Discuss about Bullish Squeeze Alert Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Discuss about Bullish Squeeze Alert Pattern
    Bullish Squeeze Alert Pattern

    Bullish squeeze alert pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k market main bearish trend k tasalsul aur uss ki mazboti ki nishan-dahi karti hai. Ye candle color main bearish trend k mutabiq black ya red hoti hai.Bullish squeeze alert pattern ki dosri candle bhi pehli candle ki tarah aik bearish candle hoti hai, jiss ka colour same pehli candle ki tarah black ya red hota hai (lekin zarori nahi hai q k ye bullish bhi ho sakti hai). Ye candle pehli candle k real body k andar open aur close hoti hai.Bullish squeeze alert pattern ki teesri candle sab se small candle hoti hai lekin ye bhi same pehli do candles ki tarah bearish hoti hai jiss ka color bkack ya red hota hai (lekin zarori nahi hai q k ye bullish bhi ho sakti hai). Ye candle bearish trend k ikhtetam ka bahis hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	2.png
Views:	3
Size:	2.5 کلوبائٹ
ID:	12568646

    What is Bullish Squeeze Alert Pattern?

    Dear Forex friends Bullish squeeze alert pattern market main sellers ki trading main mazeed adam dilchaspi aur buyers ki market main control ko zahir karta hai. Ye pattern prices k bottom ya bearish trend main banne ki waja se bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pattern k teeno candles bearish hoti hai (lekin zarrori nahi k lazmi bearish ho) aur har agli candle pechli k real body main close hoti hai. Pattern ki pehli candle aik lobg real body wali hoti hai, jiss k andar dosri candle banti hai, ye dono candles aik dosre k sath "Bullish Homing Pigeon Pattern" banate hen. Pattern ki teesri candle dosri candle k real body main banti hai, jiss se dosri aur teesri candle ka pattern apas main "Bullish Homing Pigeon Pattern" bant ahai.

    Click image for larger version

Name:	1.png
Views:	1
Size:	7.9 کلوبائٹ
ID:	12568647

    How to trade in Bullish Squeeze Alert Pattern

    My Dear Forex Members Bullish squeeze alert pattern par trading k leye zarorri hai, k ye area prices ka top ya bullish trend ka ho. Pattern ki sab se bari hasseyat ye hai k iss main shamil sare candles bearish hen (lekin zarrori nahi hai, q k ye bullish bhi ho sakti hai), lekin iss k bawajood bhi ye bullish trend reversal pattern ki hasseyat rakhta hai. Pattern par trading se pehle confirmation ka hona zarori hai, jo k teesri candle k baad aik real body wali bullish candle honi chaheye. Bullish candle k baad market main entry ki ja sakti hai. Bullish squeeze alert pattern k baad prices bohut teezi k sath bullish jati hai iss waja se bullish confirmation candle k baad market main buy ki entry karen. Stop Loss pattern k sab se lower side ya pehli candle k bottom se aik do pips down par set karen.

    Click image for larger version

Name:	3.png
Views:	1
Size:	7.5 کلوبائٹ
ID:	12568648

اب آن لائن

Working...
X