Dragonfly Doji Pattern
Dragonfly doji candlestick prices k bottom ya bearish trend main banne wali aik single candle pattern hai, jiss main candle bagher real body k sath lower side par long shadow hota hai. Dragonfly doji candlestick bulls aur bears, buyers aur sellers, supply aur demand, risk aur profit ke darmiyan muqabele ki aik kahani hoti hai. Jiss main market main aik single candle bhi prices k top ya bottom main prices par asar andaz ho sakti hai. Dragonfly doji candle ki ye haseyat hai, k ye bullish ya bearish dono soraton main bullish trend reversal k asarat rakhti hai, jiss k leye prices ka bottom level ya bearish trend main hona zarori hai. Kisi bhi assets k matloba timeframe main jab bull prices ko mazeed bottom level par jane se mana karte hen to uss sorat main dragonfly doji candle ban jati hai
Identification of Dragonfly Doji
Prices k bottom main uss waqat dragonfly doji candle ban jati hai, jab bhi bear market main apna control baqarar rakhne k leye prices ko downward push karti hai, lekin bull uss waqat ziada active ho jate hen, jiss se wo prices k nechay jane main rukawat peda karte hen. Dragonfly doji candle ki chart main formation darjazel tarah se hoti hai Dragonfly doji candlestick aik single candle pattern hai, jiss main aik timeframe k dowran prices bottom level par bullish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle bullish aur bearish dono soraton main bullish hi hoti hai. Jab k ye candle bagher real body main hoti hai, jiss k lower side par aik long shadow ya wick hoti hai. Candle ka shadow aik to lamba hota hai, dosra iss candle k upper side par small si wick to acceptable hai lekin agar ye upper side par bagher shadow ki ho to ye accurate dragonfly doji candle hoti hai
Explanation of Pattern
Dragonfly doji candle prices ky bearish trend main bears aur bulls ki market par control hasil karne ka natijay main banti hai. Jab bhi prices ko aik matloba timeframes k dawran bear nechay push karne ki koshash karte hen, lekin demand yakdam ziada hone ki waja se bulls market main active ho jate hen, jiss se wo prices ko mazeed bearish jane se rokhte hen, jiss k natijay main bagher real body wali long lower shadow ki candle tashkeel hoti hai. Ye candle bagher upper shadow ki hoti hai, lekin pher bhi ye candle bullish hososeyat rakhti hai, q k ye iss candle main prices ko nechay jane main dushwaree ka samna karna parta hai. Ye candle prices k top par banne wali hanging man aur gravestone doji candle jaise hoti hai, jab k prices k bottom par banne wali hammer candle ki opposite shap main banti hai
Trading on Dragonfly Doji Candle
Yeh candlestick market main traders k leye buy ka signal dete hai, jiss se trader long timeframes main prices k bottom par aik confirmation candle k baad entry kar sakte hen. Confirmation candle ka aik to bullish hona zarori hai, jab k dosra ye candle dragonfly doji candle k ooper close honi chaheye. Agar iss candle k baad banne wali candle bearish hoti hai, to uss sorat main trade entre karne ki risk na len. Ye single candle hone ki waja se zarori hai, k trend confirmation indicator se bhi ki jaye, jaise agar CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main honi chaheye. Stop Loss candle k sab se lower prices ya shadow k bottom se two pips below set karen

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим