What is Piercing Line Candlestick Patternin forex trading?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Piercing Line Candlestick Patternin forex trading?
    Assalamu Alaikum dear members umed Karti Hoon ke aap sab khairiyat se honge dear friends Jab Ham for extra business Mein kaam Karti Hain To hamen apna Kam acche knowledge aur experience ke sath karna hota hai kyunki Ek aisa business hota hai jismein aapko achcha knowledge aur experience Jahan achha profit Deta Hai vahan per aapki Ek chhoti si mistake aapko bahut jyada loss ka samna Bhi karva sakti hai isiliye Business mein soch samajhkar aur candlest pattern ko samajhte hue entry leni hoti hai dear friend aaj ki post mein bhi virus Singh line candlestick pattern ke bare mein baat karenge Aur main ummid Karti hun ki ye information aapko is topic ko samajhne mein bahut jyada madad degi.

    What is Piercing Line Candlestick Pattern?

    Dear forex members forex trading market mein Piercing line pattern main aik bullish candle se bearish trend ki akhari candle par lower side se attack karke market main bearish trend ka khatma karti hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k qeematon ko downward push karti hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open pehli candle se below gap main hoti hai, lekin close pehli candle k midpoint ya darmeyan se upper hai. Ye position taqreeban candle ka 50% above banta hai. Piercing line pattern ka opposite side ya bottom price par dark cloud covers candlestick pattern banta hai, jo k bearish trend reversal pattern hai.

    Click image for larger version

Name:	Piercing-Line-Pattern-2.png
Views:	22
Size:	20.1 کلوبائٹ
ID:	12577095

    Explanation of Candles:

    Dear forex members forex trading market mein Piercing line pattern main prices bearish trend k khatme par aik strong bullish attack hoti hai. Jiss se bearish trend bullish main badal jata hai. Ye pattern bearish aur bullish candles par mushtamil hota hai, jiss ki formation darjazel tarah se hoti hai is Pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, ye candle price k downtrend ko show kar rahi hoti hai, jo k black ya red color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai.Or is pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k below par gap main hoti hai lekin close pehli candle k real body main hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k bearish trend ko khtm kr dyta hai.

    Explaination of Piercing Line Candlestick Pattern:

    Dear forex members forex trading market mein Piercing line candlestick pattern do din ki candles ka ik bullish trend reversal pattern hai, jo k Bullish Belt-Hold Line Pattern se milta julta hai. Ye pattern prices k low par ban kar same bullish trend reversal pattern ki tarah prices k bullish trend k khatme ka bahis banta hai. Pattern ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jiss ko aik bullish candle follow karti hai. bullish candle bearish candle k below par gap main open ho kar ussi k real body k darmeyan se above close hoti hai. Second candle ki closing point pehli candle k opening point se above nahi hona chaheye. Ye candle bullish meet line pattern sy bhi milta julta hai.

    Trading Strategy of Piercing Line Candlestick Pattern:

    Piercing line pattern buyers ki achanak market main pressure ki waja se banti hai, jiss main market main sellers ki dabao ka khatma karke prices k bottom ko bullish trend main badal deti hai. Piercing line pattern par trading se pehle aik confirmation white candle ka hona zarori hai, jo k dosri candle k baad real body main honi chaheye, jiss par buyers market main buy ki entry kar sakte hen. Aggar pattern k baad black candle banti hai to pattern ki reliability khatam ho jati hai. Stop Loss k leye pattern ka sab se low position muntakhib karen, jo k dosri candle ka lower banega, se two pips below set Karke market se achcha profit hasil kar sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	Piercing-Line-Candlestick-Pattern.png
Views:	10
Size:	29.9 کلوبائٹ
ID:	12577096
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Piercing Line Candlestick Patternin forex trading?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Piercing Line Candlestick Pattern


    Piercing line candlestick pattern bullish trend reversal signal dene wala pattern hai, jo aik wazeh downtrend ke baad yeh pattern amal mein aata hai. Piercing line candlestick patteren ki tashkeel do candles par mushtamil hai aur jo price chart par bottom prices par banne wale bullish belt hold line pattern se mushabihat rakhta hai. Piercing line candlestick pattern ki tashkeel mein pehli candlestick aik bearish candle hai, prices k maojoda bearish trend ki tarjumani karti hai. Pattern ki agli candle bullish candle hoti hai. Pattern ki dosri pehli candle se bottom gap main open ho kar ussi ki real body main close hoti hai, lekin lower side par shadow bohut lamba hota hai. Ye candle lazmi pehli candle ki real body main darmeyan se ooper close honi chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (239).png
Views:	2
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12437142

    Candles Formation


    Piercing line pattern market main prices par bearish ka asarat ko khatam karne ki koshash karte hen, jo k do candles ka aik trend reversal pattern hai. Pattern main candles k opening prices aik dosre k opposite direction main hote hen, lekin dosri candle k closing price pehli candle k adhay hise ko overlap kar jate hen, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	download (3).png
Views:	5
Size:	4.1 کلوبائٹ
ID:	12437143

    1. First Candle: Bullish meeting line pattern main shamil pehli candle bearish hoti hai, q k ye pattern aik bearish trend k akher main banta hai, to ye candle color main black ya red hoti hai. Ye candle aik strong real body main honi chaheye.

    2. Second Candle: Bullish meeting line pattern ki dosri candle bullish candle banti hai. Ye candle pehli candle se nechay gap main open ho kar ussi k midpoint se above close ho jati hai. Pattern ki ye candle aik white ya green color main hoti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.

    Explanation

    Piercing line candlestick patteren chart par do real body bullish aur bearish candles ka aik majmoa hai, jiss k leye market ka bottom area hona zarori hai. Ye pattern do candles par mushtamil hai, jo k prices k leye bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Pattern dekhne main same dosre trend reversal pattern jaise hososeyat rakhti hai, q k ye pattern prices k bottom lower par banta hai. Pattern ki pehli candle market main sellers ki behaviour ki akasi karti hai, jiss ko wo agle din usi taqat k sath baqarar nahi rakh pate aur buyers market ka control hasil kar lete hen. Aur pattern ki dosri candle pehli candle k bottom par gap main open hone k bawajood bhi prices ko bearish jane ki bajaye bullish push karti hai.

    Click image for larger version

Name:	bullish-piercing-candlestick-1.png
Views:	7
Size:	10.2 کلوبائٹ
ID:	12437144

    Trading

    Piercing line candlestick patteren main pehli candle strong bearish trend ki alamat hoti hai, lekin baad wali dosri bullish candle market main bears ki kamzori zahir karti hai, jo k market main dilchaspi lena kam karte hen. Pattern ki two days candles ka hone ki waja se confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bullish honi chaheye aur dosri bullish candle k top par close honi chaheye. Pattern k baad bearish candle banne se pattern invalid tasawar hoga, jab k trend ki confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, aggar CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main trade kar raha ho. Stop Loss pattern k sab se bottom ya dosri bullish candle k low price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	piercing-pattern-candlestick-chart-pattern-bullish-candlestick-chart-pattern-for-traders-japanes.jpg
Views:	2
Size:	54.1 کلوبائٹ
ID:	12437145

    اب آن لائن

    Working...
    X