Appearence and features of three stars in the north candlestick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Appearence and features of three stars in the north candlestick pattern
    Dear friends, forex trading main boht saray technical indicators aur chart patterns ka use hamain market ki different moments sa aware rakhtay hain, lihaza hamain aisay tools ki learning hasil karni chaiay, candles kay patterns hamain trades open karnay aur market ki moments ko janchnay ma kafi support faraham kartay hain, in hi patterns main say aik three stars in the north candlestick pattern hay,

    How three stars in the north pattern appears:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221225_0925_49_0000.jpg
Views:	1
Size:	3.7 کلوبائٹ
ID:	12577213

    Yeh pattern three candlesticks par mushtamil hota hay aur up trend kay end main banta hay, is pattern main trader ko yeh indication milti hay kay market ka up trend khatam honay wala hay aur market down trend main moment start karnay lagi hay, jab yeh pattern market ki resistance par appear hota hay to trader ko is main lazmi trade karni chaiay kiun kay aisi situation main is pattern kay valid honay kay chances kafi increase ho jatay hain, laikin agr ye pattern support par bn rha ho to phir trader ko wait karna chaiay aur confirmation kay bad trade kay liay entry karni chaiay,

    Main idea and guidance for traders:


    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20211211-122830_Opera Mini.jpg
Views:	2
Size:	49.5 کلوبائٹ
ID:	12577214

    Three stars in the north pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo prices kay uptrend ki indication daiti hay, is candle ka lower shadow nhi hota hay aur is kay upper side par aik long shadow hota hay jo almost candle ki real body kay equal hota hay, ye candle prices par buying pressure ko indicate karti hay, second candle bhi first candle ki tarah aik bullish candle bhi hoti hay aur iska bhi usi tarah upper shadow nahi hota, candle kay upper side par shadow real body kay jitna hota hay aur ye candle first candle ki real body ya us kay closing point par open ho kar upper par close hoti hai, lekin ye candle pehli candle se size main small hoti hay, pattern ki third candle aik small marubozu bullish candle hoti hai, jis kay upper aur lower dono sides par koi shadow ya wick nahi hota hay, yeh candle ziada tar second candle ki real body main banti hai, jis say in dono candles ka apna aik descending hawk pattern ban jata hay,


    Trade techniques used in this pattern:


    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20211211-122608_Opera Mini.jpg
Views:	2
Size:	42.6 کلوبائٹ
ID:	12577215

    Ye pattern bullish squeeze alert pattern ki tarah appearence daita hay jis kay form honay kay baad market main sell ki entry ki ja sakti hay, ye pattern prices main buyers kay control kay end honay aur market ka control sellers main transfer honay ka signal daita hay, pattern par trading say prior aik bearish confirmation candle ka hona zarori hota hay kiun kay pattern three bullish candles par hota ha, is kay baad bullish candle bannay say pattern invalid ho jayega, jab kay indicator ki confirmation main CCI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main hona chaiay
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Appearence and features of three stars in the north candlestick pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Three Stars In The North Candlestick Pattern


    Three stars in the north candlestick patteren bearish trend reversal signal dene wala pattern hai, jo aik wazeh uptrend ke baad yeh pattern amal mein aata hai. Three stars in the north candlestick patteren ki tashkeel teen bullish ya white candles par mushtamil hai aur jo price chart par bottom prices par banne wale three white soldier pattern se mushabihat rakhta hai. Three stars in the north candlestick pattern ki tashkeel mein pehli candlestick aik lambi bullish candle hai, jis ka upper ya lower side par shadow bohat kam banta hai. Pattern ki baqi do candles yani dosri aur teesri candles bhi bullish candles hoti hai. Pattern ki dosri aur teesri candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, lekin dosi candle k upper side par shadow bohut lamba hota hai. Pattern ki dusri aur teesi candle pehli candle k real body main open hoti hai,j jiss mein teesri candle aik small marubozu candle hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (21).png
Views:	9
Size:	1.6 کلوبائٹ
ID:	12440750

    Candles Formation


    Three stars in the north candlestick patteren prices k top main ziada buying k baad market k mumkina bearish trend reversal ka ishara deta hai, jo k teen musalsal bullish candles par mushtamil hota hai. Ye pattern bullish candles ka hone k bawajood bhi bullish trend confirmation k muqabele main prices ko downtrend ka rasta deti hai. Pattern main candlestick ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (22).png
Views:	7
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12440751

    1. First Candle: Three stars in the north candlestick patteren ki pehli candle aik bullish candles hoti hai, jo k real body main strong candle banti hai, aur ye candle prices k uptrend ki tasalsul ki alamat hoti hai. Pattern ki pehli candle aik bagher upper aur lower shadow ki hoti hai, jiss ka open price close price se ooper hota hai.

    2. Second Candle: Three stars in the north candlestick patteren ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body ya uss k close price k baad open hoti hai, jo k upper par close hoti hai. Iss ka candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, jab k upper side par aik lamba shadow hota hai.

    3. Third Candle: Three stars in the north candlestick patteren ki teesri candle bhi same pechli do candles ki tarah aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body ya uss k close price par open ho kar upper par close hoti hai. Ye candle ziada tar pechli dono candles se size main kam hoti hai, jab k ye candle aik marubozu candle hoti hai.

    Explanation

    Three stars in the north candlestick patteren chart par teen lagatar bullish candles ka aik majmoa hai, jiss k leye market ka top area hona zarori hai. Ye pattern teen bullish candles par mushtamil hai, jo k prices k leye bearish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Pattern dekhne main same three white soldier pattern jaisa hai, q k teeno candles bullish hone k sath sath higher high par close hoti hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish Marubozu candle hoti hai, last teesri candle bhi aik Marubozu candle hoti hai leki size main pehli candle se bohut small hoti hai. Pattern ki dosri candle upper shadow k sath hoti hai, jiss ki real body pehli candle ki nisbat kam hoti hai. Ye pattern bearish stalled pattern se bhi mushabehat rakhti hai, jo same bearish trend reversal pattern hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3).jpeg
Views:	7
Size:	10.5 کلوبائٹ
ID:	12440749

    Trading

    Three stars in the north candlestick patteren main pehli candle strong bullish trend ki alamat hoti hai, lekin baad wali dosri aur teesri candles market main bulls ki kamzori zahir karti hai, jo k market main dilchaspi lena kam karte hen. Pattern ki teeno candles ka bullish hone ki waja se confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur last bullish candle k bottom par close honi chaheye. Pattern k baad bullish candle banne se pattern invalid tasawar hoga, jab k trend ki confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, aggar CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main trade kar raha ho. Stop Loss pattern k sab se top ya teesri bearish candle k high price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (23).png
Views:	1
Size:	28.6 کلوبائٹ
ID:	12440748

    اب آن لائن

    Working...
    X