What is bullish meeting lines candlestick pattern in forex
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is bullish meeting lines candlestick pattern in forex
    INTRODUCTION
    Dear buddies asalamo alykum kesay hain ap sab umeed hay ap sab tek hon gay aur aap ka trading week bhi acha ja rha ho ga.yeh pattern*aur indicator humari trading main bht important role play karty hain.yeh humain profit delany main bht madad karty hain. Hum agr in ki learning nai krain gy or in ko fazool samjyn gy to kbi b kamyabi humary kadam ni choomy gi aaj hum jis topic per bat krain gay wo hai bullish meeting line candlestick pattern.Bullish meeting line candlestick pattern aik two-candle reversal pattern hai jo lower trend main hota hai aur trend kay reversal ka ishara dita hai bullish meeting line ki pheli candle bearish hai.aur is kay bad aik positive candlestick ati hai jo pichli candle kay blkl qareeb band ho jati hai.bhut din asay hotay hain jab market trend ki direction main waqfay kay sath kholti hai aur pichlay din ki keemat kay aas pass band hoti hai lambi black candlestick kay white candlestick ati hai is tashkeel ko bullish meetings lines kehtay hain.


    Click image for larger version

Name:	images (1).jpeg
Views:	42
Size:	44.5 کلوبائٹ
ID:	12576729


    MEETINGS LINE CANDLESTICK PATTERN
    Bullish meeting lines piercing line formation say milti julti hain.piercing line bhi 2 candlestick par mushtamil hota hai taham bullish meeting lines ki formation kay liye keemat ko phelay candle ki body tak nai kencha jata hai.keemat pichlay din ki band keemat par rukh jati hai as a result piercing line aik ziyada qabil e ithemad trend reversal signal diti hai.pir bhi bullish meeting lines ko kabi nazar andaz ni kiya jana chahye.3rd din signal ki tasdeeq ki zarorat hai.tasdeeq aik white candlestick say ho sakti hai jis main oper ki traf faraq hai yah ziyada band honay wali keemat.


    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	1
Size:	7.8 کلوبائٹ
ID:	12576730
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is bullish meeting lines candlestick pattern in forex

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Meeting Line Pattern


    Bullish meeting line candlestick pattern prices k bottom par ya bearish trend main banta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle close point se gap main open hoti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k nechay gap main open ho kar ussi k close par close hoti hai. Pattern ki dosri candle prices ko aik to mazeed bearish jane se rokti hai aur dosra ye candle aik bullish hone ki waja se trend reversal ka kaam karti hai. Price chart par jab prices sellers k bohut ziada pressure ki waja se bearish jati hai, to wahan par aksar iss ko reversal honne k imkanat hote hen, jiss main aksar kuch aise pattern hote hen, jo prices ko teezi k sath bullish push karti hen jaise, bullish meeting line line pattern karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (352) (1).png
Views:	15
Size:	8.7 کلوبائٹ
ID:	12440425

    Candles Formation


    Bullish meeting line candlestick pattern prices k bottom par do mukhtalif candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (408).png
Views:	4
Size:	6.9 کلوبائٹ
ID:	12440426

    1. First Candle: Bullish meeting line candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo prices k bottom par ya bearish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik real body wali candle hoti hai. Ye candle black ya red color ki candle hoti hai.

    2. Second Candle: Bullish meeting line candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k bottom par gap main hoti hai, jab k close pehli candle k close price k line main hoti hai. Bullish candle green ya white color main hoti hai, jo k prices ko mazeed bearish bhi jane se rokti hai aur trend reversal ka sabab bhi banti hai.

    Explanation

    Bullish meeting line candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo k do candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k bottom ya bearish trend main banne ki waja se prices ko mazeed nechay jane se rokti hai. Ye pattern dekhne main "Bullish Belt-Hold Line Candlestick Pattern" ki tarah hota hai, lekin dosri candle ki real body k lower side par bhi wick ya shadow bhi nahi banti hai aur na hi prices pehli candle k close point se above jati hai. Bullish meeting line pattern ki dosri candle aik bari real body wali bullish candle hoti hai, jiss k close price pehli candle k close price se ooper close nahi hona chaheye. Bullish meeting line pattern ki dosri candle strong banne ki waja se prices reverse hoti hai, aur bullish trend reversal ka sabab banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (220).jpeg
Views:	5
Size:	15.9 کلوبائٹ
ID:	12440424

    Trading

    Bullish meeting line candlestick pattern trend reversal ka pattern hai, jiss se market main buy ki entry karte hen. Pattern k bottom par buyers ziada active ho jate hen. Trend reversal pattern par trading trend continuation patterns ki nisbat ziada riski hoti hai, iss waja se pattern par trading se pehle market main aik bullish ya white candle ka hona zarori hai. Jiss ki real body honi chaheye, jiss main open aur close same point par na ho. Agar pattern k baad bearish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par entry nahi karni chaheye. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya dosri candle k open point se two pips below select karen.

    Click image for larger version

Name:	5xZk9qG.jpg
Views:	2
Size:	61.2 کلوبائٹ
ID:	12440423

    اب آن لائن

    Working...
    X