How to use Spinning Top Candlestick Pattern in Forex Trading Market? Discussion

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to use Spinning Top Candlestick Pattern in Forex Trading Market? Discussion
    Candlestick Chart Introduction

    Assalam.o. alaikum Mery Pyary forum members umeed karta hun aap sb khairiat se hn gy or apki trading achi jaa rahi ho ge. dear members trading karty hovy hmara hr waqt candlesticks se taluq hota ha or hum inko dkh kr price read karty hain. ye candle sticks price k ilawa or b bahut kuch btati hain jesa k tredn k bary main support resitance k bary main or reversal k bary main bhi btati hain. esi silsly main aj hum aik important candle ko read karen gy jisy k spinning top candle stick kaha jata ha.

    Spinning Top Candlestick Body Identification

    Dear for6 members spinning top candle ki short real body hoti ha jo k opr or nechy shadow k drmyan hoti ha ye body bearish ya bullish ho skti ha. spinning top market main indecission ko zahir karti ha mtlb k buyer or sellers equal force main thy or market main koe faisla ni ho ska. Jb market opr hai to seller ny sell kia or opr ki trf wick ya shadow bn gya or jb market nechy gai to buyers ny buy kia jski waja se nechy se wick bn gai or darmyan main choti c body bni ha. agr ye pattern strong support ya resistance py bny or es se agli candle eski confirmation kar dy to ye trend reversal ka sign ho skta ha.

    Trading Strategy Bullish Reversal Spinning Top

    Dear members ye pattern bearish trend k end main support py banta ha or ye reversal ki nishani hota ha es k bad market bullish ho jati hai. laikin es se phly eski confirmation lazmi ha. Eski confirmation ye ha k support muqam py phly spinning top candle bny bullish body k sth or phr us k bad usi time frame main next candle spinning top ki closing price se opr close ho. Is main hum dosri candle ki confirmation k bad buy ki trade lety hain or hmara stop loss spinning top candle k low k equal hota ha.

    Bearish candlestick

    Dear forex forum memebrs ye pattern bullish trend k end main resistance muqam py bnta ha. Resistance py aikspinning top candle banti ha bearish body k sth or eski confirmation k lye next bearish candle ko spinning top candle k low k nechy close hona chahye. Es k bad market ka trend reverse hota ha or market bearish move karti ha.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: How to use Spinning Top Candlestick Pattern in Forex Trading Market? Discussion

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Spinning Top Candlestick


    Spining top jaise single candles pattern jiss main buyers aur sellers ka market main control aksar barabar rehta hai, aik neutral candles tasawar ki jati hai. Spinning top candle bhi market main buyers aur sellers ki yaksan hone par wajood main ati hai. Spinning top candle ki ooper aur nechay small shadow ya wick hota hai, jiss ka darmeyan main aik small si real body hoti hai, jiss main prices ka open aur close aik dosre k qareeb hota hai. Ye aik neutral candle shumar hoti hai, jo k aik strong trend k dowran trend reversal ka signal de sakti hai. Spinning top candle k ooper aur nechay shadow aik to size main equal hona chaheye aur dosra ya length main small hona chaheye, q k long shadow hone par ye high wave candle ban sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (375).png
Views:	17
Size:	7.5 کلوبائٹ
ID:	12440073

    Candles Formation


    Spinning top candle prices k top aur bottom dono main ban sakti hai. Sideways markets main ye candle aik neutral candle hoti hai, jo k prices k ziada tar maojoda trend main continuation ka sabab banti hai. Price chart par Spinning top candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (374).png
Views:	22
Size:	5.0 کلوبائٹ
ID:	12440074

    Spinning top Candle: Spinning top candle chart pattern par aksar market main aik small si candle nazar ati hai, jiss ka ooper aur nechay aik chota shadow hota hai. Ye candle small real body ki hoti hai, jiss main prices ka open aur close aik dosre k qareeb hota hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se market ki position k mutabiq apna situation tabdeel karti hai.

    Explanation

    Spinning top candle aik single day small candle hai, jiss main prices din k aghaz main open hone k baad aik small real body main up ya down close hoti hai. Price chart par buyers aur sellers market main same quat (power) main hote hen, ya un ki assets main dilchaspi kam hoti hai, jiss se prices aik timeframe k dowran apne aghaz wali position k qareeb close ho jati hai. Ye aik small real body ya small real body wali bullish ya bearish candle hoti hai, jo k trend k mutabiq apni hodohal ko tabdeel karti hai. Ye candle prices k top ya bottom par strong trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle bullish ya bearish trend main gap main banne par morning star aur evening star candlestick pattern bana kar trend ko rukh tabdeel karte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (373).png
Views:	23
Size:	6.4 کلوبائٹ
ID:	12440072

    Trading

    Spinning top candle sideways market main ya newly breakout trend main trend continuation ka kaam karti hai, jab k price k top ya bottom main ye candle aksar trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle prices k bottom main bullish trend reversal aur prices k top par bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Candle k baad trend ki confirmation ka candle ka hona zarori hai jo k real body main hona chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se trend ki confirmation CCI indicator ya stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss main value overbought aur oversold zone main honi chaheye. Stop Loss candle k sab se top ya bottom se trend reversal k mutabiq two pips below ya above set kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (376).png
Views:	14
Size:	12.5 کلوبائٹ
ID:	12440071

    اب آن لائن

    Working...
    X