Assalamu Alaikum Dosto!
Downside Tasuki Gap Candlestick Pattern
Downside tasuki gap patteren aik bearish trend continuation pattern hai, lekin baaz dafa iss ko double market sentiment analysis k leye jani jati hai, pehli aik bearish impulsive lehar hai, aur doosri bullish price ki trend reversal hai. Yeh pattern aam tawar par supply and demand mein bearish trend ka tasalsul pattern hai. Downside tasuki gap patteren main do bearish candlestick is baat ki numaindagi karte hen k sellers walay market k ooper mukammal control mein hen, jiss se price ki qader mein musalsal kami waqea ho rahi hai. Prices ka wese bhi bhi basic trend bearish ka hota hai, jo lower low levels ko tashkeel deta hai. Downside tasuki gap patteren k leye prices ka bearish trend ka hona aham hai, q k ye prices ko mazeed nechay ki taraf push karte hen.
Candles Formation
Downside tasuki gap pattern k leye prices ko downward semat ka hona zarori hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli do candles bearish hoti hai, aur last wali candle bullish hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Downside tasuki gap pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k normal real body main banti hai. Ye candle prices ka bearish trend ko zahir karti hai. Ye candle shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin lazmi bearish candle honi chaheye.
2. Second Candle: Downside tasuki gap pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se nechay gap main banti hai. Candle ka close open price se lazmi nechay hona chaheye, jab k iss ka gap bhi pehli candle se wazih aur clear hona chaheye.
3. Third Candle: Downside tasuki gap pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k close point se ooper open ho kar pehli aur dosri candles k gap main close hoti hai. Ye candle dono bearish candles k darmeyan banne wale gap ko mukamal cover nahi karti hai. Ye candle shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin real body ka lazmi bullish honi chaheye.
Explanation
Downside tasuki gap pattern prices main sellers ki market main strong hold ki sorat main banta hai, jiss main prices bearish trend k tasalsul ko barqarar rakhti hai. Pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli do candles bearish aur akhari aik bullish candle hoti hai. Bearish candles k darmeyan downside par aik wazih gap hota hai, jo k aik qisam ka bearish candles ka kicking pattern dekhaye deta hai. Pattern ki dono bearish candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k darmeyan banne waley gap ko koi candle (bashamole shadow) cover na kare. Pattern ki akahri candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k closing point se thora sa above open ho kar pehli aur dosri candles k gap main close hoti hai.
Trading
Downside tasuki gap pattern prices ko mazeed nechay push karne k leye jana jata hai, q k ye aik bearish trend continuation pattern hai, jo trend reversal pattern se ziada reliable aur accurate signals deta hai. Pattern ki teesri bullish candle ziada strong nahi banti hai, jiss se market main trend reversal ki koshash nakam ho jati hai. Pattern par trade entry karne se pehle aik bearish confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main bearish honi chaheye. Jab k pattern k baad bullish candle banne par pattern khatam tasar hoga. CCI indicator aur stochastic oscillator par reading 50% se nechay honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se upper position ya pehli candle k top se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим