Assalamu Alaikum Dosto!
Tasuki Gap Down Pattern
Tasuki gap down pattern price chart main banne wala aik three candles ka bearish trend continuation pattern hai, jo k bearish trend ya low prices area main banta hai. Candlesticks charts aik technical tool hen, jo traders ko bohut aham trend k hawale se information deti hai. Candlestick ka currency pairs k technical analysis k leye bohut aham hen, jiss se traders na sirf in ka istemal dosre indicators k sath mela kar karte hen, bulkeh ye akele bhi aksar aik leading indicators ka kaam karte hen. Tasuki gap down pattern k pattern main pehli aur dosri candles bearish jab k last wali candle aik bullish candle hoti hai, jo k trend reversal karne ki nakam koshash karti hai. Tasuki gap down pattern k opposite direction main prices k bottom par bearish trend continuation k leye Tasuki gap up pattern pattern banta hai.
Candles Formation
Tasuki gap down candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bearish trend continuation pattern hai, jiss jo k bottom area main banne par assets k prices ko mazzeed bearish same trend main downward push karta hai. Tasuki gap down candlestick pattern do bearish aur aik bullish candles se mel kar banta hai, jiss ki tafseel darjazzel hai;
1. First Candle: Tasuki gap down candlestick pattern k pattern main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k long real body main banti hai. Ye candle prices k maojoda bearish trend ko zahir karti hai, jo k shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern ki pehli candle ki closing price open se below hona chaheye.
2. Second Candle: Tasuki gap down candlestick pattern ki dosri candle bhi same bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se lower gap main banti hai. Ye candle bhi shadow ya shadow k bagher ho sakti hai, jab k candle ki close price open price se kam hona chaheye. Dosri candle ka pehli candle se lower side par gap main hona zarori hai.
3. Third Candle: Tasuki gap down candlestick pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle dosri candle ki real body main open ho kar pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap main close hoti hai. Teesri candle ka close price open price se ziadda hona chaheye. Ye candle trend reversal karne ki nakam koshash karti hai.
Explanation
Tasuki gap down candlestick pattern prices k bottom main banne wale pattern Dowside Gap Three Methods se melta julta hai, jiss main prices same bearish trend reversal ka sabab banti hai. Tasuki gap down candlestick pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka close price open price se kam hota hai. Pattern ki dosri candle bhi bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se nechay gap main banti hai. Pehli aur dosri candle k darmeyan banne wala gap wazih hona chaheye, yanni dono candles k shadows bhi gap main nahi ana chaheye. Pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body main open ho kar pehli aur dosre candle k darmeyan banne wale gap main close hoti hai. Bullish candle pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap ko pora cover nahi kar pati hai, jiss se trend reversal nakam ho jati hai.
Trading
Tasuki gap down candlestick pattern price chart main banne par traders ko bearish k tasalsul ka signals deta hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur agar ye candle teesri candle k bottom par close hoti hai, to ye aur bhi reliable pattern hota hai. Pattern k baad bullish candle banne par trade ki entry nahi karni chaheye. Pattern ki trend confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai. CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator par value overbought area main hona chaheye. Pattern k top par Stop Loss ka hona zarori hai, jo k patterns k sab se upper position ya pehli candle ki open point se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим