What is Upside Gap-filled Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Upside Gap-filled Pattern
    <EXLPANATION>


    Forex market main Price chart k continuation pattern always reversal pattern ki nisbat ziada reliable aur kamyab rehte hen. Continuation patterns ki kamyabi ka tanasub bhi ziada hota hai, aur jab bhi ye new breakout area main bante hen to prices ko bohut teezi k sath ussi trend ki semat me le kar jate hen. Upside gap-filled pattern bhi aik trend continuation pattern hai jo k prices k bullish trend ya sideways trend main banne par prices ko uptrend main continue karwata hai.Upside gap-filled pattern three candles par mushtamil hota hai jiss main pehli candle aik real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad aik dosri candle pehli candle se upside par above gap main banti hai, ye bhi same bullish candle hoti hai, jab k last par aik bearish candle dosri candle k real body main open hoti hai aur 1st candle k real body main close hoti hai. 1st aur 2nd candle k center main reh jane wala gap bearish candle filled karti hai. Bearish candle trend reversal ki koshash karti hai, jis se prices same bullish trend main chalti hai.
    Click image for larger version

Name:	1111111.png
Views:	3
Size:	5.3 کلوبائٹ
ID:	12580496
    <FORMATION OF GAP FILLED PATTERN>


    Upside gap-filled pattern aik bullish continuation pattern hai, jiss main teen candles shamil hoti hai, jiss main pehli aur dosri candles bullish aur teesri candle aik bearish candle hoti hai. Upside gap-filled pattern ki teeno candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai.
    (a) First Candle: Upside gap-filled pattern ki 1st candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices k bullish trend ki information deti hai, yeh candle bullish hone ki waja se white or green color main hoti hai.
    (b) Second Candle: Upside gap-filled pattern ki 2nd candle bhi same bullish pattern ki hoti hai lekin ye candle pehli bullish candle se top par gap main banti hai. Yeh candle bhi bullish hone ki waja se white ya green color main hoti hai.
    (c) Third Candle: Upside gap-filled pattern ki 3rd candle aik bearish candle hoti hai, jo k open to 2nd bullish candle k real body main hoti hai, lekin close 1st candle k real body main hoti hai. Ye candle bearish pattern ki hone ki waja se black candle red color main hoti hai.
    Click image for larger version

Name:	222222222.png
Views:	6
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12580497
    <TRADING INFORMATION>


    Forex market mainUpside gap-filled pattern bullish side par buy ki entry se hoga. Trades lagane se pehle pattern ki confirmation hona lazmi hai q k aik to pattern k last par aik bearish candle form hoti hai aur dosra yeh bullish trend main hota hai, iss waja se confirmation candle se entry main asani rehti hai. Bearish candle k baad agar aik bullish candle banti hai to uss par market main buy k trades open ki ja sakte hen. Pattern k leye Stop Loss lagana b important hai. jo k pattern k sab se down position ya pehli candle k low prices se do pips lower par set karen.I hope this informatiom will help you in trading.
    Click image for larger version

Name:	33333333.png
Views:	1
Size:	10.2 کلوبائٹ
ID:	12580498

اب آن لائن

Working...
X