Assalamu Alaikum Dosto!
Descending Hawk Pattern
Descending hawk pattern prices k top main two days k bullish candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle buyers ki ziada khareedarri ki waja se banti hai, q k ye aik long real body wali candle hoti hai. Pattern ki dosri candle aik small real body main hoti hai, jo k open aur close pehli candle ki real body main hoti hai. Dosri candle bhi same bullish trend ki hoti hai, lekin small real body hone ki waja se ye ziada strong bullish reaction nahi dekhati hai, jiss ki waja se iss pattern ka behaviour bearish trend reversal ka ho jata hai.
Candles Formation
Descending hawk Pattern main shamil dono candles bullish trend k hone k bawajood bhi ye pattern aik bearish trend reversal ka kaam karta hai, q k dosri candle ki small body aur iss ki position bohut alaga hoti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Descending hawk Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices main bullish trend ki alamat hoti hai. Ye candle buyers ki prices ko ziada upper push karne k nateejay main banti hai, jo k color main white ya green hoti hai.
2. Second Candle:
Descending hawk Pattern ki dosri candle bhi same bullish trend ki hoti hai, jo k pehli candle k real body main banti hai. Ye candle pehi candle ki nisbat small hoti hai, jab k iss ka open aur close dono pehli candle k andar hota hai. Ye candle bearish trend reversal ka sabab banti hai. Explanation
Descending hawk pattern dekhne main same bearish harami pattern jaisa hi hai, bas dosri candle ki color ka difference darmeyan main par jata hai. Pattern high prices area ya bullish trend main strong bearish trend reversal pattern ka kaam karta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai. Ye pattern do bullish candles hone k bawajod bhi bearish trend reversal pattern hai. Pattern ki pehli candle aik long real body main hoti hai, jiss k baad aik small real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka open aur close dono pehli candle k inside main hota hai. Opposite direction main prices k bottom par bullish trend reversal k leye Homing Pigeon pattern banta hai.
Trading

Descending hawk pattern dono bullish candles hone k bawajood thora sa riski pattern hai, iss waja se pattern k leye high prices area ya bullish trend ka hona zarori hai. Trend confirmation k leye pattern k baad aik bearish real body wali candle zarori honi chaheye, jiss par market main entry ki ja sakti hai. Pattern ki confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, jo k overbought zone main hona chaheye. Pattern k baad bullish candle banne se market main entry se parhez karen, q k pattern ki afadeyat khatam ho jati hai. Stop Loss pattern k sab se upper area ya pattern ki pehli candle k top se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим