Assalamu Alaikum Dosto!
Leading aur Lagging Indicators
Leading indicators trend k breakout ya reversal jane se pehle uss ki identification karte hen, jab k iss k bar akas lagging indicators trend k breakout ya reversal hone k baad uss ki information deta hai.
Forex trading main day trading k leye aik aham indicator ka intekhab karna bohut ziada ghawar talab kaam hai. Aik indicator sirf ya nahi batata k kia honne wala hai, bulkeh ye bhi zarori hota hai k kab hone wala hai.
Forex trading main stock, commodities aur currencies par trading k leye dono tarah k indicators aynni leading indicators aur Lagging Indicators ka istemal kia jata hai. Technical analysis main ye dono tarah k indicators kese kaam karte hen, aur un ko sahi position par istemal kese kia jata hai, iss ki tafseel darjazzel hai.
Lagging Indicators
Ye baat bulkul thek hai k lagging indicators delay signal deta hai. Aggar cheh ye apke strategy se thora sa mukhtalif ho sakta hai, lekin haqqiqat main aisa nahi hai. Lagging indicators trend ki sahi tareeqay se janchne k baad signal deta hai. Lagging indicators moving averages k buyad par kaam karte hen. Bohut sare indicators moving averages ka formula istemal karte hen; jaise MACD jo k "moving average convergence divergence" ka abbreviation hai, Bollinger band indicator jiss ka centre band "Simple moving average" ka istemal karta hai.
Scalping traders k leyw lagging indicators ziada kar amad nahi hote. Lekin swing trading strategy istemal karne wale trader k leye jahan uss ka hadaf 50 se 60pips tak hota hai, main agar 5 se 10 pips ghayeb ho jaye to ye ziada loss nahi hai, lekin agar signal reliable mele to.
Lagging indicators sirf trend ki tasdeeq karne main madad-gar sabit nahi hote, bulkeh wo iss sorat main bhi achahy hote jab trend reversal honne k shanakht main bhi madad dete hen.
Leading Indicators
Leading indicators trend k reversal hone se pehle signal deta hai. Agar cheh ye bohut achay indicators lagte hen, lekin ye aksar false ya ghalat signal bhi de jate hen. Ye indicators risk management k tekht hi istemal hote hen, aur iss ki strategies ko kamyabi se istemal kia jata hai. Agar inn main chand aik single ghalat bhi ho tab bhi ye kamyab indicator hote hen. MT4 ya MT5 main istemal hone wale Relative Strength Index, Stochastics Oscillator waghera iss indicator main shamil hen.
Leading indicators k leye ye zarori nahi hai k sara tawjah iss bat par ki jaye k aik achah trend line kese khencha jaye, bulkeh iss main ziada tar inhisar market ki indication par hoti hai.
Leading Indicators vs Lagging Indicators
Aam tawar par leading indicators lagging indicators ki nisbat ziada signals deta hai. Dono indicators ka ekhata istemal karna ziada maozon nahi hai, k agar leading indicators signal de aur aap lagging indicators se uss ki confirmation karna chahey to uss sorat main aksar signal mutasir-kun nahi rehta.
Forex trading mai kaam k hawale se aap ko thore se sakht faisele lene parte hen, aur dono indicators main se kisi aik ka intekhab karna parta hai, jab k sirf aik indicator ka akele istemal bhi ziada faidamand nahi rehta hai.
Traders ko trading k dowran bohut ziada indicators ka istemal nahi karna chaheye, q k kabhi bhi sare indicator aik jaise signal nahi deta hai. Ziada indicators se kabhi bhi signal ki tasdeeq nahi ho sakti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим