Dark Cloud Cover Pattern
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Dark Cloud Cover Pattern
    Dark Cloud Cover Candlestick Pattern

    Dark cloud cover candlestick pattern price chart par jab bhi hota hai, to market ka trend downward movement karna shoro karta hai. Ye two days ka aik bearish trend reversal hai, jo prices k top par ya bullish trend main paya jata hai. Ye pattern market main bears ka control zahir karta hai, jo bullish trend k baad wo bulls se hasil karte hen. Price chart par hamesha se aik khas trend k mutabiq move kar rahi hoti hai, lekin bohut ziada high prices par aksar jab bhi prices ko dark cloud cover candlestick pattern ka samna karna parh jata hai

    Click image for larger version

Name:	699b68d1-cf42-4873-8913-4a9f4e30bab0.png
Views:	13
Size:	7.0 کلوبائٹ
ID:	12572527

    Identification of Pattern

    Dark cloud cover candlestick pattern market main prices ko downward convert karta hai, jo k do candles, bullish aur bearish se mel kar banta hai. Pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices k top ya bullish trend ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body main shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k opposite direction yanni bearish candle hoti hai, jo open pehli candle k top par gap main hoti hai, lekin close pehli candle k darmeyan se nechay hoti hai. Ye candle pehli candle se bane gap ko cover bhi karti hai aur sath hi bearish trend reversal ka kaam bhi karti hai. Ye candle lazmi real body main honi chaheye

    Click image for larger version

Name:	2.png
Views:	20
Size:	6.8 کلوبائٹ
ID:	12572528

    Explanation of Pattern

    Dark cloud cover pattern pehli din ki candle aik bullish candle hoti hai, lekin dosre din ki candle bearish candle k close prices par hone ki bajaye top gap main open ho kar ussi k real body main close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai Dark cloud cover candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo prices k top par ya bullish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik real body wali candle hoti hai. Ye candle white ya green color ki candle hoti hai.Dark cloud cover candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali strong bearish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k top par gap main hoti hai

    Click image for larger version

Name:	1.png
Views:	11
Size:	271.4 کلوبائٹ
ID:	12572529

    Trading on Dark Cloud Cover Pattern

    Dark cloud cover candlestick pattern prices k top par traders k leye sell ka signal genrate jarta hai, jiss confirmation candle k baad entry ki ja sakti hai. Pattern k baad confirmation candle ka real body main bearish hona bhi zarori hai, jab k dosri candle k bottom par close hona bhi aham hai. Pattern k baad bullish candle banne se pattern par sell ki entry nahi karni chaheye, jab k trend confirmation indicator jaise CCI, RSI, MACD aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main honi chaheye. Pattern par stop loss ka bhi zaror istemal karen

    Click image for larger version

Name:	3.png
Views:	22
Size:	59.8 کلوبائٹ
ID:	12572530
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Dark Cloud Cover Pattern
    Dark cloud cover pattern market k trend k current semat k bar-aks humen aik new signal deta hai, jiss se prices apne rukh ko tabdeel karne par majboor hoti hai. Jab bhi prices main uptrend k baad dark cloud cover pattern ban jata hai to ye ek bearish trend reversal ka kaam karta hai. Ye pattern uptrend k kamzzroi ki nishan dahi karta karta hai. Dark cloud cover ka shummar do candles wale pattern me hotta hai, jis me pehlee aik long real body wali bullish candle hote hai, jis k baad dosree aik long real body wali bearish candle banti hai. Dosree candle aik to bearish signal detee hai aur dosra ye uptrend ka ikhtetaam karti hai.
    Candles Formation
    Dark cloud cover pattern hamen market ki top resistance level ki information deti hai aur trend reversal point ki nishandahi karti karta hai. Jaisa k uper bataya gaya k dark cloud cover pattern ek trend reversal pattern hai, aur uptrend k baad main bhi bannta hai to us k leye candles ki darrjazel format honi chaheye ;
    1. First Candle: Bearish dark cloud cover main pehle din ki candle aik long real body wali white/green hotee hai, jo prices k uptrend ki turrjumani kartti hai. Ye candle normal size aur bullish trend k mutabiq banti hai.
    2. Second Candle: Bearish dark cloud cover pattern main dosre din ki candle ek black/red candle banti hai, jo k prices k bullish trend ka ikhtetaam kartti hai, dosre din ki candle pehle din ki candle se upper gap main open hotti hai aur close bullish candle k central point se lower pe hotti hai.
    Explaination
    Bearish dark cloud cover pattern "Piercing Line Pattern" k same jaisa opposite direction me banta, jis me uptrend ko bearish trend me reverse kia jata hai. Ye pattern normal do din candles par mushtamil hotti hai, jis main pehle din ki candle aik bullish candle hotti hai, jo k prices k uptrend ki nishan-dahi kartti hai, ye candle size aur formation me normal long real body wali bullish candle hotti hai. Lekin dosre din ki candle aik long real body wali bearish candle hotee hai, jo k open to pehle din ki candle se upper gap me hotti hai, lekin close bullish candle k centre ya darmeyyan se thora sa lower pe hotti hai. Dosre din k candle aik to bearish signal deti hai, dossra ye bullish trend ya uptrend k khatmey ka bahiss bhi bantti hai.
    Trading
    Dark cloud cover pattern par trading se pehle prices ka baghawarr study karlen k ya to ye uptrend me honni chaheye aur ya ye high level pe hon. Pattern ki pehlee candle normal long real body wali hoti hai, jis ko dosre din ki bearish candle follow kartti hai. Dark cloud cover pattern me dosre din ki candle ki formation bohut zarrori hai, aik to ye gap me pehle din ki candle se upper side pe honi chaheye aur dosra ye k ye candle close bullish candle k darmeyan se nechey honni chaheye. Trend confirmation trade entry se pehle zarrori hai, jab bhi pattern k baad teesre din ki candle bearish ya black candle banne gi to ye market main me sell se entry karne ka time hoga. Stop loss pattern k sab se highest price ya bearish candle k top pe position karen.

    اب آن لائن

    Working...
    X