stalled candlestick patteren chart par teen lagatar bullish candles ka aik majmoa hai, jiss k leye market ka top area hona zarori hai. Ye pattern teen bullish candles par mushtamil hai, jo k prices k leye bearish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Pattern dekhne main same three white soldier pattern jaisa hai, q k teeno candles bullish hone k sath sath higher high par close hoti hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish Marubozu candle hoti hai, last teesri candle bhi aik Marubozu candle hoti hai leki size main pehli candle se bohut small hoti hai. Pattern ki dosri candle upper shadow k sath hoti hai, jiss ki real body pehli candle ki nisbat kam hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (8).png
Views:	24
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12446333

    Trading

    Bearish stalled candlestick patteren main pehli candle strong bullish trend ki alamat hoti hai, lekin baad wali dosri aur teesri candles market main bulls ki kamzori zahir karti hai, jo k market main dilchaspi lena kam karte hen. Pattern ki teeno candles ka bullish hone ki waja se confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur last bullish candle k bottom par close honi chaheye. Pattern k baad bullish candle banne se pattern invalid tasawar hoga, jab k trend ki confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, aggar CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main trade kar raha ho. Stop Loss pattern k sab se top ya teesri bearish candle k high price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20230205_132120.jpg
Views:	2
Size:	86.7 کلوبائٹ
ID:	12446332

    اب آن لائن

    Working...
    X