Assalamu Alaikum Dosto!
Bollinger Band Indicator
Forex market main currencies ki trading karna aasaan kaam nahi hai, khaas tor par new afraad ke liye kyunkay currencies ki markets barri movements aur waqeat par bohat taizi se radd e amal zahir karti hain. Yahi wajah hai ke Bollinger bands jaisa indicator, ( jo pehlay hi utaar charhao samjhta hai ), prices ke amal ka analysis karne aur majmoi trading karkardagi ko behtar bananay mein aap ki madad kar sakta hai. Bollinger band indicator ka istemaal aap ko trend ki semat ki nishan-dahi karne mein madad kar sakta hai, aur agar trend khatam ho gaya hai, to yeh entry points ka pata lagatay waqt risk ko kam kar sakta hai, aur aap ko stop karne ke liye munasib waqt ya break out ki tawaqqa karne ke liye signals faraham kar sakta hai.
Bollinger Band Kam kese Karta hai?
Bollinger band indicator is baat ki nishandahi karta hain ke aaya market mein utaar charhao (volitilety) ziyada hai ya kam, aur is k sath sath overbought aur over-sold ki sorat e haal se bhi agao karta hai. Yeh indicator aik oopri band, aik darmiyani band, aur aik lower band par mushtamil hota hai. darmiyani band aik simple moving average hai, jiss ko aam tor par 20-periods par set ki jati hai.
Middle line: 20-day simple moving average (SMA)
Upper band: 20-day SMA + (20-day standard deviation x2)
Lower band: 20-day SMA – (20-day standard deviation x2)
Upper band: 20-day SMA + (20-day standard deviation x2)
Lower band: 20-day SMA – (20-day standard deviation x2)
Jabb volitilety (utaar charhao) ziyada hota hai to do bairooni band phailtay (expand) hen ( darmiyani lakeer se hatt jatay hain ). Jab bands close (narrow) ho jatay hen ( darmiyani line ke qareeb jate hen ), utaar charhao (volitilety) kam hota hai. Aam tor par, kisi asasay ko overbought samjha jata hai, jab qeemat oopar Bollinger band tak pahunchti hai ( touch ) aur jab qeemat neechay walay band tak pahunchti hai to ye oversold soratehal hoti hai.
Explanation
Bollinger band indicator aik maqbool aur bohat mufeed indicator hai. Ye indicator trend ki simat ki behtar tasweer haasil karne aur mustaqbil ki market ki harkat ya movement ke baray mein signals haasil karne ke liye iss ko istemaal karne ke kayi tareeqay hen, lekin bohat se dosray tools ki terhan yeh mustaqbil ki predictions nahi karta. Hamesha ki terhan, time frame jitna lamba hoga, signals itnay hi ziyada qabil aetmaad hon gey, behtar aur ziyada durust nataij haasil karne ke liye, mukhtalif timeframes ka istemaal karte hue market ke trends ki analysis karne ki koshish karen aur Bollinger band ko dosray technical indicators ke sath mila kar istemaal karen.
Bollinger band indicator mashhoor technical indicators mein se aik hain, jiss ko bohat sare traders istemaal karte hain. Iss indicator ko 1980 ki dahai mein jaan "Bollinger" ne tayyar kya tha aur is ka maqsad stock ke analysis ke liye istemaal kya jana tha. Bohut sara arsa guzarne k bawajood yeh ab bhi expert traders ke darmiyan pasandeeda indicator hai. Bollinger band indicator ko utaar charhao (volitilety) ke signals ke taayun karne ke liye istemal kia jata hai, jo pichlle bands ki nisbat qeemat kitni ziyada ya kam hai.
Trading
Aam tor par jab kam volitilety (utaar charhao) ke douran Bollinger band tang ho jatay hen, aur linen aik dosray ke qareeb aa rahi hoti hain, to yeh samajh mein aata hai ke kisi bhi srmat mein break out ke liye tayyari kar raha hai.
Bollinger Squeeze: Prices k kam utaar charhao ke douran istemaal karne ki hikmat e amli ye hai, k jab Bollinger band ziyada se ziyada" aik sath kam hote hen" to aap ko break out ke liye tayari karni chahiye. Agar qeemat oopar walay band ke oopar break karna shuru ho jati hai, to is baat ka imkaan hai ke qeemat bullish rahay gi aur yeh market main buy ka aik acha waqat hai. Issi terhan agar qeemat bottom band se neechay break ho jati hai to imkaan hai ke yeh bearish jati rahay gi. Jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai.
Bollinger Bounce: Bollinger bounce aik trend k tabdeel karne ki hikmat e amli hai, jis ka bunyadi psychology yeh hai ke jab bhi band mein se kisi aik ko chothi hai to qeemat darmiyan mein reversal ho jati hai. Lehaza jab price Bollinger band ki oopri line ko chothi hai, to trader aam tor par sell ki entry karte hen, jab k nechay wale line ko prices touch karne par buy ki entry hoti hai.
Bollinger band indicator currencies trading main aik bohat mufeed tool ho sakta hai, yeh aik qabil aetmaad indicator hai aur kayi dahaiyo se chart ke analysis k leye istemal kia jata hai. Kuch tehqeeq karne ke baad, tajurbah haasil karne aur Bollinger band ko –apne trading andaaz ke mutabiq karne ke baad aap ko Bollinger band ko samajhney aur is ke signals ko parhnay ka aik behtar mauqa miley ga. Yeh baat zehen mein rakhen ke Bollinger band akela akk standard system nahi hain. Yeh traders ko prices mein utaar charhao ke baray mein maloomat faraham karne ke liye design kya gaya hai aur dosray indicators signals ke sath mil kar behtareen kaam karta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим