trade with Morning star candle stick patten
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    trade with Morning star candle stick patten
    what is morning star candle stick pattern




    morning star candle stick pattern teen bullish reversal candle stick pattern hota hey j keh forex market mein nechay kay trend kay nechay zahair hota hey yeh forex market mein nechay ke raftar ke kame ko zahair karta hey es say pehlay aik bare bullish candle stick new up trend ke base bante hey
    Click image for larger version

Name:	morning-star-candlestick_body_morningstarheadline.png
Views:	15
Size:	4.8 کلوبائٹ
ID:	12572258



    identification morning star candle stick pattern




    forex market mein majodah kame kay trend identify karen market ke kam high or kam lower level ko identify karna chihay
    aik bare bearish candle stick ho jes par sellig presure hona chihay es pattern mein forex market kay trader ko aik khas imit ko par kaim karnay ke koshesh ke hey chonkeh forex marke kay reversal janay ka ki sabot nahe melta hey
    chote bearish / bullish candle stick dsree candle stick aik small candle stick hte hey jo keh small bearish ya bullish candle stick bhe ho sakte hey es candle stick ko kabhe kabhe doji candle stick bhe keh saktay hein zyada tar es candle stick ka distance kam hota hey jo keh forex market mein high ho jate hey r aik new up trend kay aghaz ke taraf eshara karte hey
    forex market mein aik kamyab tbdele kay bad trader higher high or higher low level ka analysis kartay hein or forex markt mein en ko achay stop kay ley kamyab tabdele ke taraf lay kar ja saktay hein
    Click image for larger version

Name:	morning-star-candlestick_body_howtoidentifythemorningstar.png
Views:	6
Size:	13.4 کلوبائٹ
ID:	12572261



    trade with morning star candle stick pattern




    forex market mein morning star candle stick pattern es bat ko indicate karta hey EUR/GBP chart mein anaysis keya ja sakta hey reversal pattern ke tashkeel aik kaim shodah kame kay trend ko indicate karta hey
    forex market mein chart ko daikhtay hovay aik kame kay trend ko identify karnay kay bad agle he candle stick kay opening hesay mein enter hnay kay ley daikh saktay hein forex market mein zyada kadamat passand trader apni entry mein takhair kar saktay hein or forex market mein yeh daikhanay kay ley intazar kar saktay hein keh aya keh price action zyada ho rehe hey ya kam ho rehe hey khas tor par bullish say chalte market mein enter ho saktay
    forex market mein target ke resistance ke pechle level ya stable kay pechlay hesay par rakha ja sakta hey chonkeh forex market ke koi gurantee nahi hote hey es ley hamesha positive risk o reward ratio ko kaim karna chihay
    Click image for larger version

Name:	morning-star-candlestick_body_TradingthemorningstarEURGBP.png
Views:	15
Size:	9.9 کلوبائٹ
ID:	12572268Click image for larger version

Name:	morning-star-candlestick_body_TradingthemorningstarEURGBP.png
Views:	15
Size:	9.9 کلوبائٹ
ID:	12572268
    bhali kay badlay bhali
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: trade with Morning star candle stick patten

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Morning Star Candlestick Pattern


    Morning star candlestick pattern price chart par maojood current trend ko up-trend badalne ka aik strong signal deta hai, jiss se prices k main maojood current bearish trend ka khatma ho jata hai. Forex trading market main jab bhi prices aik khas trend k mutabiq movement kar rahi hoti hai, to trader k leye ye janna bohut zyada mushkil hota hai k kis time prices main trend reversal hone wala hai, lekin jab bhi kuch pattern jaise morning star candlestick pattern prices k bottom ya bearish trend main bante hen, to yahan par traders ko aik signal mel jata hai, k ab yahan se trend reversal hone wala hai. Morning star pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jo prices k bottom ya bearish trend k baad banta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1) (1).jpeg
Views:	17
Size:	15.5 کلوبائٹ
ID:	12433925

    Candles Formation


    Morning star candlestick pattern ka shumar bhi bullish trend reversal pattern main hota hai, jo k prices k bottom ya bearish trend k baad banta hai. Morning star candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	morning-star-1024.jpg
Views:	30
Size:	63.2 کلوبائٹ
ID:	12433926

    1. First Candle: Morning star candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices k sabeqa bearish trend ki alamat hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jiss real body shadow ki nisbat ziada hoti hai.

    2. Second Candle: Morning star candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali candle hoti hai, jo ziada tar Spinning top candle hoti hai. Ye candle small real body k sath small upper aur lower shadow k sath hoti hai. Ye candle bullish ya bearish dono tarah se ho sakti hai.

    3. Third Candle: Morning star candlestick pattern ki teesri candle aik bullish candle banti hai, jo k sabeqa trend ka khatema karke new bullish trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle strong bullish candle hoti hai, jiss ka upper ya lower side par small wick ho sakti hai, lekin ye Spinning top candle se above side par gap main banna chaheye.

    Explanation

    Morning star candlestick pattern prices k bottom main bearish trend ka khatma karta hai, jo teen mukhtalif patterns k candles par mushtamil aik strong bullish trend reversal pattern hai. Pattern ki pehli candle market main maojod sabeqa bearish trend k mutabiq aik bearish candle hoti hai, jo prices ko nechay ki janib push karne ki koshash karti hai. Ye candle aik strong bearish candle hoti hai, jo market ki maojoda bearish trend ki mazboti dekhati hai. Pattern ki dosri candle aik small real body wali candle hoti hai, jo k umoman aik Spinning top candle hoti hai. Ye candle prices ko mazeed nechay jane se rokne ka kaam karti hai. Pattern ki akhari candle aik bullish candle hoti hai, jo k Spinning top candle k top par banti hai. Ye candle trend reversal aur prices ko upward push karti hai, jiss se market ka current trend bullish ho jata hai. Pattern ki pehli aur akhari candle taqreeban parallel hoti hai, jab k center wali candle dono k darmeyan main nechay gap ya gap k bagher ho sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	87
Size:	11.3 کلوبائٹ
ID:	12433924

    Trading

    Morning star candlestick pattern main dosri small candle prices ko mazeed nechay jane se rok kar market ki current trend k change hone ka aik signal deta hai, jab k pattern ki last bullish candle current prices ko bullish trend main divert karwati hai. Pattern market main aik strong bullish signal deta hai, jiss par buy ki entry ki ja sakti hai. Pattern k baad aik bullish trend confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bullish bhi honi chaheye aur teesri candle k top par bhi close honi chaheye. Pattern k baad bearish candle pattern k asarat ko khatam kar dete hen. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern ka Stop Loss sab lower point ya pattern k dosri candle k bottom se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images.jpeg
Views:	78
Size:	20.0 کلوبائٹ
ID:	12433923

    اب آن لائن

    Working...
    X