Forex Lot Size
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Lot Size
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Lot Size


    Financial market main jahan par bhi trading ho rahi hai, uss main lot size aik lazmi juzz k tawar par dekha jata hai. Lot forex trading main do currencies k darmeyan hone wale trading k leye istemal kia jata hai. Yanni agar aik trader aik currency ki koi miqdar khareedna chahata hai, to uss k leye uss k account main uss miqdar k mutabiq free margin hona zarori hai, jiss se wo trading sar anjam de sakta ho. Lot size ka account k amount, leverages aur matloba assets k spread k sath bara gehra taluq hota hai. Aam zindagi main bhi agar aik person aik single American dollar khareedna chahata hai, to uss ko 175 Pakistani rupees dene parhte hen, isi tarah se agar hum ziada amount main khareed-wa-ferokht karna chahaengay to uss k leye humen apne miqdar ko barhana hota hai, jo k lot size k zimre main ata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (111).png
Views:	2
Size:	8.0 کلوبائٹ
ID:	12571935

    Lot Size Types


    Lot size generally trader apni marzi se select karta hai, aur jo uss k account ka ka balance ho uss k mutabiq select hota hai. Lekin lot size k kuch selected adad hen, jin ko uss k miqdar k mutabiq naam deye gaye hen, jo k darjazzel hen;

    Standard Lot

    Standard lot size k naam se saaf zahir hai, k ye lot size ki standard akaye hai, jiss ko forex trading currencies main 1.0 se zahir kia jata hai. Standard lot size main 100,000 currencies units hote hen.

    Mini Lot

    Standard lot size k baad bari ati hai, Mini lot size ki jo k miqdar main standard lot size se kam hota hai. Ye lot size 10,000 currencies units par mushtamil hota hai. Jiss ko forex trading main 0.1 se zahir kia jata hai, aur standard lot size k 1/10 k barabar hota hai.

    Micro Lot

    Forex trading main retailer ki taraf se yanni small traders ki taraf se sab se ziada istemal hone wala lot soze hai, jiss ko micro lot size kehte hen. Ye lot size 1000 currencies units par mushtamil hota hai, jab k mini lot k 1/10 aur standard lot k 1/100 k barabar hota hai.

    Nanu


    Nanu lot size sab se kam lot size hota hai, jiss ko forex trading main 0.001 se zahir kia jata hai, jo k 100 currencies units ka hota hai. Ye lot size sab se micro lot size k 1/10, mini k 1/100 jab k standard lot size k 1/1000 k barabar hota hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex Lot Size

    Assalamualaikum dear forex members me apni post me lot size k bary me explain krun gi trading mein load size ka istemal Karna heart trader ko aana bahut jaruri hai jab tak hamen laut size ka use Nahin pata chalega tab tak Ham acchi trading nahin kar sakte kyunki lot size ko select karna hamari trade ke liye bahut aham hota hai sometime Ham bahut kam load size use kar dete hain lekin mostally yah hota hai ki Ham jyada lot size ka istemal karte Hain Jo ki hamari trade ke liye Sahi Nahin hota aaj main aapko trading mein lot size ke istemal ke bare mein batane ja rahi hun To chale Ham apni post start karte Hain.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20221126_102719.jpg
Views:	1
Size:	58.4 کلوبائٹ
ID:	12433734

    ⭐What is lot size?
    Friends forex me har new members k liay yh Q's Hy k lit size kia hota Hy Forex mein pahle se Kam Karne wale senior members to yah jante Hain Ki load size kya hota hai lekin junior members ke liye yah ek nai baat hai ki lot size Kise kahate Hain friends Jab Ham Forex mein kisi Bhi Pair per trading karte Hain To uske liye ek unit hamen select karna hota hai ki Ham kitni quantity mein kisi bhi ped per trade kar rahe hain yah iska lot size kahlata hai yani agar aap Gold per kar rahe hain to uski kitni quantity ko lete hue Ham apni trading ko Aage badha rahe hain vah hamare liye ek lot size hoga ager hum khain k trading k liay Kisi b pair ka unit lot size kehlata Hy or lot size ka istemal kesy krty Hain yh me further agy apni post me btaon gi.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20221126_102704.jpg
Views:	1
Size:	88.1 کلوبائٹ
ID:	12433735

    ⭐Use of lot size:
    Friends lot size ka istemal hmain apny account balance ko dekhty huay krna chahie hamare account mein jitna balance Hoga usi Ki according Ham lot size select kar sakte hain agar hamare account mein balance bahut jyada hai to uske liye lot size Bhi Bada istemal Kiya ja sakta hai lekin agar hamare account mein balance Kam hai To fir Ham jyada Bada lot size istemal kar lete hain to isase hamara account wash ho sakta hai isliye Apne account ko dekhte hue hamen load size use karna chahie lot size ki selection hamare liye bahut jaruri hai agar isko Ham Apne account balance se jyada select kar dete Hain To yah hamare liye nuksaan ta ho sakta hai isase hamen Koi fayda Nahin Hoga main niche ek chat show karungi jismein yah bataya jaega ki kitne account balance per Ham Kitna lot size use kar sakte hain jo ki hamari trading ke liye bahut jyada useful rahega.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20221126_102741.jpg
Views:	1
Size:	81.1 کلوبائٹ
ID:	12433736

    اب آن لائن

    Working...
    X