Tasuki Upside GAP Candlestick Pattern,Trading Strategy.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Tasuki Upside GAP Candlestick Pattern,Trading Strategy.
    Friends Tasuki Upside candlestick aik eisi candlestick hoti hai, jiski opening, closing, high aur low point same hota hai. Ye candlestick market ki zero volatility ki wja say banti hai aur agar baat ki jay tasuki upside gap candle stick ki to ye samjhny me bhtt asaan Hoti Hy normally market me bht kam dakhny ko milti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (13).jpeg
Views:	12
Size:	19.6 کلوبائٹ
ID:	12576738

    Formation & Identification.

    Friends Tasuki Upside Gap candlestick ko aap hourly basis per find kr skhty Hain. tasuki upside candle Ko identify karna baht asan hota hai kyun Kay uski length hight wagera sab bht small Hoti hai aur is ko identify krna buht easy hai is candlestick ki pehchan yah hai keh is ki body minimum and shadow bilkul no hota. Market ki zero volatility ki waja say yah candle banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (14).jpeg
Views:	23
Size:	11.7 کلوبائٹ
ID:	12576739

    How It Works.

    Friends Kisi bhi pair mein Tasuki Upside CandCandlestick main gap ka matlb hota hai keh market main seller or buyer ka volumatic pressure nahi hai ya phr us wakt seller aur buyers ki tadad bht Kam Hy, aur market volatility totally zero ho chuki hai is liye is ko trading chart per kafi concentration kay sath judge karna chahye.

    Trading at Tasuki Upside Gap candlestick pattern.

    Click image for larger version

Name:	images (20).png
Views:	16
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12576740

    Friends jab aap market mein zero volatility ki condition main ho ho to us time ap ko market mein entry nai leni cheye kyun kah ye aik asi situation Hoti Hy jis me market Kisi bhi wakt totally one side move KR skti, qk eisi situation main sideway movement ho sakhti hai. kyun lky is time market me koi trend ni hota is liy trading na krna hi behtar hota hai is liye low volatility Kay wakt ap Kay Pas agar aap ko koi news multi hai to ap is me trade kar sakty hain otherwise ye aik critical situation hoti hai Is say ap ko is candlestick ko smajhny me mazeed asani hogi. Is pattern ko smjhny k bad ap ko next trade open krny ka plan aur faisla lena bht asan ho jata hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Tasuki Upside GAP Candlestick Pattern,Trading Strategy.

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Upside Tasuki Gap Pattern (Bullish)


    Bullish tasuki gap candlestick pattern "Gap Pattern" k family se taluq rakhne wala aik bullish continuation pattern hai. Ye pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend continuation pattern hai, jo k prices k bullish trend ya high area main paya jata hai. Pattern ki pehle do candles bullish jab k ajahri candle bearish hoti hai. Pehli candle k baad banne wali dosri aur teesri candle up side par gap main banti hai. Dosri aur teesri candles taqreeban size main aik jaisi hoti hai, lekin ye zarori nahi hai. Pattern ki pehli candle bullish trend ki akasi karti hai jo k long real body par mushtamil hoti hai. Ye pattern "Bullish Gap" pattern ka advance version hai q k iss main teen candles hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (29).png
Views:	3
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12444207

    Candles Formation


    Bullish tasuki gap candlestick pattern main pehli do candles "Bullish Gap Pattern" ki tarah bullish bhi hoti hai aur aik fosre se upside main gap main bhi bante hen. Pattern ki k last par aik aur bearish candle bhi hoti hai, jiss se "Bullish Gap" pattern "Bullish tasuki gap pattern" main badal jata hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (6).jpeg
Views:	23
Size:	11.7 کلوبائٹ
ID:	12444208

    1. First Candle: Bullish tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle aik strong aur long real body main hoti hai. Ye candle bullish trend ki mazboti batati hai, aur iss ka color white green yanni bullish hota hai.

    2. Second Candle: Bullish tasuki gap candlestick pattern main dosri candle bhi bullish hoti hai, lekin ye candle aik to aksar size main pehli candle se kam hoti hai, lekin zarrori nahi k aisa hi ho, dosra ye candle pehle candle k above gap main main banti hai. Prhli candle se dosri candles ka gap main banna prices ka "Bullish Gap Up" pattern banati hai. Ye candle bhi bullish honne ki waja se white ya green color main banti hai.

    3. Third Candle: Bullish tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka color black ya red hota hai. Ye candle dosri candle k closing point par open hoti hai, aur thora sa nechay (real body k sath) close hoti hai. Ye candle pehli aur dosri candles k darmeyan banne wale gap ko cover nahi karta hai, jiss se ye candle prices ko bearish trend main badalne main nakam rehti hai.

    Explaination


    Bullish tasuki gap candlestick pattern aik bohut nayab pattern hai, jo k bullish prices k trwnd continuation pattern k leye istemal hota hai. Ye pattern high price ya bullish trend main banta hai, jo k teen candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli aur dosri candle apas main up side par gap banate hen, jo k same "Bullish Gap Up" pattern jaisa hota hai. Dosri candle k baad banne wali teesi candle aik bearish real body wali candles hoti hai, jo k open to dosri candle k close price par hoti hai lekin close pehli aur dosri candle k gap main hoti hai. Bullish tasuki gap candlestick pattern main shamil teeno candles real body main hoti hai, jiss main ziada tar dosri aur teesri candles ka size same hota hai (lrkin ye zarori nahi hai).

    Click image for larger version

Name:	images (5).jpeg
Views:	1
Size:	15.5 کلوبائٹ
ID:	12444206

    Trading


    Bullish tasuki gap candlestick pattern main teesri candle bearish banne k bawajood bhi ye pattern prices ko bearish trend main reversal karne main nakam hoti hai, jiss se prices bullish trend continuation ka signal deti hai. Pattern ki teesri candle open to dosri candle k close price par hoti hai lekin gap main close ho jati hai. Agar ye candle gap ko cover bhi karen lekin ziada nechay na jaye jiss se pehli candle ka close point ho to bhi pattern ko darust mana jata hai. Pattern ki teesri candle ka position bohut aham hai, k wo gap main se ziada nechay na jaye. Agar wo aisa karti hai to ye pattern invalid ho jayega. Pattern par trading k leye confirmation candle ka honna zarrori hai, jo k teesri candle k baad aik bullish candle ka honna chaheye. Confirmation candle ka bearish candle se above close hona chaheye aur pattern ka Stop Loss pattern k sab se downside jo umoman pehli candle ka lower side ya open position banta hai, se aik ya do pips nechay set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (30).png
Views:	30
Size:	14.6 کلوبائٹ
ID:	12444205

    اب آن لائن

    Working...
    X