Bullish Squeeze Alert Pattern
Bullish squeeze alert pattern teen candles par mushtamil aik unique pattern hai, jo bearish trend main ya low prices area bullish trend reversal ka sabab banta hai. Pattern ki khas baat ye hai k iss main shamil pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka baad do small real body wali candles hoti hai, jo k kisi bhi pattern yanni color ki ho sakti hai, ye candles dono color main combine bhi ho sakti hai. Lekin ye dono candles pehli candle ki real body main open aur close hote hen jis katarah k bearish harami ya homing pigeon pattern main hota hai. Pattern ki last candle sab se small real body wali hoti hai, jo k dosri candle ki real body main banti hai.

Identification of Bullish Squeeze Alert
Bullish squeeze alert pattern main shamil candles ki body tarteeb k hisab se kam hoti rehti hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad banni wali small candles uss k real body main bante hen, jiss ki tafseel darjazzel hai Bullish squeeze alert pattern bearish trend main vanne ki waja se pattern ki pehli candle bhi bearish hoti hai. Ye candle aik long real body wali candle hoti hai jo k bearish trend ki mazboti ki akasi karti hai. Ye candle volor main black ya red banti haiBullish squeeze alert pattern ki dosri candle pehli candle se small real body wali candle hoti hai, jiss ka open aur close pehli candle k real body k andar hota hai. Ye candle zarori nahi k kisi khas pattern ki ho yani ye bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai

Explanation of Pattern
Bullish squeeze alert pattern low prices area main buyers k market main take over karne ka aik zarya banta hai. Pattern main teen candles aik aise tarteeb se bante hen, jiss main dosri candle pehli candle ki real body main banti hai, jab k teesri candle dosri candle ki real body main banti hai. Pattern ki pehli do candles aik bullish homing pigeon ya bullish harami pattern banate hen, jab k akhari do candles bhi same issi tarah ka behaviour rakhti hai, iss waja se agar iss pattern ko double bullish harami, ya double homing pigeon pattern kehna bhi darust hai. Ye pattern bearish trend ki kamzori ka bahis banti hai, jiss k baad prices bullish trend reversal main badal jate hen.

Trading on Bullish Squeeze Alert
Bullish squeeze alert pattern bearish trend main kamzori ka zarya ban kar prices bullish trend reversal main badal deta hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik strong aur real body wali bearish candle hoti hai, lekin baad wali candles aik to small real body main banti hai, dosri unh ki hasseyat bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai. Bearish trend ki ye kamzori buyers k leye market main entry ka moqa deti hai. Market main entry karne se pehle trend confirmation candle ka hona zarori hai, jo k aik real body wali bullish candle honi chaheye. Technical indicators par bhi prices oversold zone main honi chaheay. Stop Loss pattern k sab se lowest point jo k pehli candle ka lower ya close price banata hai, se two pips below set karen