Assalamu Alaikum Dosto!
Two Black Gapping Candlestick Pattern
Two black gapping candlestick pattern prices main bearish trend continuation ka aik pattern hai, jo k bearish trend ya prices k bottom main banta hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli aur dosri candle same bearish trend wali hoti hai, lekin ye market main pehle se maojood bearish trend se below gap main banti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k midpoint majn open ho kar nechay close hoti hai, jiss se pehli candle k close price aur dosri candle k open price k darmeyan aik gap banta hai, lakin ye gap dosri candle knreal body se cover ho jata hai, q k wo pehli candle k lower par close hoti hai.
Candles Formation
Two black gapping candlestick pattern prices k lower side ya bearish trend main prices ko same pattern main agay move karwane ka ishara deta hai. Ye pattern do candles ka hai, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Two black gapping candlestick pattern ki pehli candle aik bearish hoti hai, q k ye same pattern k mutabiq banti hai, ye candle aik to trend se lower side par banti hai, dosra ya candle long real body par mushtamil hoti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai.
2. Second Candle: Two black gapping candlestick pattern ki dosri candle bhi same trend k mutabiq hoti hai, lekin ye candle bajaye dosri candle k close point par open ho jaye, uss se abaove uss ki real body main open ho kar nechay ja k close hoti hai. Ye candle bhi color main black ya red hoti hai.
Explanation
Price chart par gapping candlestick pattern hamesha trebd continuation k leye ziada tar istemal hote hen, jiss main Two black gapping candlestick pattern bhi shamil hai, jo k bearish trend ya low price area main banne par bearish trend continuation ka kaam karta hai. Ye pattern hesha marketain bara gap ane ki waja se banta hai, q k pehli candle aik to bearish trend main bhi bearish hoti hai, jab k sath hi sath below gap main banti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k close point se above open ho kar uss se nechay ja k close hoti hai. Agar ye pattern newly breakout bearish trend main banta hai to ye prices ko bohut teezi k sath nechay le kar jati hai.
Trading

Two black gapping candlestick pattern sellerak leye market main bearish signals ya sell ki entry ki position ka batati hai. Pattern bearish continuation pattern main prices ko teezi k sath nechay le kar jati hai. Continuation patterns trend reversal pattern ki nisbat ziada kamyab hoti hai. Ye pattern bhi prices ko mazeed downward push karti hai. Pattern lar trading se pehle market ka baghawar position check karen, confirmation candle k baad sell ki entry karen, jo k aik real body wali black candle honi chaheye, jo dosri candle k low par close honi chaheye. Pattern k ziada losses se bachne k leye Stop Loss ko sab se top position ya pehli candle k top se two pips above set karen.