bullish harami candelsticks patren ?⭐⭐⭐
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    bullish harami candelsticks patren ?⭐⭐⭐
    assalium o alekum

    dear forex member umed krti hun ap sb kharyt s hun gy or mahnat s apna work krrhy hn gy hmy chaye k apna knowladge ko increase kry jitna knowledge hoga itna hi hm kamyab ho skty hain aj k hm bullish harami candelsticks patren k bary study kry gy jes s hm sb ka knowladge zrur increase hoga chlty h apny topic ki trf


    introduction

    bullish harami candelsticks


    Dear forex members Jab market long time sy continue down trend main movement ker rehi ho tou same Trend main jab market main aesi bearish candle creat ho ky usky bahd next bullish candle kuch gap ky sath uptrend main open ho aur isterha sy close ho ky bearish candle ka yeh fourth part tak ho lekin jahan per bearish candle close hui ho us sy kuch upside gap ky sath yeh bullish candle creat ho tou aesy pattern ko bullish harami pattern ka name dia gia hai tou jab aesa pattern complete hota hai tou wahan sy hamain buy main trade open ker leni chahiay ky aesy time per buy main trade open kerny sy hamain bahot acha profit hasil ho sakta hai.

    how to take profit and stop loss bullish harami candelsticks patren

    take profit

    Dear friends aap ismein apna take profit next resistance Tak Rakh sakte hain market mein aap Jab analysis karte hain to aapko is strong sport ke bad Jab 1 net resistance uptrend Mein Najar Aaegi to aapas Mein Apna take profit Laga sakte hain.
    stop loss

    Dear forex members aap ismein apnon stop loss Jab Ek ek bullish candle banti hai jo ke first bullish candle Hoti Hai bearish candle ke bad aap usse Neeche apnon stop loss Laga sakte hain dear agar aap is patton ki confirmation Chahte Hain To aapko donon candles ki support ek hi Jagah per honi chahie Agar Niche Se barabar Nahin Hogi to aap ismein entry na len.




    importance of bullish harami candelsticks patren

    Mere pyare aziz dosto yeh Ek bahut hi important pattern bullish Harami pattern hai Jab market button level per Hoti Hai To Uske bad market Mein Ek Aisi candlestick banti hai jo last bearish candle se 50% Badi hoti hai to aapko idea ho jata hai ya bullish Harami pattern ban raha hai Iske bad Aap Ko Intezar Karna chahie aur Jaise hi aapko conformational candlestick mil ki hai hai uske forun Bad aapko trade open kar leni chahie Kyunki market confirmation ke bad bahut jaldi se bullish trend Mein move kar sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221010_1248_04_9401.jpg
Views:	5
Size:	14.5 کلوبائٹ
ID:	12569125
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: bullish harami candelsticks patren ?⭐⭐⭐

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Harami Candlestick Pattern


    Bullish harami candlestick pattern jab bhi aik bearish trend ya low prices area main two days candles se mel kar banta hai, to ye aik bullish trend reversal ka kaam karta hai. Ye pattern risk reward ratio main sab se best pattern hai. Pattern ki dono candles main dosri candle pehli candle se shape main ya length main lazmi small hoti hai, jiss main pehli candle ka open aur close price dosri candle k open aur close price se ziada hota hai. Traders iss pattern ko buyers ki pressure k tawar par dekhte hen, jiss se prices mazeed bullish ja sakti hai. Ye chart pattern bearish trend k ikhtetam aur sellers se buyers main market k control k mutaqeli ka ishara deta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (6).jpeg
Views:	29
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12432800

    Candles Formation


    Bullish harami candlestick pattern prices k bottom par banne ki waja se aik strong bullish trend ki indication deta hai, jo k do candle ka aik simple sa pattern hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	harami-bull-1024.jpg
Views:	13
Size:	56.6 کلوبائٹ
ID:	12432801

    1. First Candle: Bullish harami candlestick pattern ki pehli candle aik strong real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka color bhi bearish pattern k mutabiq black ya red hota hai. Ye candle prices k bottom ya low price main bearish trend ka mazeed izzafe ki koshash hoti hai.

    2. Second Candle: Bullish harami candlestick pattern main shamil dosri candle aik small real body wali hoti hai, jiss ka open aur close same point par nahi hona chaheye. Ye candle aik bullish trend wali banti hai, jiss ka color white ya green hota hai. Ye candle pehli candle k andar banti hai.

    Explaination


    Bullish harami pattern aik strong bullish trend reversal pattern hai jo k bearish trend main banta hai, jo semat ki tabdeeli ki nishan-dahi karta hai. Ye pattern do candles par mushtamil hai, jiss main dosri candle pehli candle k real body main open aur close hoti hai. Ye pattern wese bagher confirmation bhi aik strong bullish signal deta hai, k ab bullish trend reversal hone wala hai. Pattern ki dosri candle pehle candle se size main small hoti hai, jiss se market ka maojoda trend kamzor par jata hai. Sellers ki market main dilchaspi kam ho jati hai jis se market buyers k control main chala jata hai. Ye pattern wese support zone k qareeb ziada banta hai, jiss se prices resistance levels ki taraf harkat karna shoro karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (5).png
Views:	40
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12432802

    Trading


    Bullish harami candlestick pattern price chart k bottom par banne se aik strong message melta hai, k ab market mazeed nechay jane muatahamel nahi ho sakta hai. Iss waja se ye pattern jab bhi bearish trend ya low price main banta hai, to ye bullish trend reversal ka aik strong signal deta hai. Yahan par market main buyers active hone ki koshash karte hen. Trading k leye bullish trend ki continuation aur bullish trend reversal dono main prices bohut teezi k sath bullish jati hai. Pattern main trade open karne se pehle trend confirmation ka indicator se zaror karen, q k aksar ziada peak value par market main entry bare loss ka bhi sabab bantti hai. Pattern ki trend confirmation price action yanni aik aur bullish candle se bhi ho sakti hai. Stop Loss ko pehli candle k lower point ye candle k close price k lower price se two pips below par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (6).png
Views:	24
Size:	12.3 کلوبائٹ
ID:	12432803

    اب آن لائن

    Working...
    X