Guidelines of High Wave Candlestick Pattern.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Guidelines of High Wave Candlestick Pattern.
    Aslam o alaikum.
    Dear members umeed karta hun k ap sab kheriat sey houn gey and forex par achi learning hasil kar rahy houn gey. Pakistan forex forum aik real platform hai jahan hum real trading kar sakty hein and trading k rules ko seekh sakty hein. Aj mein ap sab k sath aik boht important topic discuss karun ga. Yeh topic boht he aham hai tamam traders k liye , is liye mein umeed karta hun k ap sab is ko lazmi seekhen gey.


    * What is High Wave Candlestick Pattern ?

    Dear forex members high wave aik neutral candle hoti hai and yeh aik small real body wali candle hoti hai. Yeh candle upper and lower side par aik long shadow rakhti hai. Is candle k upper and lower side ka shadow almost same hota hai size mein. Is candle ki real body dono sides k shadow k bilkul center mein hoti hai. Yeh candle bullish and bearish , supply and demand k barabar ki waja sey banti hai.


    * Explanation of High Wave Candlestick Pattern:

    Dear members yeh aik aisa candlestick pattern hai jo prices k top par akely he trend reversal ka kam karti hai. Yeh candle small real body mein bhi aik strong position rakhti hai. Is ki technical analysis mein boht zada importance hai.

    * Yeh candle prices k top or bottom mein zada better working karti hai. Mostly normally yeh candle neutral samjhi jati hai , kyun k aik tou is ki small real body hoti hai and second is ka shadow kisi aik side par zada size ka nahi hota hai. Is mein jab bearish market jati hai tou bullish trend reversal k liye buy ki entry li jati hai. Is candle par working k liye long time frame ka hona boht zada zaroori hai , is k sath he trend reversal k liye confirmation candle ka hona bhi zaruri hota hai.

    * Yeh candle aik small real body k hony ki waja sey analysis mein boht zada istemal hoti hai. Mostly traders apni trading k doran is pattern ko is liye boht pasand karty hein kyun k yeh single candle hony k bawajud complete pattern deti hai. Jab yeh pattern single candlestick prices k top or bottom mein dekhi jati hein tou us time yeh trend reversal ka kam karti hein.


    * Conclusion :

    Dear members jaisy k meiny oper btaya k yeh candlestick pattern aik boht he famous hai and mostly jitny b expert traders hein wo is ka istemal lazmi karty hein. Is candlestick ki pehchan k liye long timeframe chart par easily isko search kea ja sakta hai. Jab tak is pattern ki confirmation hasil naa ho jaye tab tak hamen apni trade ko active nae karna chaiye. Yeh candlestick neutral working karti hai aur is k upper and lower side par same aize ka shadow hota hai. Is ki pehchan karna boht easy hai kyun k yeh small real body ki hoti hai. Umeed karta hun k ao sab is pattern ko lazmi samjhen gey and is par zaroor working kar k aik acha benefits hasil karen gey.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Guidelines of High Wave Candlestick Pattern.

    Assalamu Alaikum Dosto!


    High Wave Candlestick


    Single candles pattern jiss main buyers aur sellers ka market main control aksar barabar rehta hai, aik neutral candles tasawar ki jati hai. High wave candle bhi market main buyers aur sellers ki yaksan hone par wajood main ati hai. High wave candle ki ooper aur nechay long shadow ya wick hota hai, jiss ka darmeyan main aik small si real body hoti hai, jiss main prices ka open aur close aik dosre k qareeb hota hai. Ye aik neutral candle shumar hoti hai, jo k aik strong trend k dowran trend reversal ka signal de sakti hai. High wave candle k ooper aur nechay shadow aik to size main equal hona chaheye aur dosra ya length main long hona chaheye, q k small shadow hone par ye Spinning top candle ban sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-01-18T151650.385.png
Views:	8
Size:	5.6 کلوبائٹ
ID:	12441931

    Candles Formation


    High wave candle prices k top aur bottom dono main ban sakti hai. Sideways markets main ye candle aik neutral candle hoti hai, jo k prices k ziada tar maojoda trend main continuation ka sabab banti hai. Price chart par High wave candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-01-18T151704.239.png
Views:	16
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12441932

    High Wave Candle: High wave candle chart pattern par aksar market main aik small si candle nazar ati hai, jiss ka ooper aur nechay aik lamba shadow hota hai. Ye candle small real body ki hoti hai, jiss main prices ka open aur close aik dosre k qareeb hota hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se market ki position k mutabiq apna situation tabdeel karti hai.

    Explanation

    High wave candle aik single day small candle hai, jiss main prices din k aghaz main open hone k baad aik small real body main up ya down close hoti hai. Price chart par buyers aur sellers market main same quat (power) main hote hen, ya un ki assets main dilchaspi kam hoti hai, jiss se prices aik timeframe k dowran ooper aur nechay jane ka baad wapis apne aghaz wali position k qareeb close ho jati hai. Ye aik small real body wali bullish ya bearish candle hoti hai, jo k trend k mutabiq apni hodohal ko tabdeel karti hai. Ye candle prices k top ya bottom par strong trend reversal ka sabab banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-01-18T151557.674.png
Views:	3
Size:	3.0 کلوبائٹ
ID:	12441930

    Trading

    High wave candle sideways market main ya newly breakout trend main trend continuation ka kaam karti hai, jab k price k top ya bottom main ye candle aksar trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle prices k bottom main bullish trend reversal aur prices k top par bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Candle k baad trend ki confirmation ka candle ka hona zarori hai jo k real body main hona chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se trend ki confirmation CCI indicator ya stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss main value overbought aur oversold zone main honi chaheye. Stop Loss candle k sab se top ya bottom se trend reversal k mutabiq two pips below ya above set kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-01-18T151514.358.png
Views:	15
Size:	11.7 کلوبائٹ
ID:	12441929

    اب آن لائن

    Working...
    X