Trading on Dark Cloud Cover Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading on Dark Cloud Cover Pattern
    Dark Cloud Cover Pattern

    Dark cloud cover candlestick pattern price chart par jab bhi hota hai, to market ka trend downward movement karna shoro karta hai. Ye two days ka aik bearish trend reversal hai, jo prices k top par ya bullish trend main paya jata hai. Ye pattern market main bears ka control zahir karta hai jo bullish trend ky bahd wo bulls se hasil karte hen. Price chart par hamesha se aik khas trend k mutabiq move kar rahi hoti hai, lekin bohut ziada high prices par aksar jab bhi prices ko dark cloud cover candlestick pattern ka samna karna parh jata hai, to uss k baad prices teezi k sath gerna shoro hoti hai, jo k aik bearish trend ki alamat hoti hai

    Click image for larger version

Name:	1.png
Views:	11
Size:	271.4 کلوبائٹ
ID:	12573828

    Identification of Dark Cloud Cover Pattern

    Dark cloud cover pattern pehli din ki candle aik bullish candle hoti hai, lekin dosre din ki candle bearish candle k close prices par hone ki bajaye top gap main open ho kar ussi k real body main close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai Dark cloud cover candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo price ky top par ya bullish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik real body wali candle hoti hai. Ye candle white ya green color ki candle hoti hai. Dark cloud cover candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali strong bearish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k top par gap main hoti hai, jab k close pehli candle k darmeyan se below hoti hai. Bearish candle k shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai, lekin candle lazmi real body main honi chahiey

    Click image for larger version

Name:	2.png
Views:	20
Size:	6.8 کلوبائٹ
ID:	12573829

    Explanation of Pattern

    Dark cloud cover candlestick pattern market main prices ko downward convert karta hai, jo k do candles, bullish aur bearish se mel kar banta hai. Pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices k top ya bullish trend ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body main shadow samaet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k opposite direction yanni bearish candle hoti hai, jo open pehli candle k top par gap main hoti hai, lekin close pehli candle k darmeyan se nechay hoti hai. Ye candle pehli candle se bane gap ko cover bhi karti hai aur sath hi bearish trend reversal ka kaam bhi karti hai. Ye candle lazmi real body main honi chaheye, jab k close pehli candle k open price aur midpoint k darmeyan main hai

    Click image for larger version

Name:	3.png
Views:	22
Size:	59.8 کلوبائٹ
ID:	12573830

    Trading on Dark Cloud Cover

    Dark cloud cover candlestick pattern prices k top par traders k leye sell ka signal generate karta hai, jiss confirmation candle k baad entry ki ja sakti hai. Pattern k baad confirmation candle ka real body main bearish hona bhi zarori hai, jab k dosri candle k bottom par close hona bhi aham hai. Pattern k baad bullish candle banne se pattern par sell ki entry nahi karni chaheye, jab k trend confirmation indicator jaise CCI, RSI, MACD aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main honi chaheye. Pattern par stop loss ka bhi zaror istemal karen. Stop Loss pattern k sab se top position ya dosri candle k open price se two pips above set karen
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Trading on Dark Cloud Cover Pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Dark Cloud Cover Pattern


    Dark cloud cover pattern aik strong Bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k uptrend ya high price area main banta hai. Ye pattern dekhne main same "Bearish Belt-Hold Candlestick Pattern" ya "Bullish Thrusting Line Pattern" jaisa dekhaye deta hai, lekin dosri bearish candle ki shape thori si difference honne ki waja se ye uss mukhtalif ban jata hai. Ye pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle bullish aur dosri Bearish candle hoti hai. Bearish candle ki haseyat ye hai k ye candle aik to bullish candle se above gap main banti hai aur dosra ye candle close pehli candle k midpoint se nechay hoti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images_94161494458026.jpeg
Views:	11
Size:	19.5 کلوبائٹ
ID:	12441281

    Candles Formation


    Dark cloud cover pattern trend reversal pattern honne ki waja se prices k top par ya bullish trwnd main banta hai, jiss se prices apne trwnd ko badalne main majboor ho jati hai. Pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss ki tafseel darjazzel hai;

    Click image for larger version

Name:	images (9)_94161524688235.png
Views:	7
Size:	5.5 کلوبائٹ
ID:	12441282

    1. First Candle: Dark Cloud Cover Candlestick Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle honi chahie, jo k bullish trend ya high prices ko zahir karti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai.

    2. Second Candle: Dark Cloud Cover Candlestick Pattern ki dosri candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k top par open ho kar ussi k midpoint se nechay close hoti hai. Ye candle lazmi 50% se nechay close honi chaheye. Ye candle volor main black ya red hoti hai.

    Explanation


    Dark cloud cover pattern two days candle ka aik Bearish trend reversal pattern hai, jo k bullish trend ya high prices area main banta hai. Dark cloud cover pattern k opening side par aik small wick ya shadow honi chaheye hai, q k issi tarah se ye pattern belt-hold line pattern se mukhtalef ban jata hai. Ye pattern prices k top par do candles se mel kar banta hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jiss k baad aik bearish candle above gap main ban kar bullish candle k real body main darmeyan se nechay aur open price se ooper close hoti hai. Bearish candle ka bullish candle k open price se above lazmi close hona zarori hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1)_94161507328860.jpeg
Views:	41
Size:	11.4 کلوبائٹ
ID:	12441280

    Trading


    Dark cloud cover pattern ki pehli candle normal bullish trend wali candle hoti hai, jo k prices k bullish trend ki alamat hoti hai, jab k dosri candle pehli candle k upper gap main open honne k bawajood close pehli candle k 50% se below area main hoti hai, jiss se dosri candle ki mazboti zaher hoti hai. Pattern par trading se pehle market ka uptrend ya prices ka high honna zarori hai. Pattern par trading se pehle trend confirmation ka honna zarori hai. Trend confirmation price action se bhi ho sakti hai aur kisi reliable indicator se bhi ho sakti hai. Pattern k dosri candle k bad agar aik real body bearish candle banti hai, to yahan par market main entry ki ja sakti hai. Stop Loss pattern k sab se highest point jo umoman dosree candle ka upper ya open banta hai, se aik ya do pips above par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (8)_94161473293964.png
Views:	98
Size:	16.2 کلوبائٹ
ID:	12441279

    اب آن لائن

    Working...
    X