Cryptocurrency vs Paper Currency
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Cryptocurrency vs Paper Currency
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Cryptocurrency


    Crypto currency aisi digital currencies ko kaha jata hai jis ko computerized ya secure tareeqay se mehfoz kia jata hai aur ye aik khayali currency hoti hai. Q k is ka koi bhi zahiri wajood nahi hota hai. Cryto currency me chokeh blockchain method istemal ki jati hai is waja se is me do numbari aur jali pan taqreeban namumkin hai. Crypto currencies kisi bhi mulk ki tarf se shaya nahi ki jati hai aur na hi ye kisi government ki mateht hoti hai jo is ko control kar saken. Crypto currencies government control se bahar hone ki waja se is me government ki do numbri ki chances na mumkin hai.
    Crypto currencies ka khayal 1985 me pesh kia gaya tha aur is ka baqayeda aghaz bitcoin ki currency se 2009 me howa. Bitcoin is waqat pori dunya me na sirf Crypto currencies me se bulke aam country currencies me bhi sab se powerful currency hai. Aajkal market me is ki rate 11000$ se uper hai. Bitcoin k elawa crypto currencies me Litcoin, Dogicoin, Bitcoincash waghera shamil hai. Digital currencies bohut sare countries me qanoni hai aur Pakistan me pelhal is ki karobar pe pabandi hai. Pakistan me money laundering aur terrorism financial ka bara masla chal raha hai is waja se is k buisiness pe pelhal pabandi hai.

    Click image for larger version

Name:	images (141).jpeg
Views:	1
Size:	35.0 کلوبائٹ
ID:	12577045

    Paper Currency


    Hard currency ya paper currency ka aghaz bohut porana aur porane waqto me metal, sone aur chandi k seke hard currency k tawar par istemal hote the. Modern currency ka aghaz 1664 me Sweden k bank ne pehle baqayeda currency ka aghaz kia tha. Us k baad ye mukhtalif marahil se guzarta howa hamare pass is shakal me aya hai.
    Paper currency ko aam tawar par gold ki zamanat k tawar par jari kia ja chuka hai. Aur is pe mentiond hota hai k ye government ki officials bank ki taraf se hamare leye aik zamanat hai. Pori dunya me har aik mulk ka apna currency note hota hai. Aur is se wo apne mulk me maojood karobar k leye istemal karte hen. Is waqat paper ya bank note me sab se strong currency Kuwaiti dinner hai aur sab se kamzor/ weak currency irani rial ha.

    Click image for larger version

Name:	images (142).jpeg
Views:	1
Size:	33.4 کلوبائٹ
ID:	12577046

    Forex trading aur currency (Crypto aur Paper currency)

    Forex trading me aajkal har broker taqreeban dono type currency me trade karwate hen. Hard currency k trading ka aghaz to 1973me Bretton wood agreement k dissolved hone pe shoro ho gaya aur Crypto currencies ka aghaz modern waqat me hi howa hai. Cryto currencies abhi taraqi k marahil se guzar rahi hai. Forex trading asal kaam hi currencies exchange ka karta hai aur is me rozana k lehaz se taqreeban 5 trillions dollars ki investment ya transactions hoti hai. Crypto currencies bhi ab is door me baraber ka hisa dar ban chuki hai.

    Click image for larger version

Name:	images (143).jpeg
Views:	1
Size:	33.6 کلوبائٹ
ID:	12577047
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Cryptocurrency vs Paper Currency

    INTRODUCTION
    Dear buddies asalamo alykum kesay hain ap sab umeed hay ap sab tek hon gay aur aap ka trading week bhi acha ja rha ho ga.yeh pattern*aur indicator humari trading main bht important role play karty hain.yeh humain profit delany main bht madad karty hain. Hum agr in ki learning nai krain gay aur in ko fazool samjyn gay to kbi bhi kamyabi humary kadam ni choomy gi aaj hum jis topic per bat krain gay wo hai crypto currency aur paper currency main difference kiya hai.Paper currency and crypto currency dono is afdiyat ko fraham kartay hain lakn kai ahim tariqo say mukhtalif hain.paper currency kanooni tender hai jis ki keemat america doller ki trah government ki jari karda currency say munsalik hai.jab kay crypto currency aik digital asset hai jo is ki keemat apni muqami block chain say hasil karti hai.currencies par trading kay liye baht ziyada achi tarah say focus karna chahye koi bhi aisa member kay Jo new member hai usko apni trading ka acha start lenay kay liye sab say pahley kisi bhi*currency*ke pair ko select kar k aur usi per trading karna chahye*currency*par trading kar k har aiK member ko trading se related bhut ziyada achi tarah say experience main bhi jata hai aur ache say ideas bhi unko mil jatay hain currencies par trading karna bahut ziyada useful hai.


    Click image for larger version

Name:	images (19).jpeg
Views:	1
Size:	57.9 کلوبائٹ
ID:	12437480


    FIAT OR PAPER CURRENCY
    Currency*ki basic type to solid*currency*hi hoti hai jo metal coin ki surat main bhi ho sakti hai aur printed papers ki surat main bhi to hum jo bhi sale purchase kerty hain ya kisi ko payment kerty hain to hum solid*currency*pay krtay hain jo kuch rupees dollars euros aur isi tarha her country ki apni apni*currency*main payment hoti hai aur maximum people solid*currency*ki hi use karty hain lkin future main aysa lag raha hai kay solid*currency*crypto main hi change ho jaey gi aur crypto*currency*ki apni value ho gi kay her kisi ky account main just kuch digits hi hua krain gay jin ko pay yah transfer karwaya ja saky ga.


    Click image for larger version

Name:	images (20).jpeg
Views:	1
Size:	78.0 کلوبائٹ
ID:	12437481


    CRYPTO CURRENCY
    Cryptocurrency*digital*currency*ki aikk form hai jis main app kay pass koi real amount nahin hoti aur just app is ko computer kay sath connect Kar kay Kisi dusray member ko transfer kar saktay hain is ko*cryptocurrency*ka naam diya jata hai cryptocurrency aik latest*currency*hai jiski bhut ziyada importance Kuch arsay kay baad ho jaye gi.Isi traha cryptocurrency International currency*ki aik shakal hai jis ko hum kisi bhi*currency*Main convert Kar kay apna business Chala saktay hain ya apni investment kar sakte hain.


    Click image for larger version

Name:	images (18).jpeg
Views:	1
Size:	42.5 کلوبائٹ
ID:	12437482

    اب آن لائن

    Working...
    X