what is three outside;;;;;;;;;;;;;; down candle stick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    what is three outside;;;;;;;;;;;;;; down candle stick pattern
    what is three outside down candle stick pattern




    three outside down candle stick pattern bearish candle stick pattern hota hey jo keh forex market mein specific strategy mein teen candle stick par moshtamel hota hey jo keh forex market mein bullish ttrend kay reversal janay ko identify karta hey
    yeh forex market mein 2 candle stick pattern par moshtamel hota hey jo keh forex trend kay tabdel karnay mein confirmation mein madad karta hey
    Engulfing candle stick pattern
    lower low or lower high pattern
    engulfing cande stick outside bar kay tor par kam karte hey phir aik chote candle stick es bat ke confirmation karte hey bullish trend bearish trend mein tabdel kar deya jay ga or trend kay sungom kay sath three outside down candle stick pattern ko identify keya jata hey or mofeed candle stick pattern hota hey
    Click image for larger version

Name:	three-outside-down-pattern-1-600x414.png
Views:	1
Size:	22.3 کلوبائٹ
ID:	12576892



    identification three outside down candle stick pattern



    aik candle stick pattern forex market mein price kay chart par hota hey jo keh teen candle stick say mel kar banta hey forex market mein price kay chart par aik mesal pattern ko talash karnay kay ley darj zail method par amal karna chihay
    pehla step yeh hey forex chart par aik confirm bearish engulfing candle stick pattern hona chihay
    engulfing candle stick pattern ko identify karna chihay laken yeh outside bar candle stick pattern hona chihay laken bearish engulfing candle stick pattern zyada strong hona chihay
    engulfing candle stick pattern kay bad forex chart par lower or lower high level hone chihay jab forex market mein opar kay 2 step end h jain gay to forex chart par three outside down bearish candle stick pattern ban jata hey
    Click image for larger version

Name:	structure-of-three-outside-down-1-760x446.png
Views:	4
Size:	39.6 کلوبائٹ
ID:	12576893
    outside down candle stick body to wick kay makabelay mein small hota hey jo keh frex market mein ap ko es say avoid karta hey chonkeh bare wick market mein adam faislay ko indicate karte hey chonkeh bare body seller or buyer ko identify karte hey
    ager Doji candle stick engulfing candle stick kay bad mein bante hey to yeh outdown pattern nahe ho ga Dji candle stick trend mein gap ko ientify karte hey or yeh forex market mein price kay trend reversal kar day ge



    what does three outside down candle stick pattern tell trader




    forex chart par majodah har candlestick chart kay pechay trading strategy ke story ko zahair karay ge mesal kay tor par jab bearish engulfing candle stick pattern ban jata hey to forex market mein es bat ko identify karte hey seller buyer ke strength par kab pa rahay hein or seller forex market ko control kar rahay hein woh bearish trend ko start kar kay price ko nechay la rahay hein
    jab bearish candle stick kay bad engulfing candle stick pattern bante hey to forex market mein bearish trend ke confirmation hote hey or forex market ko seller control kar rahay hein
    Click image for larger version

Name:	live-example-2-1-768x469.png
Views:	1
Size:	28.7 کلوبائٹ
ID:	12576894



    best trading condition:




    three outside down candle stick pattern kay ley best trading condition darj zail hein
    supply and resistance level
    over bought condition


    ja supply ya resistance zone mein three outside down candle stick pattern banta hey to forex trend kay reversal janay ka imkan increase ho jata hey chonkeh price aam tor par low level ko ochalte hey
    ager price overbught halat mein hote hey es mein bullish trend kay reversal janay ka imkan increase ho jata hey laken ager overbought kay doran three outside down candle stick pattern banta hey to forex trade winning kay imkan ko increase ho jatay hein
    Click image for larger version

Name:	candlestick-at-supply-zone-1-760x478.png
Views:	4
Size:	26.8 کلوبائٹ
ID:	12576895
    bhali kay badlay bhali
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: what is three outside;;;;;;;;;;;;;; down candle stick pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Three Outside Down Candlestick Pattern


    Three outside down candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo humen market me jarri current trend ki tabdeeli information deti hai. Ye pattern wazih tawar par aik strong signal deta hai, jis par humen market me apne position ki tabdeeli ka amal kar sakte hen. Three outside down candlestick pattern teen candles par mushtamil hota hai, jis me pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jis k baad aik long real body wali bearish hoti hai, aur issi tarah last par aik dafa bearish candle hoti hai, jo k market me bearish trend reversal pattern ka sabab banti hai. Ye pattern market ki psychology bayan karti hai, k yahan se market ki prices apne sabeqa trwnd ko follow karne ki bajaye new trend ko hi follow karegi, jo k price action k mutabiq traders k leye market me entry ya exit hone ka aik wazih ishara hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (301).png
Views:	6
Size:	5.3 کلوبائٹ
ID:	12437397

    Candles Formation


    Three outside down candlestick pattern teen candles ka majmoa hai, jis mein bullish aur bearish candles shamil hen. Pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jiss k baad do musalsal bearish candles hoti hai, jo market me bullish trend k khatme ka sabab banta hai. Pattern me shamil teeno candles ki formation darja zail tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (300).png
Views:	6
Size:	2.5 کلوبائٹ
ID:	12437398

    1. First Candle: Three outside down candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k market ki current trend ki halat bayan karti hai. Ye candle market me mojoda trend ki tarjumani karti hai, jo k shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Ye candle ziada tar bullish trend ya high price me last candle sabit hoti hai.

    2. Second Candle: Three outside down candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehle candle se mukamal opposite direction me banti hai. Ye candle pehli candle se top par gap me banti hai, jab k close ussi k lower par nechay hoti hai. Ye candle prices k current bullish trend k khatme aur prices ko mazeed upper jane se rokh deti hai. Ye candle pattern ki sab se strong candle hoti hai, iss waja se prices k reversal hone ka aik strong signal deti hai.


    3. Third Candle: Three outside down candlestick pattern ki last ya teesri candle bhi dosri candle ki tarah bearish hoti hai, jo k dosri candle k lower par banti hai. Iss candle ka close point lazmi pehli candle k close point se lower par hona chaheye. Ye candle market k new bearish trend ki confirmation ka aik strong signal deta hai, jis par market me entry ki ja sakti hai.

    Explanation

    Three outside down candlestick pattern bearish trend reversal pattern me aik strong signal deta hai, jo k high price ya bullish trend k last par banta hai. Pattern teen candles par muheet hota hai, jis me pehli candle aik bullish candle hoti hai, aur dosri candle aik strong bearish candle hoti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k top par gap mein open ho kar ussi k lower par nechay close hoti hai, issi tarah se pattern ki pehli aur dosri candles apas me auk bearish engulfing candlestick pattern banati hai, jo k bearish trend reversal ka sihnal deti hai. Pattern ki last ya teesi candle dosri candle k lower par close hoti hai, jo k bearish trend ki confirmation ka signal deti hai. Ye candle lazmi bearish real body mein honi chaheye jab k iss ka close point lazmi dosri candle k lower par hona zarori hai.

    Click image for larger version

Name:	images (302).png
Views:	1
Size:	6.4 کلوبائٹ
ID:	12437399

    Trading

    Three outside down candlestick pattern traders k leye market me aik strong bearish signal deta hai, jis par market me sell ki entry ki ja sakti hai. Market me entry karne se pehle proper risk reward ratio k mutabiq lot size ka intekhab karen, jab k trade entry se pehle bearish confirmation candle ka intezar zaror karen. Confirmation candle k close point teesri bearish candle k baad lower par honi chaheye, jo real body me aik bearish candle hogi. Trend confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jis par value oversold zone main hona chaheye. Pattern par Stop Loss sab se high position jo k dosri candle ka top price banta hai, se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (166).jpeg
Views:	1
Size:	17.3 کلوبائٹ
ID:	12437400
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Three Outside Down Candlestick Pattern

      1. Taaruf


      Three Outside Down candlestick pattern ek khas technical analysis pattern hai jo market ki bearish reversal ki taraf ishara karta hai. Yeh pattern aksar bullish trend ke baad banta hai aur trader ko yeh batata hai ke market ab girne wale hai. Is pattern ko samajhna aur sahi waqt par istemal karna zaroori hai taake trading mein behtareen faisle kiye ja sakein.
      2. Pattern Ka Takhleeq


      Three Outside Down pattern teen candlesticks par mushtamil hota hai. Pehli candlestick bullish hoti hai, jo ke pichli bullish trend ka izhar karti hai. Doosri candlestick bearish hoti hai, jo pehli candlestick ke body ko completely engulf karti hai. Teesri candlestick bhi bearish hoti hai aur doosri candlestick ke niche close hoti hai. Is tarah yeh pattern ek strong reversal signal provide karta hai.
      3. Pehli Candlestick Ka Kirdar


      Pehli candlestick is pattern ka aik aham hissa hai. Yeh bullish trend ko dikhati hai aur market mein khareedari ka jazba hota hai. Iska close pichli closing price se upar hota hai, jo ke ek positive momentum ko dikhata hai. Lekin is candlestick ke baad agar doosi aur teesri candlestick bearish hoti hain, to yeh signal hai ke bullish trend khatam ho raha hai.
      4. Doosri Candlestick Ka Kirdar


      Doosri candlestick is pattern ka doosra critical component hai. Yeh bearish hoti hai aur pehli candlestick ko engulf karti hai. Iska close pehli candlestick ki closing price se niche hota hai. Is candlestick ke banta dekhte hi traders ko yeh samajhna chahiye ke market mein selling pressure badh raha hai. Is waqt market ke mood mein ek noticeable change aa raha hota hai.
      5. Teesri Candlestick Ka Kirdar


      Teesri candlestick bhi bearish hoti hai aur doosri candlestick ke body ko bhi engulf karti hai. Yeh candlestick market ke bearish trend ko confirm karti hai. Agar teesri candlestick doosri ke niche close hoti hai, to yeh confirmation deti hai ke ab market girne ki taraf ja raha hai. Yeh point traders ke liye sahi entry point ban sakta hai.
      6. Trading Strategy


      Three Outside Down pattern ko trading strategy ke tor par istemal karne ke liye kuch important points yaad rakhna zaroori hai. Sab se pehle, is pattern ka confirmation hona chahiye. Aksar traders teesri candlestick ke close hone ke baad sell position lena pasand karte hain. Is pattern ka istemal karke traders ko market ke reversal points ko identify karne mein madad milti hai.
      7. Risk Management


      Kisi bhi trading strategy mein risk management sab se ahem hota hai. Three Outside Down pattern ke istemal ke dauran stop-loss ka istemal karna zaroori hai. Traders ko chahiye ke woh stop-loss ko doosri candlestick ke high par rakhain, taake agar market unke khilaf jaaye to unka nuksan kam se kam ho. Yeh unhe emotional trading se bachata hai.
      8. Market Context


      Pattern ko istemal karte waqt market ka context samajhna bhi zaroori hai. Agar pattern kisi strong resistance level ke paas banta hai, to iski reliability aur bhi barh jati hai. Isliye, market ki overall situation aur technical indicators ko dekhna bhi chahiye.
      9. Confirmation Indicators


      Three Outside Down pattern ka istemal karne ke liye kuch confirmation indicators bhi istemal kiye ja sakte hain. Jaise ke Relative Strength Index (RSI) ya Moving Averages. Agar yeh indicators bhi bearish signal dete hain to is pattern ki confirmation aur bhi strong ho jati hai.
      10. Market Psychology


      Market psychology ko samajhna bhi is pattern ko istemal karte waqt madadgar hota hai. Jab traders dekhte hain ke market gir raha hai, to unka selling pressure barhta hai. Isliye, is pattern ko samajhkar traders ko market ki psychology ka pata chal sakta hai, jo unki trading strategy ko behter kar sakta hai.
      11. Common Mistakes


      Traders aksar kuch common mistakes karte hain jab wo Three Outside Down pattern ka istemal karte hain. Sab se badi ghalti yeh hoti hai ke woh pattern ko bina kisi confirmation ke use kar lete hain. Yeh unhe badi losses ki taraf le ja sakta hai. Isliye, confirmation ka intezar karna bohat zaroori hai.
      12. Conclusion


      Three Outside Down candlestick pattern ek powerful tool hai jo traders ko market ke reversal points ko identify karne mein madad karta hai. Is pattern ko sahi tarike se istemal karne ke liye traders ko iski formation aur confirmation ke baare mein achi tarah samajh hona chahiye.
      13. Practical Application


      Is pattern ka practical application trading platforms par karna bohot asaan hai. Traders ko chahiye ke woh charts par is pattern ko dhundhein aur jab yeh pattern banay, to apni trading strategy ko uske mutabiq tayyar karein. Yeh unhe market ki movements ka behtareen samajh dene mein madad karega.
      14. Final Thoughts


      Three Outside Down pattern ko samajhna aur iski trading strategy ko implement karna kisi bhi trader ke liye zaroori hai. Yeh pattern sirf ek signal nahi, balke market ki psychology aur traders ke reactions ka bhi izhar karta hai. Aakhir mein, trading mein sabr aur samajh zaroori hai taake behtareen results hasil kiye ja sakein.

      Is pattern ki madad se traders market ke fluctuations ka behtareen faida utha sakte hain aur apni trading skills ko mazid behtar bana sakte hain.


      اب آن لائن

      Working...
      X